Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16638
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: بچے کو ماں کا دودھ کتنی مدت تک پلا یاجاے؟

Answer: Mustahab hai ke bachay ko poore 21 mahine doodh pilaaya jaaye, aur 2 saal se ziyada pilana munasib (behter )nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2454). [Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16747
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam alaikum sir mera sawal hai kya 1 saal aur 4 mah ke bachi ko maa ka doodh band karwa saktay hai ?

Answer: Jee han, band karwa saktay hain lekin mustahab hai ke bachay ko poore 21 mahine doodh pilaaya jaaye, aur 2 saal se ziyada pilana munasib (behter) nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2454). [Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16851
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia bri bhen apni choti bhen ko apna dhoodh pila sakti ha aur es se ristha pr koi asar tu ni hoga?

Answer: Jee pila sakti hai aur dono behnon ke rishte me to koi asar nahin hoga albatta itna asar zaroor hoga ke bari behen ka shohar is choti behen ka razaai baap ban jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2428,2438,2439). [Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17450
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Naani nawasi ko bhi dudh pila sakti hai kya

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Agar koi Aurat apni beti ke bache ko (yani naani apne nawase ya nawasi ko) poora doodh pilaye to wo larki apne shohar par Haram ho jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2436). [Updated on 22-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19180
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum. Maine apni khala ka doodh peya 1 bar 2 Saal say Kam umer main kia Maine apni khala ke os beti say Jo mera ek bar doodh pelana k 2 saal badh paida hoe nikkah kr sakta hon.

Answer: Jee han, kar sakte hain Q ke aik baar doodh peene se wo mehram nahin banti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #2428,2438,2439). [Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19294
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Plzz ans me mai bahut bar puch chuka hu Meri chachi ne mujhe ek bar dhudh pilaya hai kya mai uski beti se nikah kar skta hu?plzzzzzzzz....plzzzz ans me

Answer: Jee han, kar sakte hain Q ke aik baar doodh peene se wo mehram nahin banti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #2428,2438,2439). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19794
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Maa bachay ko kitna arsa dodh pila skti hai?

Answer:

Id: 19854
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Majburi me meri maa ne cousin brother ko doodh pilaya hai or ham ek dusre ko behad pasand karte hai kya hamari shadi ho sakti hai?

Answer:

Id: 21039
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Agr Kisi Bacche ne kisi aur aurat ka doodh pia ho to kia woh uski maa hogi..???aur agr woh us aurat ki beti se shadi kre to kia ye jaiz hai..???mne to suna hai keh ikhata doodh piya ho to phr woh rishte mn behan bhai honge...plzzzzz answer briefly..mne pehle b yehi sawal kia tha magar jwab nhn dia..plzzzzzzzzz jwb dein

Answer:

Id: 21324
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam-o-alaikum ma pehle bhi 3ya 4 bar swal poch chuka hn k kya ak Anti(chachu ki wife) apne 13ya14 sala nephew(bhatijay) ko apna dodh pila skti ha ya nae plz detail se btana plz........,. And kya nephew ye baat khud anti ko keh skta ha k mjy ap ka dodh pena ha aNd kya nephew na jaiz tor par dodh pene ki koshish kare ya qanoni ya ghair qanoni tareeqay se jismani lazzat or dodh pe skta ha aNd last kya us pay apni anti ka dodh halal ha ya haram answer email kr dena plz

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!