Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8965
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi se pahale honewali wife se Shadi ki pahle raat k bare mai baat kr skte hai ky?

Answer: 1) Biwi k alawa kisi doosray sai fehesh batain kerna haram hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34). 2) Jab tak nikah na ho jaay aurat aur mard namehram rehte hain aur na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shehwat angaiz baat nah ho tu koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur nah hi haraam me pernay ka khoof ho. Warna haram hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) . Update on dated 20-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8977
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya larki k breast suck karna haram hai ?

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Update on dated 25-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8987
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Message: shohar apni vife ki peshab wali jaga chose sakta he wo aadat par gae he chor nae sakta use ahista ahista chorna chahye ya foran chorna chahye

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 09-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9006
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hambistri chand ki kon si tareekh ma mana hy? Kisi shahadat ki tareekh ma bhi hambistari mana hy?

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah khumeni(r.a) minha jus saliheen Part #2,maslah #1231) .Update on dated 11-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9010
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya miyan biwi humbistari krty hway ek dosry ka jism roshni me dekh skty hain.

Answer: jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #5, Eidition 1427 hij). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9041
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jab shohar bv ke raza mande ky bagar apne marze kary bv sy dore rahy to bv ko kia karna chahey

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). Update on dated 15-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A/S .. mera sawal yeh h k kya biwi k piche (asshole) p kiss kr skte h?

Answer: Jaiz hay, Q k mian Biwi aik doosray kay Badan ko dekh saktay hain aur isi tarah Lazzat aur Baghair Lazzat kay aik doosray k Badan ko choo saktay hain.(Ref:Minhaaj us Saliheen A.Sistani Part-3 Masala No.11) .Update on dated 27-04-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9082
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam.u.alaikum Mera nikah ho gia hy but rukhsti nai howi kia main us se mubashrat kr sakta hn

Answer: Sigah nikah k zarie mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) laikin nikah k baad aur rukhsati se phele agar larki apne baap k ghar me ho to us larki k shohar k lie us larki k baap k ghar me aane jane aur larki se raabte k lie zarori hai k larki k baap se ijazat le . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) ,(ref: nigha o libaas ,dafter aqa sistani). Update on dated 27-05-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9083
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi shuda foji jawan ko 5 or 6 months chuti ni milti wo kia kry

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). Update on dated 02-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9158
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera yeh question hai....mary dost ki new shadi hui hai ap yeh bta sakty hain k bivi ki pichli marna jaiz hai ya nahi aur apna penis us k moun main dalna plzzz Sir tell me soon i waiting of your answer

Answer: Biwi k peechay (back )k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335) . Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!