Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 742
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: achi jaga job mil jaye jaldi

Answer: Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 236). Update on dated 11-05-2015 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2631
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere karobaar ko taqreban 3 saal hagai magar ab tak main ne koi khasa munafa nahi dekha bawjod es ke ke main ne bohat acha karobar kya hai yane jo kamatha ho paatha nahi hoon

Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (Ref : Kitab payam e shifa pg # 147) Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandaye to uski khareed o farookth ziyada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay or jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2788
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir man job ki talash man hun kafi jaga interview b day chuka hun per call kahen say nai a rhai jub interview hota hai to asa maloom hota hai k mjy zaroor call ay gi par call nai ati man bht parishan hun

Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Id: 2854
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meray husband ki job 8 months say nahi hai plz koi wazifa batadain

Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2881
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rozi ki rukawat ko dhoor krne ke liye kaun si dua padhi jaye...........

Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tou isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(Ref : book payame shifa pg#229)

Id: 2911
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rozgar ke barkat ke lite quran ki kis ayat ki tilawat kare

Answer: Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2929
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam koi asee dua batain jis say meray papa Kay rizq Mai barkat ho woh bohat pareshan rehtay hai rizq ki taraf say

Answer: Wssalam o alykum, Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay walid ke bazoo per bandh dain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 3048
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM-O-ALAIKUM mai aur mairay husband rent k home main rahtay hain. mjy koi aisa amal/wazifa bata dain jis say hm apna ghr kharid sakain takeh rent sy bach sakain. Thanx in advance

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat pure ho gi. ( ref: payaam shifa, pg: 249) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3362
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri kiarana dukan hai allah ka karm hai allah chala rahe hai lekin mai os dukan ko holsel banana cahta hon tarkki ke liye ko wazifa bayae plz. mera jawab dijiye mere email id par bheje

Answer: Kisi aik namaz k baad har rooz 15 mertba awwal o aakhir salawaat k sath sorah ma,idah(sorah#5) ki ayat#114 ki tilawat ki jay tu rizq bay hisaab milay ga. (Ref: Naway saliheen pg#338). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3374
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu Aluykum. Main ek saal se berozgar hon.

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!