Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10698
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bari behan apna dhoodh choti behan ko pelha sakti hai

Answer: Behen ka apni nabaligh behen ko apna doodh pilana Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2448). Update on dated 31-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10778
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baade Salam Arz Hai ki bachche ko Hindu doodh wale ke Haath ka Doodh pila sakte hain ya nahi?

Answer: jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail Jaame, part#1, maslah #135). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10839
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum Bache ko doodh pilane ki middath kitni honi chahiye

Answer: Mustahab hay k bachay ko poray 21 maah dhoodh pilaya jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2417,2454). Update on dated 09-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 11305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya larka or larki jo bhn bhai na ho but unhy aik aurat ny feed (dhodh pilaya) kya ho. Wo nikah kr skty hn?

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11429
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mri behan bayaulad hy. My apni beti ko feed krati hu. Kia wo koi bacha bahr sy adopt kr k mra dood pila skti hy js sy wo bacha uska mehram hojy. Kindly roly. Jazakallah

Answer: Jee Han, agar apki behen kisi bache ko adopt kare keh ap use doodh pilayen takeh woh apka mehram ban jaye to agar yeh doodh pilana tamam sharait ke sath hon jo keh tauzeeh ke masla (2438) me zikar ki gayi hain, to woh bacha apki behen ka mehram ho jayega. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani (D.B) ,Tauzeeh Ul Masail,Masla no #2428). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11460
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ksi larki ne larkay ki dadi ka doodh piya or fori ughal diya mtlb ulti krdi tab bhi us larkay se nikah jaez nhi?

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ) [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11610
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ak ladki ladka ki maa ka didh pia ho to kya donu mn nikah ho skta hy dodh bs ak br pia hy

Answer: Agar is qadr doodh piaa hai k us ki haddian usi doodh ki wajah sai mazboot hoi hai tou wo dono aik doosre k mehram ban jaaye gay or un ka nikah durust nahi hoga lekin agar aik ya do dafa doodh peene sai aik doosre k mehram nahi bante or aapas mai nikah kia jaasakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2438)). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11799
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri Tai be mujhy apni chohti beti k sath doodh pilaya Hy or Mera nikah in k pehle bete se hua Hy Kya Mera nikah jaiz Hy?

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ). [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12404
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya nani apni nawasi ko apna dhodh pila sakti hai

Answer: Agar nani apne nawasay ya nawasi ko pora dhodh pilaay tu wo lerhki apne shohor par hameshah k liay haram hojaay gi dhoodh pila ker mehram bannay ki sharaet or mehram bannay k 3 miyaraat ki tafseel jaanay k liay is link par click karain https://www.sistani.org/urdu/book/61/3649/. [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12649
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar maa bete ko 2 and half year doodh pila de. To is ka kafara Kia ah?

Answer: Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahi hai or is ka koi kafara nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2454). [Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!