Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3480
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran mai woh koun oun si aayaten hai jin ko bolne se barkat hoti hai....plz jaldi zaruri hai

Answer: Surah e Zariyat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 236) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3745
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: me health aur rozi se pareshan hu qarz bhi hai suray Qaaf teen baar padhta ho dua wagerah bhi padhta ho lekin koi raasta nahi nikalta hai strong hal batai

Answer: Health k lye : Sehat o aafiat k lie dua hazrat sajjad a.s. say marwi hai. “ Allah humma inni as’aa’loo’kal aa’fi’ya’to wsh shukra alal aa’fi’ya’te ” (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 211) Rizq k lye: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) Qarz k lye : Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga. Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa’edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3916
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri biwi or sasur ne mere rozi par tala laga diya hai me koi kam karta hu lakin usme mughe niksan hota hai kya karu.

Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to o ski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye kilha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4098
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera shotasa computer ka shop hai business start kara 7 saal huwe hai lekin bhitak karj se pareshan hai aur rozi me barkat ke liya our karz ke adaygi ke liye wajifa bata de

Answer: 1)Surah e Zariyat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. 2)Maqrooz aadmi har namaz k baad ba-qaidgi sai surah e muzammil ki tilawat karay qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 236, 241) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4374
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar job na mile toh ka karna chaye?

Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslamo alikum. sir mairy umer 28 year hey . my education is BA, PGDIT, par job milty naheen agur miley tu chut jaty hey koi wazifa butain

Answer: Husool rizq or taraqqi e rizq k liay sab se pehlay 11 mertaba salawaat perha jay phir 141 mertaba یا رزاق ارزقنی “yaa razzaaqo orzuqnee”. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4556
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAMU ALICUM MA RAKSHA CHALATA HU MA CHATA HU KA KOI AYSA WAZIFA BATA DE JIS SA MARA RIZK MA KHULA IZAFA HO OUR HUM LOGO KEE MADAD KARNA WALA BAN JAI. JAZAKALLAH

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4593
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam sir mera question hai ke main jab bhi kisi job ke liye apply karta hoon wahan se reject ho jaata hai plz mujhe koi aisa wazifa bataiye jisse mera yeh masla hal ho jaye

Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4725
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamu-alaikum mera naam raja hai mai electrition hu aur mera kaam 3-4 mahine se ahi chal raha hai mujhe aap koi aisa wazeefa batao jisse mujhe rozi hassil ho

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4759
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: business ke kiya koi wazifa

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to os ki khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!