Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13293
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please please muje bataen husband biwi ko jismani satisfied na kare to biwi kia karen.? Mene boht boht bar kaha hai par wo smjte he nai chahte please bataen kia kare biwi

Answer: 1: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein.laikin jism k hissay k alawa koe koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker sakta.or bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b) 2: Mustahabaat e jima (recommended orders of intercourse) main ye bhi milta hay k koe shaks apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas (chhaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana) cheerh chaarh or hansi mazaaq karay. is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay. In ki nazar main fauran jima kerne par merd ki mani jaldi se kharij hojane ki sorat main merd ki khahish tu pori hojati hay laikin aurat ki khahish pori nahi ho pati. jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay. shayad isi liay deen e fitrat (mazhab e Islam) ne orgasm yani masaas, bosah baazi (kissing), cherh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima k liay pori terah aamadah ho jaay or jab is se jima kia jaay tu wo bhi merd ki terah se pori terah jinsi tasalli hasil ker sakay shayad isi liay rasool khuda (s.a.w.w) ne irshad fermaya k: “ jo shaks apni aurat se jima karay wo murgh (cock) ki terah os k paas nah jaay balkeh pehlay masaas (orgasm) or dast baazi (badan pe haath phairna) or khush tabae karay, is k baad jima karay.{Ref: Tehzibul Islam, pg#109} or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq (a.s) se kisi ne deryaaft kia k : “agar koe shaks haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi kara y(playing) tu kaisa hay? Aap (a.s) ne fermaya khuch mozaiqa nahi (No Problem) laikin ajzaay badan (parts of body) k alawa or koe chhez is maqam main dakhil nah karay.{Ref:tehzibul Islam,pg#231} Yani aurat ko jima k liay pori terah aamada kerne ,yani garam kerne k liay merd aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu(part) se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or merd dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay.(Ref:Islam or jinsiyaat, mu,allif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg#145-6). 3: Jima se pehlay masaas (orgasm) k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone (discharge) k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay, merd se chumtay, liptay, apne hatho ya taango se merd ko kas ker dabaye. Tab merd bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraa (emiting of penis) ker k farigh ho jaay, agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul(penis) ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah hojaay, phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag hojaay. .(Ref:Islam or jinsiyaat, mu,allif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg#151). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr hsbnd 1 sal sy bv sy do0r ho aur razi ho ki bv gairmard se humbistari kry to kia hukam hai?

Answer: 1-Ye haram or zina hai or gunah kabira hay.(Ref: Minhaj us saliheen Ayatullah seestani jild#1, maslah#30). 2-Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13308
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr hsbnd 1 sal sy bv sy do0r ho aur razi ho ki bv gairmard se humbistari kry to kia hukam hai?

Answer: 1-Ye haram or zina hai or gunah e kabira hay. (Ref: Minhaj us saliheen Ayatullah seestani jild#1, maslah#30). 2-Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا میاں بیوی ایک دوسرے کے شرم گاہ منہ میں لے سکتے ہیں۔ اس کا مقصد ایک دوسرے کو سیکس کے لیے تیار کرنا ہو۔

Answer: Shohar or biwi ek dosray ki sharamgaah ko moo (mouth) laga saktay hain, mgr ye k sharamgah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaye). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13416
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salaam o alikum, Agr Mard ko Durany Hamal Pata Chaly k us ki Bivi Ny Begairati ki hy or Hamal us Zina ki waja sy huwa hy or hamal 8th month mn ho to Islamic Laws k Mutabiq kya krna chahiye

Answer: Biwi ne zina kar k gunah e kabeera ka irtekaab kia hai Lekin Is se nikah par koi farq nahi parhe ga (yani shohar par haram nahin hogi) or agar biwi taubah o istighfar nah kare or apne amal per baqi rahe (yani zinakari tark na kare) tu behtar ye hay k os ka shohar osay talaq day day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2367). [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13435
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam walekum.. kia biwi agr jima k lie raazi nh hui to uske shohaar k gussa hona jawaz h?

Answer: 1: Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or share uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Aur auratoo k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef nah pounchay aur kisi share wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh nah aay. Biwi ki rihaish, giza, libaas aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. 2: Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti kapray makaan ka shohar zimedaar nahi hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition# 39th, Mafhoom e Maslah # 2376,2377) [Updated on 14-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13438
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa .kia yeh bat drust h k mian b.v ko 1 dusry ki shrm gaah ki trf jama krty huvy ni dekh skty . .kia yeh drust ha ?

Answer: Jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar karna makrooh hay is say perhaiz kerna behtar hay. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) minhajus saliheen Part #.3, maslah #5). [Updated on 16-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13442
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere dost ki shadi up ek salam hogaya hai or uski wife ney usko nikah k 1saal baad btaya k usko baap me sath 10 sala pehle zine Kia the or 10 saal sey aesa koi kaam nhi Hua usko bad essay shadi ki tou ap yeh shadi chai sakti hai

Answer: Zina ki wajah se biwi apne shohar par haram nahi hoti. Is liay shohar aur biwi ek dusre ke sath zindagi guzaar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41st edition, maslah #2367). [Updated on 14-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13460
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia period k doran shohar Bivi ko oper oper se ragar k farigh kar sakta ha jb k Bivi ki shalwar b na utri ho

Answer: 1: Agar koi shaks aurat k haiz ki halat mai jima(intercourse) karay tou haram hai aur ghunahgar hai laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) krna jaiz hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition, maslah # 451,2426). 2: Bivi se istimna karwana jaiz hay. Ager istimna (jima ke ilawa kisi or tareqe se mani nikaalna) shohar o bivi ke dermiyaan ho to jaiz hai jese shohar bivi ke zarye apni mani nikale jima ke bageer, or is hi terhan bivi shohar ke zarye jima ke bageer mani nikale, or ager is sorat ke ilawa ho - chahe mard o orat kud apni apni mani nikalain ya ik mard ajnabi orat ke zarye ya orat ajnabi mard ke zarye mani nikale - to haraam o guhnaah e kabera main se hai. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009) , (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236).(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01734/ [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13469
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mjh sy zina ho gya glti hoi hai maine dil sy toba b ki hai kia jis sy shadi kr ri hon us ko yai sb btana zroori hai ? dar hai k wo chorh na dy r asy dil py bojh sy please quran o sunat ki roshni main guide krain

Answer: Shohar ya kisi bhi shakhs k saamne apne gunah batana jaiz nahi hay. (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part#2, pg#88). [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!