Question: Sir kia bv ko ungli daal ker release kia ja skta ha?
Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein. laikin jism k hissay k alawa koi aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi kr saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal sakta hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236).Update on dated 14-08-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A-o-A...sir agr bv razi ho tu kya anal keya ja skta hai?
Answer: Agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makhroh hay. (Ref: Al masael ul muntakhaba masalah# 70). Update on dated 14-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar bivi sex nahi krne day to kia hukum ha?
Answer: Biwi ky liay jaiz nahi k shohar ko mana karay lekin agar mana karay or uzr e share bhi nah ho to wo nafaqqay ki haqdaar nahi hoti hay. (Ref: Al masail ul muntakhaba, maslah#1014). Update on dated 24-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar bewi na gair mard sa zina Karte rahe ha or Ab wo apna shohar sa mafi mang ka toba kar rahe ha or shohar ko btaea bhe bewi na khud ha gis ka dhohar ko bahot ranj ha ab shohar kia kara maf kara ya talaq da da
Answer: Shohar ko ikhteyaar hay k maaf kerday ya phir talaq day day. Laikin wazeh rahe k talaq dena zarori nahi hay or bivi apne shohar per halal hi rahe gi. (Ref: Minhajus saliheen, jild# 3, maslah# 179). Update on dated 19-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: biwi k sath pechy se jima kal lia hai to is ka kufara kya hai
Answer: Biwi k peechay (back )k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335). Update on dated 20-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)..
Question: Mai aur ek ladki dono ek dusre s bht pyar krte the pr wo ghr p bat nhi kr saki aur mje bina btaye usne kisi aur s apnr ghrwalo ki mrzi s shadi kr li hai ab kya uski talaq ho kr mjse shadi ho skti hai mje behtar rai dijiye
Answer: Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se muta,alliq azdawazi zimmedariyaan pori nah karay takeh is terah shohor ose talaq daine per majbor hojaay or wo khud os aurat k saath shadi ker sakay tu talqa or nikah sahi hay.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2502). jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). Update on dated 11-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASSALAMUALAIKUM kya mohoram me biwi ko mayke bhejnaa jaruri hai please jald se jald bataaye
Answer: Shohar per zarori nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #338). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 13-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal ya hai...k jab ek larka or ak larki ki shadi hoti hai or wo 7 months tak ek dusre ko touch tak na kare.or ek dusray ko pasaed b na kare tu kai wo nikha rehta hai plz mjy is ka ans bata de
Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). Note: Shohar agar apni jawaan bivi se 4 mahinay se ziyada hambistari nah kary tu nikah batil nahi hay.(Ref: E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 27.04.12). Update on dated 13-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr ek shadi shuda mard shadi ke baad zina kare kisi aurat se tu kya uski biwi us pe haram hai
Answer: Os mard per oski bivi haram nahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2367). Update on dated 13-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya chand garehan khatam hone ka foran bad mian bv hambistri kar skte hen
Answer: Chand girhan ki raat main ya soraj girhan k din main hambistari kerna jaiz hay laikin makhrooh hay. Yani soraj girhan lagne k baad se poora din hambistari kerna makhrooh hay or is tarah chand girhan lagne k baad se poori raat ghambistari kerna makhrooh hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 14-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).