Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15541
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can I give sex booster to make our night lengthy and have good sex experience can we both take sex drivers tablets???

Answer: Yes it is lawful.(Ref: istifta from ayatullah sistani) [Updated on 10-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15584
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I M 30 YEARS OLD WOMEN AUR MAIRE AUR MAIRE SHOHAR KE DARMAIN AZDWAJI TALUKAT NAHI HAI 5 YEARS SE AUR WO MUJHE TALAK BE NI DAITE TO IS HALAT ME MUJHE KIA KRNA CHAHIE.

Answer: 1: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari (intercourse) tark nahin kar sakta (yani 4 mahine tak hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai) magar ye k(except) hambistari us k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya uski biwi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay ki shart rakhi gae ho. 2: Jab shohar biwi se kinara kash ho jaye is tarah ke na wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. laikin jahaan shohar biwi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur per poora nah karta ho jis se us ka gunah ke murtakib honay ka khatra ho, is soorat main agarchah wajib yahi hay k shohar biwi ki khahish poori karay ya us ke talaq ke mutaalbay ko poora karay. liakin agar shohor aisa nah karay tu biwi ko sabr or intezaar kerna chahiay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382. + Jadeed Fiqhi masail, maslah #428). [Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15595
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Galti se biwi ke maa se zina karne se biwi se nikah toot jata he

Answer: Jee nahin, is se in ke (shohar or biwi) nikah me koi farq nahin pare ga or nikah sahi or halal rahe ga. Han! abatta saas or damaad ke darmiyan is tarh ke taluqaat jaiz nahin hain. Q ke agar koi shakhs kisi aurat ke sath nikah kare to us aurat ki maan (saas) is mard (damad) par haram ho jati hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2349,2360). [Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15596
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hais ki halat me aurat farig hona chahe Bina dahol kiye Sirf husband k chone se farig hona chahe to kiya krna chahye

Answer: 1: Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. laikin jima ke ilawa baqi lazzat maslan lams (touching) or bos-o-kinar (kissing) wagera karna jaiz hai. Is men koi haraj nahin hai shohar aur biw aisa kar sakte hain. 2: Aur faarigh hone ki surat men aurat chahe tu haiz se pak hone ke baad haiz ke ghusl ke sath janabat ka gusl kar le. Q ke jis par chand ghusl wajib hon (maslan gusl e janabat or gusal e haiz) to wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon ke liye bhi kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,451,387). [Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15603
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Mazi or Mani dono ka biwi k halaq tk jny se nikah toot jata ha ya sirf Mani k jany se Kindly explain krke bta dein

Answer: (Note: Is website per fiqha e jaffaria {shia mazhab} ke mutabiq jawabaat diye jata hay) Fiqh e jaffaria ke mutabiq dono se nikah nahin totata. Agarcheh bivi k liay jaiz nahi hay keh wo rutubat ko halaq se niche utaray. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472+istifta ). [Updated on 03-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15785
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum , agha mujhe bataye k hambisteri Bivi ya shohar share Kar sakte ? Aur dosra sawal ye hai Bivi Buland awaz main humbistri sb k samne Bata de Tou ye Amal theek hai ?

Answer: Aam mamool ki baten share ki jaa sakti hain, lekin aisi baten karna ke jis me fuhush kalami (bay houda alfaz) maujood ho or jo miyan, biwi ke darmiyan makhsoos hon, jaiz nahin hai. (Ref: Minhaaj us Sliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #34). [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15795
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Biwi ki duri hone ki waja nafs ko kese mutmain kare? Khandani maslo ki waja se biwi ke sath hambistri hona mushkil h. Jald jawab ka muntazir hu. Shukria

Answer: 1: Istimna or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. 2: Apne aap se ehed or wada karain ke gunah ko anjaam nahin dain gay, or hameshah yaad rakhain ke Allah aap ko daikh raha hay, or gunah ko anjaam day kar shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani kar rahay hain. koshish karain ke khuch mufeed kamon main khud ko masroof ker lain jaisay sport, parhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar khud par qabo nah paa saktay hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon ke muqabilay mai dhaal ka kaam karta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Mafhoom e Maslah #2296. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). 3- Agar haram main mubtilah hone ka khoof ho tu phir bivi ko lay kar ain ye aap per wajib hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani db, maslah#2406) [Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15909
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaqyafta larki say us k pehle nikahki baten pochna jaiz he ya najaiz or bilkhasus agar wo baten us kay pehle shohar kay sath azdawaji taluqat k hawalay sy houn to haram amar ho ga?

