Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8600
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jinab qarz main doba hoa ho nokri nahe chor sakta qarz ki waja se meherbane farma ker kuch batayenh khe mera qarz utar jaye.

Answer: Hazrat Imam Jaffar Sadiq (a.s) se marvi riwayaat k mutabiq, Surah e yousuf (sura#12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain k koi is se muttale nah ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 ,Mafhoom e pg # 27). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8732
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mara sawal he k koe dua batain dukan chalny ki

Answer: Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 236). Update on dated 24-06-2015 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8890
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere husband ny ak job k lite apply kiya hai ...koi dua ya wazeefa bata due k in kitaraf sy acha response aye ...plz reply soon

Answer: Husool rizq or taraqqi e rizq k liay sab se pehlay 11 mertaba salawaat perha jay phir 141 mertaba یا رزاق ارزقنی “yaa razzaaqo orzuqnee”. Update on dated 27-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9061
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam o allikum sir mare sath mushkil ha or wo ya k ma ne shop ki ha lakin us ma sale nahi ho rahi pichle 3 months se apne pass se expenses utha raha hon koi hal batain k karobar ma taraqi ho

Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(Ref:book payame shifa, Mafhoom e pg#229). Update on dated 16-04-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9203
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I wnt to power full wazifa of rizq for quran and break all bandish

Answer: Riwayaat main hay k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay wahaan sai rozi milay gi jahan sai osay wehem o gumaan bhi nah ho ga. ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9612
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir wazifa batain karobar jald choro ho jaiya kamayab hojaoya ure har jaiz kam main bhi kamyabi

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41). Update on dated 09-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9803
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein be rozgar hu mujhe koi kamane ki jariya nahi hai main bahut pareshan hu.

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10000
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mn 6 months she jobless hu koi kam hi nai milta jaha jata hu koi na koi rukawt aajati h koi ESA zikr batae k mujhe job mil jaye or apne Roxi mn barkat ho

Answer: 1-Kis bhi jaiz muqaddame main kamiyabi Hasil kerne k liay adalat main wird kerte rahain“ yaa howa, yaa man laa howa illaa howa”(یا ھو یا من لا ھو الا ھو) . (Ref: nameemul amaal, pg#314). 2-Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 martaba “yaa razzaaqo urzuqnee”(یا رزاق ارزقنی). (Ref: nameemul amaal, pg#312) [Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10247
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualayekum Ji mai naukri ke talash me hu but muje jaldi Nokri mil jaaye iska kii wajeefa

Answer: Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41). Update on dated 15-02-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10271
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa.. mere nikkah k baad dono gharon mai bht mushkilat peda hoi h kabi bemariyan khtm hone ka naam nai leti kabi jobs khatam hojati h hr tarf pareshanian h.. aisa ku horaha h?

Answer: Dua e tawassul ki tilawat ki jaey or tamaam mushkilaat k liay dua karain, insha allah tamaam mushkilaat door ho jain gi. (Ref: https://urdu.duas.org/imammahdi/dua-tawasal.htm). [Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!