Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12677
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr ik orat dsri lrki ko feed krwadey to kia gunah hy ? niyat maa bchy ki ho to ? koi ghlt niyat na ho to kia feed krwana jaiz hy?

Answer: doodh pilana jaiz hai. lekin agar mukammal sharait ke sath jin ka zikr masla # 2438 me kiya gaya hai. doodh pilaya jaye to wo larki us aurat ki mehram ho jai gi.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani (D.B) ,Tauzeeh Ul Masail,Masla no #2428). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12881
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum kia larki apni 5 saal ki nand ko doodh pila sakti hai kiun k us bachi ne kisi waja se maa ka doodh nhi peya. Ap Plz bta dein

Answer: Jaiz hay..(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2448) [Updated on 17-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13221
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik bachy ki umar 20 din ha us sy bhari bhan ha jis ki umar 2 saal ha kia yah dono bachy apni maan ka dhoodh pi sakty hain

Answer: Jee pilana jaiz hai, Lekin Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13297
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai larki hu Mai ny apni mami ka dhoodh peya hai tu kya un ka beta Jo mujy sy kuch mah hi bara hai wo mera bhai ban gaya hai or mai ny 1 month peya hu ga shayad ye bhi pata de kitni der tak penye per razi bhai behan ban jate hain

Answer: Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai, oski 8 shartein hain: (1) Bachcha zinda aurat ka dhodh peeye. Pas agar wo mard aurat ke pistaan se dhodh ki kuchh miqdaar peeye jo razaat mein motabar hai to os ka koe faida nahin. (2) Aurat ko dhodh sharee (jayez) zachki ki wajah se ho, agarcheh wati shuba ki bina par ho. Pas agar farzan dhodh baghair zachki ke utara ho ya aise bachche ka dhodh ho jo waladul zina ho kisi dusre bachche ko diya jaay to os dhodh ke tawssut se wo dosra bachcha kisi ka mahram nahin banegaa. (3) Bachcha pistaan se dhodh peeye. Pas agar dhodh os ke halq mein uondela jaay to bekaar hai. (4) Dhoodh khaalis ho aur kisi dusri cheez se mila hua na ho. (5) Dhoodh ki jo miqdaar mujib e hurmat hai wo dhodh ek shohar ka ho. Pas dhodh pilaane waali aurat ko agar talaaq ho jaay aur wo aqd saani kar le aur dusre shohar se haamla ho jaay aur bachcha janne tak os ke pahle shohar ka dhodh os mein baaqi ho maslan agar os bachche ko khud bachcha janne se qabl pahle shohar ka dhodh aath dafa aur waza hamal ke baad dusre shohar ka dhodh saat dafa pilaay to wo bachcha kisi ka bhi mahram nahin banta. (6) Bachcha kisi beemari ki wajah se dhodh ki qay (ulti) na kar de aur agar qay (ulti) kar de to bachcha mahram nahin banta. (7) Bachche ko is qadr dhodh pilaaya jaay keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot hoon aur badan ka gosht bhi usi se bane aur agar is baat ka ilkm na ho keh iis qadr dhodh peeya hai ya nahin to agar os ne ek din aur ek raat ya 15 dafa pait bhar kar dhodh peeya ho tab bhi (mahram banne ke liay) kaafi hai jaisa keh os ka (tafseeli) zikr aane waale masale mein kiya jaay ga. Leikin agar is baat ka ilm ho keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot nahin huye aur os ka gosht bhi os se nahin bana halankeh bachche ne ek din aur ek raat ya 15 dafa dhodh peeya ho to is jaisi surat mein ehtayaat-e-waajib ka khayaal karna zaruri hai. Pas mazkura mawarid mein shaadi na ki jaay aur mahramana nazar bhi na daali jaay. (8) Bachche ki umr do saal mukammal na huye ho aur agar os ki umr do saal hone ke baad ose dhodh pilaaya jaay to wo kisi ka mahram nahin hota balkeh agar misaal ke taur par wo umr ke do saal mikammal hone se pahle aath dafa aur os ke baad saat dafa dhodh peeye tab bhi wo kisi ka mahram nahin banta. laikin agar dhodh peelane waali aurat ko bachcha jane huye do saal se ziyadah muddat guzar chuki ho aur us ka dhodh abhi baaqi ho aur wo kisi bachche ko dhodh pilaay to wo bachcha mahram ban jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2438) Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai us ke teen mayyar hain: (1) Bachcha dhodh is had tak peeye keh urfan wo gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab ho. Is ke liye shart yeh hai keh os ka daaromadaar sirf dhodh par ho, dhodh ke sath koe aur ghiza na ho. laikin agar mamooli miqdaar mein ghiza khaay to koe haraj nahin. Agar bachcha do auraton ka dhodh peeye aur baaz gosht aur haddiyaan ek se ban kar mustehkam ho jaayn aur baaz dusri ke dhodh se to dono mehram hongi aur os ki razaee maan ban jaygaeegi. Agar dono ke dhodh se mil kar bane hoon to hurmat saabit nahin hogi. (2) Waqt ka hisaab: Is ki shart yeh hai keh bachcha 24 Ghante ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye laikin agar paani peeye, dawayee de jaay ya itnii kam ghiza khaay keh yeh na kaha sa sake keh 24 Ghanton ke dauraan ghiza khayee hai to koe ishkaal nahin. Aur zaruri hai keh poore din raat mein jab bhi bachche ko ghiza ki zarurat pade to dhodh peeye jis se ose na rokaa jaay balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh 24 Ghante ka hisaab os waqt se shuru kiya jaay jab bachcha bhooka ho aur os ka aakhir wo waqt shumaar kiya jaay keh bachcha ser ho. (3) Tadaad ka hisaab: Is ke liye shart yeh hai keh 15 martaba musalsal osi aurat ka dhodh peeye aur os 15 dafa ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye. laikin os dauraan ghiza khana zarar ka baais nahin aur 15 dafa ke dauraan waqt ka faasla ho jaay to bhi koe zarar nahin laikin zaruri hai keh har dafa mein bachcha ser ho kar dhodh peeye. Wo is tarah keh bachche ko bhook lagi ho aur wo mukaamal ser hone tak baghair waqfe ke dhodh peeye. laikin agar dhodh pene ke dauraan zara ruk jaay ya sabr kare keh chhatti monh mein laine se seer hone tak ko ek dafa shuumaar kiya ja sake to koe ishkaal nahin. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2439) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13298
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Razi bhai behan kitni time Mai bhai behan ban jate hai saal ya month mai

