Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9978
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.. Please mjhy btaein k mn kya parhun tu meri olad healthy ho aik mukamal insan ki trhn ho..q k last time b mera miscarriage hogya tha bachy k kidneys nahi thy..Allah pak is baar sb khair kry.. need prayers.

Answer: 1-Sorah e tariq(sorah#86) ki ayat# 1 se 7 tak ko likhain or is se pehlay bismillaahir rahmaanir raheem likh ker kamar main baandh lain tu bacha saqit nah hoga or sahi o salim paida hoga.(Ref: Nawaay saliheen, pg#344). 2-Sorah e bayyanah(sorah#98) ko likh ker paani se dhoya jaay or is paani ko hamilah aurat piay tu oska hamal saqit nahi hoga or tamaam aafato se mehfooz rahay ga. Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10198
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: When examination near my son attitude change, he said he not learn and his behavior change.what I do in this.please advice me.

Answer: Was Salam. Sorah e ibrahim ayat#1 ko 40 baar parh k pani ya sharbat par dam kar k pilain. (Ref: Barkat e ism e aazam by: Doctor sakhawat hussain sandaraalvi. Allah pak aapko talimat e aal e muhammad s.a.w.w par amal karnay aur seekhnay ki taufiq ata farmae. [Updated on 02-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10304
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum mera naam neha hame 17 years ki hun or me apko yebtana chah rahi thi ky mera hafza bhi kamzoor ha koi baaz baatain yaad nahi rehti me sunni hun.

Answer: Riwayat ke mutabiq Surah Taha ki Ayat 25,26,27,28 ko har roz 3 martaba parhay tu ye har qisam ki faramoshi ko khatam kerti ha or hafizay ko mazboot banati ha.(Ref: Nawa e Saliheen, pg#333). Agar koi talib-e-ilm chata ha ke is ko sabaq yad ho jay tu is ko chaye ke Sura Aaraaf ayat 171 ko kisi kagaz per likh ker is kagas ko apnay mazmoon(sabject) ki kitab me rakh de tu wo sabaq is ko Insha Allah yad ho jay ga.(Ref: Naeemul amaal, pg#354). Perhae main dil lagne k liay: Surah e Taha ki ayat#25 se 28 tak ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326). [Updated on 15-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10579
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam sir. Meray etea test hoga august me IN SHA ALLAH TA'ALA.. Ye meri teesri dafa a.. Me bhtt mehnat karti hun par clear ni huwa.. Plz aap koi wazifa bata dain is br k leay

Answer: 1 agar dil ilm k hasool may nah lagta ho to surah e alaq ki ayat 1 ta 5 likh kar is k galay may dalain aur pani par parh k pelain to zehen aur aqal ki tezi k liay bhi mujarrab hay ref kitab naway salaheen pg 346 2 riwayat ke mutabiq surah taha ki ayat 25 26 27 28 ko har roz 3 martaba parhay tu ye har qisam ki faramoshi ko khatam kerti ha or hafizay ko mazboot banati ha ref nawa e saliheen pg 333 agar koi talib e ilm chata ha ke is ko sabaq yad ho jay tu is ko chaye ke sura aaraaf ayat 171 ko kisi kagaz per likh ker is kagas ko apnay mazmoon sabject ki kitab me rakh de tu wo sabaq is ko insha allah yad ho jay ga ref naeemul amaal pg 354 3 imtihaan me kamyabi ke liye ye nihayat mujarrab ha lihaza imtihaan me asaan exams ke liye center jane se pehle 7 martaba surah al infaal ayat 62 ko awal or akir 3 martaba durood perh ker jaey. (Ref: Naeemul amaal#354) [Updated on 28-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12416
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Study me mann nai lagta.mujhe bas apne past aur future ka khayal aata rehta hai. Mobile me anytime pass karti hu. Plz mujhe bataye ki continue study karne ke liye wajifa ya dua. Kyuki study se hi mai kuch kar sakti hu.

Answer: Perhae main dil lagne k liay: Surah e Taha ki ayat#25 se 28 tak ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326). [Updated on 06-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14036
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslkm bhai ma jobhi kaam karta hu thode din bad bhoul jata hu zahaz me nahi raheta iska kuch ilaj batana plz

Answer: Surah e taha(surah#20) ki ayat #25-28 ko rozana 3 martaba parhnay say hafza taiz hojaey ga aur har cheez yaad rahay gi. (Ref: book nawaey saleheen, pg #326). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19759
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Sir aoa mara sawal ye hai ki mara damag bht kamzor hai mai chezon ko bhol jata ho plz koi dua bta dijiy

Answer:

Id: 21962
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam mawlana sahab , mene aapke id per bhi sawal bheja he aap plz iss bat se naraz na hona ki mene 2 bar ye sawal pucha ki, mera dil padhai me nai legta to please aap muje koi assardar wazaif de jo aasan ho taki mera dil padhai ki aur rahe hamesha aur me kitabi aur duniyavi taleem hasil ker saku vo bhi kamiyabi ke sath . allah hafiz

Answer:

Id: 21972
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asalam o allikum .. mera parhne mei bilkul dil ne lagta .. mere ghar waley bi bahout pagley mahiney imtehan hai .. pareeshan hai mujh se .. aesa kya kero ke dil bi lagye parhne mei aur sabh yaad hojaye ? aur ek masla danoo ka hai ACNE jo ke khtam ne ho rae bht ilaj kerwane ke baaad bi .. kuch haal batayein ..

Answer:

Id: 22008
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mery walid ki death 2008 main hvi thi or phir 4 saal bad walida bemar ho gaen or 2012 main unki death ho gae main us k baad bht preshan rehti hon hr ek ki choti choti baat mehsos hoti hai.main bht laiq student thi lekin ab normal b ni rahi parhti hon to samaj ata hai lekin thori dair bad sb bhol jata hai plz meri preshani ka hal bataen

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!