Answer: Nikah ke hawale se aam mamool ki baten ki jaa sakti hain isi tarah us se poochi jaa sakti hain, lekin aisi baten karna ke jis me fuhush kalami (bay houda alfaz) maujood ho or jo miyan, biwi ke darmiyan makhsoos hon, jaiz nahin hai. (Ref: Minhaaj us Sliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #34). [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri ami n dusri shadi ko ha ab wo jo.un ka 2 shohar hy wo huk sy milny nhi deta asy ainsan ky liya kay saza hy jo ma ko uld sy dur krta hy

Answer: Shohar, apni biwi ko ghar se bahar jane se rok sakta hai. Albatta mard ke liay munasib hay ke apni biwi ko ijazat day ke wo apne rishtedaron se mulaqaat karay. Shohar ke jo wajib huqooq bante hay shohar par apni biwi ko paband kar sakta hai ke biwi un ko ada kare or jo cheezien shariyat me biwi par wajib nahin hain shohar us se us ka mutaalba nahin kar sakta ya biwi ke jaaiz kaamon par pabandi nahin laga sakta (jab tak shohar ke huqooq me rukawat na bane) Shohar apni biwi par ghar se bahir nikalne par to pabandi laga sakta hai laikin ghar me reh kar kisi rishtedar se phone par ya wese he baat karne par pabandi nahin laga sakta, shohar ke liye munaasib (behter) hai ke apni biwi ko ijazat de ke wo apne qareebi rishtedaron se mulaqaat kare or us ke khaandaan walo me se jo mareez hon un ki ayaadat kare or apne khaandaan walo ke marhomeen ke janazon me shirkat kare or is tarah ke kaam anjaam de balke shohar ke upper ye (cheez) wajib hai ke ijazat de itni miqdaar me ke (khaandaan waalo ke sath) niaki ka barqaraar rakhna jis ka taqaza karta hai or shohar ko ye haqq hasil nahin hi ke biwi ko (ghar) se nikalne se mana kare jab biwi ka nikalna aise kaam ke liye ho jo biwi par wajib ho (jaise ke biwi ka wajib hajj ke liye nikalna) or jis aurat ka daaimi nikah hua hay us ke liye apnay shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahir nikalna hi haraam hay ,siwaay is surat ke us ka ghar main rehna us ke liye nuqsaan ka sabab ho ya bohat ehem zaroorat paish aajaye. (Ref: sistani.org , arabi. silat-ul-reham, sawaal #4, https://www.sistani.org/arabic/qa/0575/ + Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #337,338,339). [Updated on 15-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15999
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaekum Agha sahab na mardi kya he iski iqsaam kya he iski iqsaam kya hen?

Answer: Na-mardi ki kayi aqsam hain 1) : Aisa mard jisay mubashrat ke douran shehwat nahi aati lekin baad mein ajati hai jaisay khud lazzati ya porn dekhnay se ya mard ke sath. (lekin sprem sahi hotay hain). 2): Aisa na-mard jisay chand saa-at(Time) ke liye barri khincha tani ke baad shehwat aati hai kaafi mushaqqat aur mehnat kar kay. ( lekin sprem sahi hotay hain ). 3) : Aisa na-mard jisay mukammal shehwat aati hai lekin uss ke sprem is qabil nahi hotay ke hamal thehra saken 4) : Aisa na-mard jis ko sirf is soorat shehwat aati hai jab tak uss k maqad ( back hole ) mein kisi dosray mard ka aala nah jaye 5) : Aisa na-mard jis ko aurat ke paas jatay hi khauf taari ho jata hai nateeja shehwat nahi aati 6) : Aisa mard jis ko kisi khaas Khayalaat (Fantasy) baghair shehwat nahi aati waghera nateeja. .. .. .. .. .. .. .. . . In mein se siwaye number 3 ke baqi tamam bachay peda karne ki salahiyat rakhtay hain. . kyunkay aurat ko hamal thehranay ke liye mani ke aik qatray ka sawa hissa bhi kaafi hota hai jo jaisay kaisay andaam Nihani mein dukhool ho jabkay aurat ka bhi inzaal sun-hwa ho chahay kisi bhi tareeqay se. .. .(https://free.facebook.com/1544879679128350/posts/1563375630612088/?_rdc=1&_rdr&fbt_id=1563375630612088&lul&ref_component=mbasic_photo_permalink_actionbar#s_5c0f3d8c2c7992251ec5fe3000072bbf) [Updated on 25-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!