Question: Do bacchhe so rhe the dono ki alag alag maa h ...ek maa apne bachhe ko dhoodh na pilakar anjaane me dusre k bachhe ko dhood pila deti h to kya yeh bacchha is maa ki beti se nikah kar sakta h
Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta. Laikin aap k sawaal k mutabiq faqat aik baar is aurat ne doodh pilaya hay is liay is lerkay ki os aurat ki baiti se shadi ho sakti hay. Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ). Update on dated 16-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum jnab agr maa bchche ko doodh na pilana chahe to kya uska shauhr usse feeding krwane k liye force kr skta h?
Answer: Nahi shohar bache ki maa ko zabardasti doodh pilaane ka nahi keh sakta wo yeh kar sakta hai k wo maa ko ujrta dai sakta hai ya ye bhi kar sakta hai kisi or aurat ko talash ker sakta hay jo muft main doodh pilaaye ya ujrat par doodh pilaaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2451). Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam. kia bivi ka dhodh peena jaiz hay?
Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per is ko tark kia jaey. (Ref: Minhajus saliheen, part#3, maslah#905). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Razai behan bhai ka leya ap ny 8 Sharait ka zikar keya wo Kya hain? Or agr 1 dafa dodh beya ho tu wo Behan Bhai ban jatay hain?
Answer: . Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai, oski 8 shartein hain: (1) Bachcha zinda aurat ka dhodh peeye. Pas agar wo mard aurat ke pistaan se dhodh ki kuchh miqdaar peeye jo razaat mein motabar hai to os ka koe faida nahin. (2) Aurat ko dhodh sharee (jayez) zachgi ki wajah se ho, agarcheh wait shaba ki bina par ho. Pas agar farzan dhodh baghair zachki ke uutara ho ya aise bachche ka dhodh ho jo waladul zina ho kisi dusre bachche ko diya jaay to os dhodh ke tausat se wo dosra bachcha kisi ka mahram nahin banegaa. (3) Bachcha pistaan se dhodh peeye. Pas agar dhodh os ke halq mein uondela jaay to bekaar hai. (4) Dhoodh khaalis ho aur kisi dusri cheez se mila hua na ho. (5) Dhoodh ki jo miqdaar maujib hurmat hai wo dhodh ek shauhar ka ho. Pas dhodh pilaane waali aurat ko agar talaaq ho jaay aur wo aqd saani kar le aur dusre shauhar se haamla ho jaay aur bachcha janne tak os ke pahle shauhar ka dhodh os mein baaqi ho maslan agar os bachche ko khud bachcha janne se qabl pahle shauhar ka dhodh aathh dafa aur waza haml ke baad dusre shauhar ka dhodh saat dafa pilaay to wo bachcha kisi ka bhi mahram nahin banta. (6) Bachcha kisi beemari ki wajah se dhodh ki qay na kar de aur agar qay kar de to bachcha mahram nahin banta. (7) Bachche ko iis qadr dhodh pilaaya jaay keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot hoon aur badan ka gosht bhi ooa se bane aur agar iis baat ka ilkm na ho keh iis qadr dhodh peeya hai ya nahin to agar os ne ek din aur ek raat ya 15 dafa pait bhar kar dhodh peeya ho tab bhi (mahram banne ke liay) kaafi hai jaisa keh os ka (tafseeli) zikr aane waale mas,ale mein kiya jaay ga. Leikin agar iis baat ka ilm ho keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot nahin huyegaee aur os ka gosht bhi os se nahin bana hala na keh bachche ne ek din aur ek raat ya 15 dafa dhodh peeya ho to os jaisii suurat mein ehtayaat-e-waajib ka khayaal karna zaruri hai. Pas mazkura mawarid mein shaadi na ki jaay aur mahramana nazr bhi na daali jaay. (8) Bachche ki do saal mukammil na huye hoon aur agar os ki umr do saal hone ke baad ose dhodh pilaaya jaay to wo kisi ka mahram nahin hota balkeh agar misaal ke taur par wo umr ke do saal mikammil hone se pahle aathh dafa aur os ke baadd saat dafa dhodh peeye tab bhi wo kisi ka mahram nahin banta. laikin agar dhodh peelane waali aurat ko bachcha jane huye do saal se ziyadah muddat guzar chuuki ho aur oo ka dhodh abhi baaqi ho aur wo kisi bachche ki dhodh pilaay to wo bachcha on loogo ka mahram ban jata hai jin ka zikr opar kiya gaya hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2438 ) Note: 1 dafa dhoodh pilana se mehram nahi bacha ya bachi ban jatay. [Updated on 17-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA meri khala ki betti jis ko meri mother ne majboori main ak bar dodh pilaya ho us k sth mera nikah ho skta ha ans me plz
Answer: wsalam.jee aik baar pilaane sai mehram nahi ban jaati balkeh us ki kuch sharaet hain lehaaza wo aap k liay na-mehram hain or us say nikah ho sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani, edition#39, maslah#2438). [Updated on 16-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya bachche ko 2 year se Jyada doodh pilana haram hai
Answer: Haram nahi. Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2454). [Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: main ek SHIA larka hun , mene bachpan men ek dafa apni walida ki khala ka doodh piya tha , tu kiya ab main unki beti say nikaah kar sakta hun?
Answer: Aik dafa doodh peeney sai mehram nahi hotay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2428) [Updated on 18-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy ko dodh pilany ke Umar ke had kitni h
Answer: Mustahab hai k 21 mahine doodh pilaaya jaey or 2 saal se ziyada pilana munasib nahi hai (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#35 mafhoom e maslah#2454) [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya apne behan ya bhai ko apni ulaad di ja sakti hai ?
Answer: Bachay ko adopt karna jaiz hai or agar bacha 2 saal say kam hu tu bacha wusool kerna wali khatoon dhoodh pila ker is ko mehram bhi bana sakti hai laikin agar bacha 2 saal say ziada ka ho tu phir osko doodh pila kar mehram banay ka koe raasta nahi hay. (Ref: Ayatollah sistani d.b, maslah# 2428). [Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum meri ammi jaan ne galti se unki bahen ki ladhki ko doodh pilaya ek bar hi Kiya islam Mai doodh pilaye huwe maa ke bete ke sath shadi karsakte
Answer: Aik baar doodh pilane se mehram nahi banta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2439). Update on dated 20-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).