Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1857
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam, molana sahab muje bohat maine hogaye mera study ma dil ni lagta or sirf purani baate yaad ate hai or phir ma mayoos hojata ho plz muje koyi Quran se wazifa bataye plz I m only 16 year old

Answer: Agar koi talib-e-ilm chahta ho kay usko sabaq yaad ho jaay tu usko chahiay keh surah aa

Id: 2777
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera question hai!plz exams me passed hone ki dua btade or yad krne ki bhi plzzzzzthnx

Answer: Wssalam o alykum, Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2965
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir .agr kesi ka brain week ho to us k liay koi quarni ayat bta di jiay.....plzzzzzzzzzzz

Answer: Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2994
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri yad dasat kamjor ho gayi h kya karu

Answer: Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alaikum.......! Yadast (memory) tej karne ke liye koi dua batayein. Please Dua email ID par send karne ki taqleef karein.

Answer: Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qila qama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4339
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera yeh question hy k mai joh cheez yaad krta hn matlb joh subject yd krta hn tou bhool jata hn plz help me koi dua ya wazifa hi bata dein

Answer: Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat # 25 se 28 tak har rooz 3 martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qalaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4686
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere puri back mein dard hai aur meri yadasht ka bhi masla hai mujhe weham hota hai ke ju meine parha hai aya woh sahi hai yah nahi plz help me koi wazifa batain

Answer: 1-Dard k liay wazifa: Ameerul momineen Hazrat Ali a.s ne fermaya k agar kisi k jism main koe takleef paida ho jay tu os ko chahiay k is dua ko perhay, insha Allah koe dard ya merz os ko nuqsan nahi pohancha sakay ga. بسم اللہ الرحمن الرحیم اعوذ بعزۃ اللہ و قدرتہ علی الشیاء اعیذ نفسی بجبار السماء اعیذ نفسی بمن لا یضر مع اسمہ دآء اعیذ نفسی باالذی اسمہ برکۃ و شفاء (A,oozo bi,izzatil laahi wa qudratihee alal,ashyaa,e oeezo nafsee bi,jabbaaris samaa o,eezo nafsee biman laa yazurro ma,as,mihee daa,un o,eezo nafsee bil,lazis,mohoo barakatun wa shifaa.) (Ref: Naeemul amaal, pg#342-343). 2- Hafzay k liay: Agar kisi talib e ilm ka hafiza kamzoor ho tu wo sorah e nisa ki ayat#113 ko 121 mertabah paani perh perh ker rozana piay tu insha allah is ki berkat se wo alim fazil ho jay ga. (Ref: Naeemul amaal, pg#367-368). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4862
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalmu-alikum warahmattullahi wabar-katuhu mera naam shahrukh hai aur mai machenical hu, hazrat mujhe bhulne ki aadat pal kaam kar kar bhul jata hu koi aisi dua batao jisse mera dimag aur yaaddash tez ho jaye bhulne ki bimari khatam ho jaye

Answer: Har rooz 3 martaba surah e taha (surah#20) ki ayat#25 se 28 parh lain,apki yaad-daasht taiz tareen ho jaegi.(Ref: Book Nawaey saliheen pg#326) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4993
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main koun si dua padhu ke mujhe jald sawalat yaad ho jayen or kabhi na bhulun.

Answer: Agar koi talib e ilm Surah e aaraf surah # 7 ki ayat # 171 ko likh kar kitab mai os jigha rakh dai jahan osay sabaq yaad karna hai, inshallah sabaq yaad ho jae ga jaisa yaad karnay ka haq hai. (Ref : Tajjaliyat e quran pg # 56)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5210
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri age 21 hai. Mera padia me dhyan nahe lagta hai. Me chahta hu ke pad likh ke kuch ban jayu lekin jab padai karne bethta hu to thkan or sochne lagta hu. Fir bad me afsos hota hai. Ap plz mujhe kuch hal btaye.

Answer: Iddatud daae main mazkoor hay k agar bacha ka dil ilm k hosool main nah lagta ho tu sorah e Alaq ki ayat# 1 se 5 tak ko likh ker galay main pehen lain or paani per perh ker pe bhi lain tu zehen or aqal ki taizi k liay bhi mujarrab hay.(Ref: Nawaay saliheen, pg#346). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!