Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13849
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wife k sath back hole m hambastri krna jais h

Answer: Anal sex biwi k raazi nah hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13865
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr biwi razi ho to kia wo shohar ka nafs choos sakti hai

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13923
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sadi ke bad kitne baar zinah kr sakte he

Answer: Nikah ke baad biwi ke sath jo jima(intercourse) kiya jata hai use zina nahin kehtay, Balke nikah k zariye mard aurat per aur aurat mard per hamesha ke liye halal ho jate hain(yani mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hai) aur ye nikah kabhi bhi khatam nahin hoga siwae ye ke talaq ho jaye, to talaq ke zariye nikah khatam ho jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani(d.b.), Edition 41st, before Masla #2328) Shohar ke liye apni biwi k sath 5 Awqat(Times) mai jima(intercourse) karna haram hai. 1.Haiz ki halat mai jima karna. 2.Nifas (yani jab aurat ko bacha paida honay k baad 10 din tak khoon aata hai) os halat mai jima karna. 3.Rozay ki halat mai jima karna. 4.Iatikaaf ki halat mai jima karna. 5.Hajj ka ehraam bandhnay k baad jima karna. (Note: Uper batae gaye Awqat(Times) elawa baqi kabhi bhi shohar apni biwi se jima(intercourse) kar sakta hai ). [Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13924
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya miyan biwi pr humbistri lazim hai?

Answer: shohar k liye laazim hai k jawan biwi sai 4 mahine sai ziaada humbistri tark na karay lekin agar dono raazi ho tou koi maslah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2382). [Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13928
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi k baad ladki ko maa k ghr Kitna Din REHNA chaie

Answer: Biwi k liye laazim hai k shohar ki ijaazat k baghair ghar sai na nikle, shohar jitne arsay k liye ijaazat de us hisaab sai reh sakti hai shariat ne koi din moayyan nahi kiye.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 maslah no 2376). [Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13944
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr shohar 8 saal tk apni bivi se hmbistri na kry aor 1 saal un ki narzagi bohttt zada rhy k wo aik doary ki shakal bi na dekhen to kia un ka rishta baqi rhta hai ya khtm ho jata hai

Answer: Rishta baaqi rehta hai baat na karney sai ya humbistri na karney sai nikah batil nahi hota albatta shohar k liay wajib hai k apni jawan se biwi sai 4 mahine sai ziada humbistri tark na karey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2382). [Updated on 20-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13998
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-u-Alikum Sir Sex shadi ke bad biwi ke sath jaiz he agle hise main ho ya pichle hise mein ? Jawab Islam ke mutabik dijie ga Suni tareke ke mutabik

Answer: W/salam, Is website par fiqah e jaffaria (mazhab e shia) kay mutabiq jawabat diye jatay hain. [Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14012
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera nikah ho chuka he gharwalo ki razamandi se zahir taur pe meri ruksati ki gyi thi mgr sirf ek din k liye me sasural me thi ab agr me or mere shohar gharwalo se chhupa kr humbistar kre to vo jaiz he?

Answer: 1)Sigha nikah k zariay mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hai) .(nikah k baad rukhsati hona zaroori nahi hai). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) 2)Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahe hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay sohar k lie paish nahi karti, is tarah sai k ise aik zimne shart samja jata ho to phir aurat k lie nikah k bad rukhsati se phelay shohar k lie apne aap ko paish karna wajib nahi hai agarcheh agar aurat bhi raazi ho tu hambistari jaiz hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72). [Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14032
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar hum bistri k doran, husband ki finger galti sy wife k back walay hole main chali jati ha tu is k kya kafara ha

Answer: Biwi k maqam e pakhana main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hai. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah #67) (Note: Agar galati se howa ho to koi gunah nahin hai aur kaffara to kisi soorat men nahin aaye ga). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14037
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia nikha k bd larka larki sex kr skty hain jb k abhi tk rukhsti na hui ho lkn nikah sb ki razamandi sy hua ho pr abhi rukhsti na hui ho or dono sex kr len to is ka gunnah hai k nai..

Answer: 1: Sigha nikah k zarie mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) .(Aur nikah k baad rukhsati hona zarori nahi hai). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masal, before Masla #2328) 2: Agar riwaj yehi ho k jab tak rukhsati nahin hoti is waqt tak larki apnay aap ko apne shohar k liye pesh nahin karti is tarah se k ise aik zimni shart samjha jata ho to phir aurat k liye nikah k baad rukhsati se phele shohar k lie apnay aap ko pesh karna wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72) [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!