Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8295
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: pakistan railway main job ly liyay apply kiya hai to raqawat a rai hai ap plz mje koi hall btai takay mera kam asani sy ho jai

Answer: 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229) 2-Dur e nazeem main heh agar koe in teen naamo ko har rooz 11 mertabah perhe gat u oski tangi e mash wusat e rizq main badal jay gi. ‘الکریم الوھاب ذوالطول’(alkareemul wahaabo zut,taul). (Ref: Nawa e saliheen, pg#345). 3- kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 ayaat perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalaikum janab mai ek daulat mand insan banna chata hu mujhe daulat k liye koi amal bataye

Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8362
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA, Sir main 7 months say out of job hon. Jahan bhe apply kerta hon koi jawab nahe milta, Bhot preshani hay baray meharbani rehnumai farmain.

Answer: Wssalam o alykum, Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Id: 8449
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: how i can get continue jobs?

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8455
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum, Janab e mohtram. mera ye sawal ha k ma mulk se bahar jana chahta ho apnay rozgar k lye. Baraye maharbani Quran o Sunnat k hawalay se koi waziffa inayat farmaye. Jazakumullah Ahsanul jaza fid darain e khair.

Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gaya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumeraat aur juma roza rakhay, shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay, baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa laye aur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8463
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: job nhi lag rhi

Answer: 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229) 2-Dur e nazeem main heh agar koe in teen naamo ko har rooz 11 mertabah perhe gat u oski tangi e mash wusat e rizq main badal jay gi. ‘الکریم الوھاب ذوالطول’(alkareemul wahaabo zut,taul). (Ref: Nawa e saliheen, pg#345). 3- kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 ayaat perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345).

Id: 8542
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamalakum sir mere father ka gahrelo cheezo ka dukhan hai waha bepar nahe ho rah hai achche se achcha bepar ke liye duwa boleye plz is ki waje se mere aabbu bahut pareshan rehete hai....

Answer: Surah e Zariyat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa Mafhoom e Pg # 236). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8555
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamalaikum sir mere abbu aur husband ke achchi kamai ke liye koi wazifa bataiye sir aap se ajizana guzaresh hai k is sawalo ka jaldse jald jawab dijeye is ke liye mai intezar karungi

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 232) Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8556
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i wish to wazifa to increase in wealth/ dast-e-ghaib, prize bond. etc plz help

Answer: Riwayaat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 232) Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8593
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mujhe please koi Hal bataia Jo bhi kam ho ne se pehle khatm hojata hai aur my ne tijarath me dhokd nahi diya phir bhi my nuksaan me hu mera har kam ulta hojata hai

Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayaat k mutabiq, Sura e yosuf (sura#12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir usay wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain ke koi is se muttale nah ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27). Update on dated 05-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!