Question: dil ko tasli nahi hai is rozi ki torni ki waja hai plz reply jaldi hoooo
Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, Sura e yoosuf ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa karne wala hai).
Question: Hmre ghr m bht rizk ke tanki chl Rh h or shdi m rukawat arh h ,,hme btae ap
Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aasalamu alikum mere sohar ke karo bar me badotre ke liye,aur jald se jald ghar leneke liye dua bataye.
Answer: Wssalam o alykum, Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa karne wala hai).
Question: Mere bhai ke pass mashaALLAh karam hai Allah ka Pesay atte hai per pata bhi nahi chalta or sub khatum or sara mahina buss pershan rehte hai hum or sara ghar unke kherche se chalta hai koi wazifa bataen ke pesay ruuke onke pass .
Answer: Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay bhai ke bazoo per bhand dain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: As salam walekum hazrat me bada pareshan hun me bohat dino se berozgar hun kaam kuch nahi milta hai agar mila to bhi jald se chut jata hai aur koi kam ku puchta tak nahi kya karun? Hazrath
Answer: Wssalam o alykum, Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: rizk ke liye wazifa
Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asalam.o.alikum sir me booohat pareshan hn or job b kafi arsay se nhe hy ghar ki zemedari b muj pe hy qk sb se bara hn me plzz muje koi aisa wajeefa batain jis se kuch he dino me mala mal ho jaun. jazakAllah
Answer: Wssalam o alykum, Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat hai ke Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Mere husband kuwait hain new job k liye try karte hain bt koi response ni ata plz ap wazifa btayen k unko achi job mil jaye ya jahan apply karen acha response aye
Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalam o alaikum Me n mere husbnd sharjah me rehte hain paise ki bilkul bhi saving nhi hoparhi jbke me rozana surah waqiya perhti hun plz paiso me barqat aur izafa ki dua btaden koi wazifa
Answer: Wssalam o alykum, Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay shohar ke bazoo ke sath bandh dian. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalamualaikum warehmatullahi wabarakaatuhu...sir mera sawaal yeh hai ki mera naam karishma hai..yeh naam rakhna jayez hai ya badlana chahiye???aur govt.job milneke liye dua chahiye....
Answer: (Orat k liye Fatima , zainab) k asma k mutabik naam rakhna mustahab (sawaab) hai aur islam aur ahlebait k dusmano k naam k mutabik naam rakhna makrooh hai.(Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 573 , pg # 287) Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).