Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5915
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hum ten patner the jinhone matrimonial kola tha ab ek patner hut gae he or esa lagta he unhone mera office band diya he agar allha ki marzi he to thik he agar nak\hi to aap se dua he ke aap koi rasta bate

Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to oski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5925
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rizaq zaya karnay walo kay liye koi ayat jis mein rizaq zaya karnay walo kay liye saza ho

Answer: Surah e zariaat surah # 51 aur surah e alam nashrah surah # 94 k parhnay walay k lie khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5937
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum m india m jaipur m rhta hu aur m metal ka kaam krta hu lekin mjhe isme jyada munafa nhi hota h mjhe mere kaam ko badane aur mere munafe ko badane ka koi wajifa bta dijiye m aapke jawab ka intejar krunga khuda hafij.

Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to oski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6002
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i m very poor pls tell me prossies

Answer: Sura e al-Zariyaat ki her roz 1 martaba tilawat karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani # 72 , pg # 76 , ALLAH TAALA tofiqaat main farmaae).

Id: 6061
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o Alikum main jo b kam karta hon hamesha ulta hota hai. qarzy pe qarza charta ja raha hai so please koi amal btain jis se mery sary qarzay utar jain aur mera rizq mein b izafa ho aur job mein b taraqi ho

Answer: 1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 2)Imam raza a.s. farmatay hain k kisi bhi kaam ko start karnay sai pehlay khuda ka nam “ ﺍﻠﻤﺒﺪﺉ ” parhay to wo kaam apnay anjam ko pouchay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 31-32)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6062
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asllam walaikum mufti shaab aap koi essa tarika batayae jisse ghar mai roji mai barkat ho or imaan mazbut ho

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) Iman ki hifazat k lie hazrat Ali a.s. nai farmaya hai k Sadqa dai kar iman ki hifazat karo. Is k alawa iman k lie har namaz k baad dua ﺮﻀﻴﺖﺑﺍﷲ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ parhain. (Ref : Payam E Shifa pg # 118)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal ya hy ka please koi dua batiya ka meri job ho jay jahan ma chahta hoo or please roman ma batiya ku ka mujhe arabi parhni nhi ati

Answer: 1)Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01) 2)Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6098
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir m job ki waja se bhut zada pershan ho dil karta kia karo plz sir koi asa wazifa batie meri acci job lag jaie thanks

Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6101
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera business phly buhat acha chulta tha lakin aab saab mery clients bhag jaty han buhat loss horaha ha last few months sy plz koi acha wazifa butain k mera business phir sy buhat ach hojay.

Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6156
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salam walekkum hazrat main job kerta hu jo bhi paise kamata hu sub idher udher kherch ho jata hai main koi extra kharch bhi nahi hai or na hi koi galet shook hai phir bhi paise me berkhet nahi hoti aap se iltija hai ke kuch khero berket batayn

Answer: Surah e zariaat surah # 51 aur surah e alam nashrah surah # 94 k parhnay walay k lie khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!