Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13646
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri shadi ko do saal hogye h par masla. Ye hai ki mera ling bahot chota h jisse wo puri tarah santusht nhi hopati .. To kya mai apni marzi or uski marzi se usko kisi or humbistiri krne du to kya hamara nikah tut jayega

Answer: Jee nahin, ye jaiz nahin hai. Q ke Kisi bhi larki ka apne shohar k alawa kisi aur se jismani talluq rakhna gunah e kabira hay.(Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen part #1, edition #1439, maslah #30) [Updated on 21-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kitni age tak shohar apni biwi ka sath hambistri kr skta ha?

Answer: jub tak us ki zojiyat mai hai biwi us par halaal hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 page no 357). [Updated on 10-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13671
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya periods ki halat men shohar biwi ky pistan chos skta h

Answer: 1: Halat e haiz mai jima karna mard aur aurat dono k liye haram hai. laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah # 448,451) 2: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay, laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) [Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13676
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I am from larkana 910. Me ne kahe dafa bv k 7 peche se kam kia ha to mere leye kia kufara hogaaa

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. aur is ka koi kaffara wagera bhi nahin hai. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). [Updated on 14-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13684
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سورج گرہن یاچاند گرہن میں مباشرت کرنے پر کیا حکم ہے؟ جانے یا انجانے دونوں حالتوں میں کیا حکم ہے؟

Answer: Soraj or chaand gerhan ke waqt hambistri karna jaiz hai. lekin makroh hai aur is kam say perhayz kerna behtar hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), minha jus saliheen Part #3, maslah #5) [Updated on 15-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13689
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me mulk se bahar hn 2 saal se biwi ko hambistri ki zrorat hy me abi wapis ja nhi skta to Kia biwi ko ksi mard K sath hambistri ki ijazat de skta hn?? Agr wo iska mutalba krti hy to..ya uska sabar khtm hojae tb Kia hukum h

Answer: 1: Shohar k liye ye haram hai k us ki biwi kise dosre mard k sath haram taloukat rakhe aur wo khamosh rahe. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen Part #1, Edition 2009, Maslah #30). 2: Shohar apni jawaan biwi se chaar(4) mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark nahin kar sakta. magar yeh keh hambistari os ke liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka baais ho ya os ki biwi khud chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zaman mein chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gae ho. Aur is hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shauhar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai is liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jayez nahin keh ghair zaruri safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar(4) maah se ziyadah tool diya jaay. Ref:Aayatullah Seestani (d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #39, Maslah #2382 ) [Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13695
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mobile py yan call py sex ki batain krna zinah hai yan ni?

Answer: biwi sai is tarah ki baatein ki jaa sakti hai lekin na mehram sai is tareekay ki baatein karna jaaiz nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) [Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13698
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya biwi shohar ka lun pakr skti hy doran sex mtlb shehwat k liye sehla skti hy koi gunah tu nai

Answer: Miyan biwi apas men har qism ki lazzat hasil kr sakte hen lehaza un ka ye amal bhi jaaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13701
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamoalaikum agar shohar ap k jismani haqooq yani mubashrat m doran puray karnay ka ehal na ho...apna ilaj krwanay k bawajud bh...to kya aurat is wajah ki bina pa us sa talak e khula lay skti h?

Answer: Agar biwi ko nikah k baad pata chale k os ka shohar aisi beemari me mubtila ho k apni biwi se jima na kar sakta ho. aur wo bemari nikah k baad aur jima se phele ,ya jima karne k baad kyu na aai ho to in tamaam surato me aurat talaaq k baghair nikah khatam kar sakte hai. Laikin is surat me k shohar jima na kar sakta ho aur aurat nikah khatam karna chahay to is aurat per laazim hai k phele haakim sharah (yani mujtahid ) ya is k wakeel se ruju kare aur haakim sharah (yani mujtahid ) is (shohar ko) 1 saal ki mohlat de ga lehaza agar is douraan shohar ,biwi ya kise dosri aurat se jima na kar sake to is k baad aurat nikah ko khatam kar sakti hai bager talaq ke. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah #2346 ). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13757
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sunni talaq yafta larki se shia larka shadi kr skta ha?

Answer: Jee han, jaiz hai albatta (chahe shia larka ho ya larki) agar apne mazhab ke tabdeel hone ka imkaan ho to phir jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1 , sawaal #134, pg # 70) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!