Question: Assalm o alikum hazrat aisa koi amal batye ke mujhe allah ke khazane se gaib se bohat paisa mile or main us se apni or gareebon ki zindagi ki tamam zarooriyat pura kar sakoo koi asaan sa amal batla de ap ki bohat mehrbani ho gi shukriya.
Answer: Doulat mandi k lie 40 raat mai hai raat ko 40 martaba surah e lail surah # 92 ko parhain aur jab is ayat par pounchay “ ﻮﻤﺎﻻﺤﺪﻋﻨﺪﻩﻤﻦﻨﻌﻤﻪﺘﺠﺰﻯ ” to osay 3 bar parhain. (Ref : Payam E Shifa pg # 230)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asslam-u-alaikum. Hazrat ma bersarey rozgar hoon Mager 3 sal say meri Tarqee nahee hoyee koyee Wazefa bata deen
Answer: Jo koi kisi aisi jigha par kaam karta ho jahan par salary mai izafa bohat mushkil sai hota ho aur maalik salary na barhata ho to chaheay k rozana har namaz k baad 100 martaba Bismillah parhay inshallah bohat jald salary mai izafa ho jae ga. (Ref : wazaif e talib pg # 142)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam meray pas paiso ki bht tangi hay or mai halal maal kamana chahta hu koi wazifa batayeh jis say meray pas itna ho k mai dusro ki madad bhi kersakun
Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam u alaikum janab main duniya ka sab se ameer aadmi banna chahta hu jis se main tamam muslim bhaiuyon ki maddad kar sakoo koi aasan aisa amal batla de jis se main ameer ban k aap jaise bhaiyo ki madad kar sakoo shukriya.
Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akhri hissa and ayat#3 puri rozana 3 baar parhain,awwal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq main bohat izafa hoga,aur agar qarz ada kerna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mia 1 saal se pakistan se bahir hon or eurap aye hoye 15 din ho gaye hian mia bara pareshan hon koi merey liye kuch nai kar raha mia farig hon merey family b bari pareshan hian ap mera istehara kar k batain k aya merey halat kab theek hon gay
Answer: 1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 2)Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: main duniya ka sab se ameer aadmi banna chahta hu halal tareeke se koi aisa khas amal batye ap ki meharbani hogi shukriya
Answer: 1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 2)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: meri qualification complet ho gayi haipar abhi tak job nahi lagi hai me koi dua pata karna chahati hoon taki meri job jaldi lag jaye
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to no-chandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASLAM U ALIKUM.sir main kafi arsa sa out of country jana ka liya try kr raha job ka liya pr kam nhe ho raha kia karo
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalm u alaikum mujhy job k liay koi wazeefa bata dijiay 4 saal sa job ni mil rae koi business karna chahta hon tou oss ma b rukawat hoti hai..... plz kuch bta dain jis sa mere mushkil asaan ho jay or mery rizq ka koi source ban jay. jaza kallah
Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229)
Question: Assalam o alaikum, Hazrat mera sawal hai ki mai kaam mai bahot susti karta hu per mai mhenat karna chata hu likin kuch smaj nahi ata ki kya karu koi wazifa ata karde ta ki ye kahili susti khatam ho jai
Answer: wssalam o alykum, her shab e jumma 100 martaba ism e mubaaraka al zaarro ki tilawat karna dolat o mansab k hosool k liye nihaayat mujarrab hai.(Ref : dunya o aakrat ki 100 pareshaniyoon ka hal , pareshani # 68 , pg # 63 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).