Question: Assalamu alaikum Agar bachay k delivery k 9 mah Bad dobara pregnant hojae to doodhe pene Wale bache ko kitne mahine tak doodh pila sakta he? Kab doodh churana chahiey?
Answer: Mustahab hay k bachay ko poray 21 mahine dhoodh pilaya jaey, laikin maan k liye apna doodh pilana wajib nahin hay. agar maan ka dhodh pilana hamal ko saqit karne ka sab ban raha ho tu phir aap maan apna dhoodh nah pilaye, Q k hamal ko saqit karna jaiz nahin hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #2417,2454). [Updated on 13-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hamla aurat (3rd month pregnant) apny pehly baby ko jo k 14 months ka hai doodh pila sakti hai?
Answer: Jee han, hamila aurat apne pehly pache ko doodh pila sakti hai. Aur Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2454) [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam! Main ny suna hai k aghr bacha 3 raat maa k food na pita toh us bachy phr maa k dhood haram hinata hi please guide dijiye mera beta 3 din se mera feed nhii kar that hai
Answer: Jee nahin, Aisa kuch nahin hai. Aur aurat par bache ko doodh pilana wajib nahin hai, agarche bache ko doodh pilane ka haq man ko hi hasil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2451). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sallam bachay ko kitnay mahenay maa ka dood daina chahaiy
Answer: Mustahab hai ke bachay ko poore 21 mahine doodh pilaaya jaaye, or 2 saal se ziyada pilana munasib nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2454) [Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamwalekum mera sawal tha ki maine apni fupi ka dudh pithi ek baar to kya unka beta jo merese 2 mahine bada hai usse mera nikah nhi ho skta hai ab?
Answer: Aik dafa doodh peene sai mehram nahin hotay. lihaza aap dono nikah kar sakte hain Q ke aap dono apas main na mehram hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2428) [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ya hai .main or ak or bandy hai hum donon ny ak orat ka dood peye hai os orat ky alag alag beton ky sth dood paye hai ab mri shadi os bandy ki beti ky sth ho skti hai kiya kindly refernce ky sth jawab deyan
Answer: Jis shaks k sath aap ne doodh piya hay os ki baiti aap k liay na-mehram hay, or aap ki os se shadi ho sakti hay.(Ref: tauzihul masael, maslah#2440). [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri wife mere mamu ke beti he.hamari shadi ko 3year hogye he.or hamara 1bacha b h ab pta chala k meri wife ne meri nani ka doodh piya he.ab Quran ki roshni me hamara liye Kya hukum he.
Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye larki is aurat ke baite se shadi nahi ker sakti. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay nikah haram ho jaaye ga warna nikah sahi hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438). [Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir kindly bta den keh larki k breast mn doodh kb ata hai..?
Answer: Aam taur par Pregnancy ke dauran dudh ata hai lekin har koi aurat same nahin hoti. Kisi ko 5th months mein aa jata hai to kisi ka 9th month mein aur kisi ko to bilkul nahin ata hai. [Updated on 25-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ek maa apne 1 sala bachy ko apna dudh chorva sakti he takleef ki vaja se, q k vo us ko kati (bite) krta he? Maa ko gonah to ni mele ga k us ne bachy ka haq pura ni kya... Apni takleef ki vaja se
Answer: Jee han, Churwaya sakta hai aur koi gunah bhi nahin hoga Q ke Maan ke liye bache ko doodh pilana wajib nahin hai agarche bache ko doodh pilane ka pehla haq Maan ko hi hasil hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2451). [Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri khala be ghalati se mujhe apni beti samajh kr apna doodh pila diya tha Kya Meri shadi in ki beti sa ho sakti ha
Answer: 1: Agar zel me di gayei tamam sharaait or tareeqe ke sath doodh piya tha to nikah jaiz nahin hai. warna jaiz hai. 2: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai us ki aath (8) sharten hain. 1. Bacha zinda aurat se doodh piye. 2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho. 3. Bacha pistan se doodh piye. 4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho. 5. Doodh aik hi shohar ka ho. 6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day. 7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane. 8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na howe hon. In tamam sharait ki taseelaat maloom ke liye hum aap ko aik link provide(faraham) kar rahe hen aap us link ko visit karen to aap ko sharait ki tafseelaat maloom ho jaye gi. Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/ 3: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banne or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay. 2. chaubees (24) ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piya ho. 3. 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho. Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye bache ko doodh pilaya jaye to dono mehram ho jayen gay, warna nahin. 4:agar is baat me shak ho ke bache ne itne miqdaar me doodh piya ha ya nahe jo mehram banne ka sabab hai ya nahe piya hay ya gumaan ho ke usne itne miqdaar me dooodh piya hay tu bacha kise ka mehram nahe hota laikin behter ye hay ke ehtiyaat ki jaay.( or jab mehram nahe hoga tu shadi hosakte hay) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438,2439,2461). [Updated on 24-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]