Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam o alakium..... kya agr koi kisi k nikah main ho aur ruksati b ho chuki ho ... husbend k pass majood hoty huwy b husbend 8 mah tk hm bistri na kry tw kya nikah makrooh ho jata ha ya toot jata ha.....

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382, 2335). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9181
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia rukhsati se pehly sex jaez hai or nikah k bad

Answer: Nikah k baad aur rukhsati se phele agar larki apne baap k ghar me ho to us ghar me aane jaane aur biwi se raabte k lie zarori hai k larki k baap se ijazat le le.(ref:resala amliya,author:syed mujtaba hasani,fatwa aqa sistani,pg:184). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9183
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis say pyr krty hu kya us say sexi chaat krna zina hai

Answer: Biwi k alawa kisi doosray sai fahash batain krna haram hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34) Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k (yani mard ne apna aala tanasul aurat ki sharamgha me dakil na kiya ho to )zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) or eska kaffara nahi hota aap sachey dil se toba kar lijye. (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3 , masla # 16) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9184
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri shadi hogai he or mein ne abhi tak humbisteri nahi ki, kia ye koi gunnah to nahi or humbisteri zaroori he or agar he to shadi ke baad kab tak krleni chaye?

Answer: Shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi hay. (Ref : E-mail rcvd from sistani(d.b),dated:26. 05-2010). Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 9208
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikkah k bd shohar apni bivi ko hath lga skta hai ya nhi jb k bivi abi apny ghr ho rukhsati na hui ho

Answer: Nikah k baad shohar ka bivi ko hath lagana jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #b/f2372). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9219
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mra swal ye h k kya shohr or biwi ik dussre k private organs dkhe to gunah hta h? Or uske bd jo olad peda hti wo bemar hti? Kya ye darust h?

Answer: Shohar or bivi ka aik doosray ki sharamgaah ko daikhna jaiz hay.Laikin jima k doran bivi ki sharam gaah ko daikhna makhrooh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #5 , Eidition 1427 hij). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9229
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Humbistri k bary main detail btain plz in muharaam

Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 03-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9232
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: humbistri detail in muharum

Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 03-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9236
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muharam mien bivi. Se mubashirat jaiz hai ya nahin

Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 05-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9315
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kay bowie no shramgah no jousna jazz ha

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382, 2335). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!