Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4827
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muje padaimedilnahi lagta padai muje yad nahi rahata muje gourmet naukri onahai plz my kyakarnna ?

Answer: 1)Agar dil ilm k hasool may na lagta ho to surah e alaq ki ayat # 1 ta 5 likh kar is k galay may dalain aur pani par parh k pelain to zehen aur aqal ki tezi k liay bhi mujarrab hay. (Ref : Kitab naway salaheen pg no 346 ) 2)Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4863
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamoalekum mera name amir ali hai meri kapade ki dukaan hai dukaam open karne ke liye maine karza liya magar dukan mai kuch munafa nahi horaha hai aap se gujaris hai ke rozi mai ijafa hone ke liye kun si duwa hai please jawab jald dijiye

Answer: Surah e talaaq (surah#65) ayat#2 or 3 rozana 3 baar parhain, awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada kerna hay tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain. (Ref:book payame shifa pg#229). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4912
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Karobar k liya wazifa

Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to os ki khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye kilha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4984
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera consultancy hai jahan humlog job dilwate hai,aur candidates se charge lete hai.lekin hamare yahan candidates ki kami hai,humlog k pass vacancy bahut hai.koi aisa wazifa batyye k candides ki kami na ho.

Answer: Surah e Zariyat(surah # 51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4991
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum mai 1 tajir banna chata hu koi mujrab wazifa taleem farma de

Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to os ki khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5003
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum janab mai karobar karna chahata hu magar koi vasila nazar nahi ata k khaha se shuru karu meri madad farmaay or doulat ka majrab tarika batai

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5028
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.A! mera saawal yeh hai, keh hamaray rizq mai barkat nahi rehti....

Answer: Surah e zariaat surah # 51 aur surah e alam nashrah surah # 94 k parhnay walay k lie khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5041
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam sir doulat ka mujrab wazifa batay

Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5069
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, hamare ghar me ai din koie na koie pareshani rehti hai aur meri shadi bhi nahi horahi hai.. Meherbani karke koie aisa wazeefa btayein jis se meiri shadi hojaye aur maldar hone ke liye bhi koie wazeefa btadein..

Answer: 1)Perashani k lie wazifa : 1)Surah e Ahqaaf 3 bar parhein. Musibat tal jaay gi. 2)Har qism ki perashani k liya surah e Mubarak e An’aam ki ayat no 17,18 (in yamsask . . . . . . .al khabir) ko fajr say pehlay likh kar apnay paas rakhain. Inshallaha faida ho ga. (ref : kitab payam e shifa pg # 217 , 221). 2)Aap apnay libaas par zafraan say surah e fattah, surah # 48 ki pehli teen ayaat likhain aur apnay pas rakhain sohar dar ho jain gi. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 282) 3)Surah e Zariyat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 236) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5075
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere bhai ka naam jawed hai mechanichal engineer hai.1 sal se naukri k liye pareshan hai magar naukri nahi mili.koi wazifa batay aur kya waja hai naukri na lagne ki ye b batay

Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!