Question: Aslam O Alikum berozgari hai.Koi b kam pora nai hota.pershani boht hai.plz ALLAH K Hukam se Mere masle ka hal bta dain.
Answer: 1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) 2)Imam raza a.s. farmatay hain k kisi bhi kaam ko start karnay sai pehlay khuda ka nam “ ﺍﻠﻤﺒﺪﺉ ” parhay to wo kaam apnay anjam ko pouchay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 31-32) 3)Har qism k gham aur pareshani k lie surah anaam ayat 17 ko sehri(fajar sai pehlay) k waqt likh kar apnay pas rakhay. (Ref : Payam E Shifa pg # 185)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam.o.Alaikum mera naam saira hai mere bhai ko job nahin mill rahi hai bohat pareshan hai koi hall bataen
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mujhe please koi wazeefa batain jis se mera qarza aur rizq mein izafa ho.
Answer: 1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) 2)Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga. Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa’edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AoA! Mein paishay se aik Software Engineer hoon, mein chahta hoon mein apne shobay mein aur jahan mein kaam kar raha hoon khoob tarraqee paon aur senior level ka ohda loon. Is ke liye aap kya tajweez karengi. W.salam
Answer: Har shab e juma 100 martaba ism e Mubarak “ ﺍﻠﺿﺎﺮ ” ki tilawat karna daulat o mansab k husool k lie nihayat mujarrab hai. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 63)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Magrib k waqt sari lites q on kardi jati hain .islm me iski kia kia hesiat hhe he
Answer: Imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hain k garoob e aftaf(magrib) sai pehlay chirag roshan karna pareshani ko door karta hai aur rozi barhata hai. (Ref : Tehzeeb ul Islam pg # 489)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mujhe naukri nahi milrahi hai bahut pareshn hu dua karo
Answer: 1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) 2)Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga. Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa,edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mera ye sawal hai k me jas rozgar p lagta hu wo kch hai manthe me chor data hu es ki koi waja
Answer: 1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) 2)Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga. Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa,edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aoa sir sir 2 year ho gay hain mn nay dae kia hua hy. Bar bar ki koshish k bawajod mjy job nai mill rahi. Or mjy job ki sakht zarort hy kindly ap kuch rehnmai krain.
Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, Sura e yoosuf ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain is terhan ke ap ke ilawa is ke bare main or koi na jaanta ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa karne wala hai).
Question: Assalamoalaikum Meri pareshani ye hai li meri bahan k husband jo bahut gair zimmedar hain theek se kaam nhi krte or meri baji ko ghar k kharch k liye khud hi kaam krna padhta hai.plz aap koi aisa wazeefa bataye jisse mere bahnoi unla bhut khayal rakhe.
Answer: Wssalam o alykum, Surah e Baqra ki ayat no 165 ko kisi mithi cheez per dam kar ke apne shohar ko khila dain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 27 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: assalamoalakum mera sawaal hai ki main kapdhe ka karobar karti hoon chota karobar hai mera kapra kabhi bikta hai kabhi bilkul nahi bikta main xhahti hoon ki wo khoob bike main kya karoon
Answer: Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay bazoo k sath band lain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).