Answer: Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai us ke teen mayyar hain: (1) Bachcha dhodh is had tak piye keh urfan wo gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab ho. Is ke liay shart yeh hai keh os ka daaromadaar sirf dhodh par ho, dhodh ke sathh koe aur ghiza na ho. laikin agar mamooli miqdaar mein ghiza khaay to koe haraj nahin. Agar bachcha do auraton ka dhodh peeye aur baaz gosht aur haddiyaan ek se ban kar mustehkam ho jaayn aur baaz dusri ke dhodh se to dono mahram hoongi aur os ki razaee maa ban jaygaeegi. Agar dono ke dhodh se mil kar bane hoon to hurmat saabit nahin hogi. (2) Waqt ka hisaab: Is ki shart yeh hai keh bachcha 24 Ghaante ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye laikin agar paani peeye, dawayee de jaay ya itni kam ghiza kaay keh yeh na kaha sa sake keh 24 ghaanton ke dauraan ghiza khayee hai to koe ishkaal nahin. Aur zaruri hai keh poore din raat mein jab bhi bachche ko ghiza ki zarurat pade to dhodh peeye jis se ose na rokaa jaay balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh 24 ghaante ka hisaab os waqt se shuru kiya jaay jab bachcha bhooka ho aur os ka aakhir wo waqt shuumaar kiya jaay keh bachcha seer ho. (3) Tadaad ka hisaab: Is ke liay shart yeh hai keh 15 martaba musalsal osi aurat ka dhodh peeye aur os 15 dafa ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye. laikin os dauraan ghiza khaana zarar ka baais nahin aur 15 dafa ke dauraan waqt ka faasla ho jaay to bhi koe zarar nahin laikin zaruri hai keh har dafa mein bachcha ser ho kar dhodh peeye. Wo iis tarah keh bachche ko bhook lagi ho aur wo mukamal ser hone tak baghair waqfe ke dhodh peeye. laikin agar dhodh pene ke dauraan zara ruk jaay ya sabr kare keh chhatti monh mein laine se ser hone tak ko ek dafa shuumaar kiya ja sake to koe ishkaal nahin. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2439) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13299
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghr larki ny dhoodh peya hu larkye ki maa ka tu un ka nika hu sakta hai kiyaa

Answer: Agar is larki ne larkey ki maan ka dhoodh sharaet k sath piya ho tu phir on dono ka apas main nikah nahi ho sakta. Dhoodh piya ho dhodh pila kar mehram banne ki (8) shartein hain: Pass Agar kisi larki ne tamam sharait k mutabiq kisi aurat ka doodh nah piya ho to is surat men wo larki na-mehram hi hai aur us auart ke bete se shadi kar sakte he. aur agar tamam sharait k sath dhodh pia ho tu wo aap ki mehram hain aur us aurat ke bete se shadi nahi ki jasakti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 33 Edition, masla #2428, 2438). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13300
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Razi bhai behan kitni time Mai bhai behan ban jate hai saal ya month mai

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13301
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai ny istakara krwayaa wo sahi nikla likin sab ye kahte hai mera wo razi bhai haai Mai ny 1 month dhoodh peya hai

Answer: Istekhara kisi halal kaam k karne k liay kia jata hay ilm ghaib k hosool k liay nahi. jab aap ko ye ilm dia ja raha hay keh wo aap ka doodh shakeek bhai hay tu phir aap k liay os k sath nikah karna jaiz nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2441). [Updated on 27-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13302
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr larki ny larke ki maa ka dhoodh peya hu phir wo is ki razi behan hai kiyaa

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye larki is aurat ke baite se shadi nahi ker sakti. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay nikah haram hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13631
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye ha ka agar aik oorat bacha oor doosri oorat ki bachi teesti oorat ka doodh pee lien to on ka nikah jayz hota hai

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay. 2. Ya 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho. 3. Ya 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye larki is aurat ke baite se shadi nahi ker sakti. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaayen gay, aur nikah haram hojaaye ga. warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!