Question: Shadi k bad agar galti sy aurat k piche wali jaga m dakhool ho jaye to kia hukam hy. Lekin ratoobat andar dakhil na ho qoitrat
Answer: Biwi k peechay (back )k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is say nikah batil nahi hota hay.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e Mutakhaba, Mafhoom e Maslah maslah # 67). Update on dated 06-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: assalam o alaikum.. sir mera ye sawal hai k mera nikah hu chuka hai aur hum dono mian biwi phone per aik dosray k sharamgah k baray ma bhi batain kartay hai.to kia ye guna hai ya iski koi gunah nahi.. pls iska jwab zarur dijye
Answer: Shohar or bivi k dermiyaan aisi batain kerna jaiz hain or ye gunah nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#2,Edition#2006,Mafhoom e Maslah #34). Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslamo alikum sir mujy btainy k shadi k bad husband apni wife ki shramagh dkh skta kea???
Answer: Shohar or bivi ka aik doosray ki sharamgaah ko daikhna jaiz hay.Laikin jima k doran bivi ki sharam gaah ko daikhna makhrooh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #5 , Eidition 1427 hij).Update on dated 18-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kea husband apny wife ki breast ko suck kr skta hy kea??
Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Update on dated 18-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Nashe ki halat me shohr bv se zbrdsti hmbstri kr skta he?
Answer: Bivi k liay ye zaruri hai k jab shohar jinsi lazaten hasil kerna chahe to uski khwahish puri kare or share wajah k bagher shohar ko hum-bistari se nah roke. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 38,Mafhoom e Maslah #2376). Update on dated 31-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiya or at ki sahram gah ma much dalna jayze ha
Answer: Sohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein. laikin jism k hissay k alawa koi aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi kr saktay. aur shohar biwi ki sharamgaah main ungli daal sakta hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236). Update on dated 03-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir kia islam main din ko hmbistari krna jaiz hy ya ni
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #5). Update on dated 07-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum biwi pregnant hai aur usi halat me talakshuda b hai aur phir usi husband se phr se nikha karne ka kya fatwa hai Agar nikha jayaz hai tho kab karsakte hai
Answer: Talaq e rije main iddat k doran ruju ker k bivi banaya jasakta hay or agar oski iddat khatam hone k baad ruju kia jaey tu os se nikah ker k os ko bivi banaya ja sakta hay. ker.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 04-05-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Pregnant ki haalit main biwi se pic mang sakty hai pait ki k nhi
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #12). Update on dated 30-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam walaikum mera sawal apse yeh hai k k agar humbistari karte hoye galti se periods hojaye tu kiya is par b gunnah hoga
Answer: Agar periods aany k bad fauran alaidahgi ikhtiyaar ki ho to koe ghunah nahi hoga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #448). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).