Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14304
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1 saal hony ko h abi tk pregnancy ni hui mre husband oulaad k bht khawahish mannd h

Answer: 1: Jab tak mard ki mani aurat k rehem main nah jaye tab tak aurat pregnant nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamla nahin ho sakti. 2: Hamal theherne ke liye Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, aur apni rano ko milaey takeh hamal theherne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #150 to 152). 3: Agar koe shakhs laa aulad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat #74 (wal,lazeena . . . . .imaa,maa) ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaey. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaey. (Ref: kitab naeem ul aamal, pg #331). [Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14378
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shohar biwi KO apne qarebi rishte daaro we Milne we role jaise Khala waghera

Answer: Shohar biwi ko ghar se bahar jane se rok sakta hai. Albbatta mard ke liay munasib hay k apni biwi ko ijazat day k wo apne rishtedaron se mulaqaat karay. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #337,338). [Updated on 14-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14488
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohar biwi se humbistari krne se mna kre to kya vo gunahgar kehlayga ya nahi?

Answer: Shohar apni jawan biwi sai 4 mahine sai ziada muddat k liye humbistri tark nahin kar sakta. Aur agar 4 mahine se ziada muddat k liye humbistri tark kare to wo gunahgar hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2382). [Updated on 28-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14533
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara sawal ya ha k ma Muslim hoi hon r Mari shadi b Muslim sy hoi ha to Kia ma apna christian rishta daron sy Ni mil sakti mara husband mujhy in sy milna Ni data

Answer: 1: Kafir yani wo shakhs jo khuda k wajood ya khuda k aik honay ka iqrar na karta ho wo najis hai. Laikin ahl e kitab yani christen, yahoodi aur majoosi pak hain aur wo jo baran dhain gay wo bhi pak hon gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #103). 2: Shohar k liay munasib hay k wo apni bivi ko is baat ki ijazat day k wo apnay qareebi rishtaydaaro se mulaqaat ko jay, or apnay mareez rishtaydaaro ki iyadat ko jay,or rishtaydaaro k janazo main jay,waghaira waghaira, agarcha shohar par ijazat daina wajib nahi hay.or shohar ko ye huq nahi hay k wo apni bivi ko kisi wajib kaam ki adaigi k liay ghar se bahar nikalnay se rokay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#338). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14562
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya biwi ko video chat par bina libaj( kapre) me dekh sakta hai

Answer: Biwi ko online barhana daikhna jaiz hay laikin khayaal rahe keh is amal ki wajah se musht zani nah karne lagain Q keh mushtzani karna jaiz nahi hay or gunah e kabira hay. (Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14573
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr shad ki bad husband and wife 1 month sath rahy or husband bv ka haq ada na kara to talak ho jati kia

Answer: 1: Shohar apni jawan biwi sai 4 mahine sai ziada muddat k liye humbistri tark nahin kar sakta. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382). 2: Jab tak shohar apni biwi ko talaq na dede tab tak inke darmiyan izdiwaji hesiyat qaaim rehti, lehaza faqat hambistry na karne se nikah khatam nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14578
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A MERA SAWAAL YEH HAI K KIYA HUSBAND APNI WIFE K DONO BOOBS (BREAST) K DARMIYAAN MEIN PENIS RAKH SAKTA HAI YA AISA KARNA ISLAM MEIN HARAM HAI

Answer: Shohar or biwi ke liay jaiz hai ke wo aik dosray ke jism ke tamaam hisso(parts of body) ko jism ke kisi bhi hissay(part) say chhoo(touch) saktay hain ye chhoona chaahay lazzat ke iraday say ho ya baghair lazzat ke, jaiz hai. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Edition #1439, Maslah #11). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14709
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab mera sawal hai k periods se phele 1 2 din stain lgta hai or proper blood ki thra nhi hota tu kya us mn husband k sath sex kr skte hn ya nhi

Answer: 1) Haiz ke ayyam men doosri lazzaat haasil ki jaa sakti hai kyun k haiz ki haalat mai biwi sai faqat farj (agli sharamgah) mai jima karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). 2) Aurat halat e haiz main ho ya nah ho Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, Jab keh agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)1) Shohar k huqooq men se ek ye he k jab bhi shohar jinsi lazzat hasil (sex) kerna chahe to biwi uski khwahish puri kare, or jab tak shara`ee uzar nah ho (e.g periods) tab tak shohar ko hambistri se mana nahi ker sakte. 2) Shauhar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyadah k liay hambistari tark nahin kar sakta, Magar yeh keh hambistari us ke liay nuqsaandeh (harmful) ya bohut ziyadah takleef ka ba’is (reason) ho ya os ki biwi khud 4 mahine se ziyadah ke liay hambistari tark karne par raazi ho, ya shaadi karte waqt nikaah mein 4 mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gaee ho. Aur is hukum mein ehtayaat-e-waajib ki bina par shauhar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai iis liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jayez nahin keh ghair zaruri safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair 4 mahine se ziyadah tool diya (lamba kiya) jaay. Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 35,39,Mafhoom e Maslah #2376,2382) [Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14718
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alaikum Pregnancy ke time wife k sath sex na krne ko bola jata h.to kya wife apne husband ka hand practice krke mani gira sakti h

Answer: wsalam jee aisa karna jaiz hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01734/). [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14751
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamalikum Periods aa gy thy lkn mujhe pta nai chala or meray shohr ny mubashrat kr li ...ab yh sb unjane m huwa Lkn iska koi kafara hai to bataien

Answer: Haalat e haiz mai aurat ki farj mai jan buj kar dukhool karna haram hai is ka koe kaffara nahi hai albta agr galti say kia ho to guna nahi hay .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!