Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14759
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can wife masturbate her husband

Answer: Yes, it is lawful between husband & wife. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01734/ sawal #7). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14767
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar husband wife ko finger kare aur zor zor se fingers ander bahar kare jis se wife se liquid nikle leken wife release na ho sirf liquid hi bahar nikle to kiya aisi soorat main wife pe gusal wahib hoga? Ayatullah sistani ke hisab se bata dein

Answer: Wo rutoobat jo aurat say shahwat k saath khaarij hoti hai agar is hud tak ho ke use inzaal kaha jaa sake aur libaas ko aaloodah kar de, jo aam taur par os waqt nikalti hai jab aurat jinsi shahwat tak pohanch jaaye, to yeh najis bhi hai aur aurat mujnib bhi ho jati hai. ( wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwurat k waqat apni sharamghah men mehsoos karti hen or wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke doosri jaghah ko aalooda karay, to wo paak hay or us k liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan aghr rutoobat is qadar ziada ho k inzaal kehlaye or libbas ko aalooda karay jabke sath sath aurat heejan e shehwat ki intiha ko puhanch jaye or mukammal razamandi (orgasm ) ho to najis or janabat ka mojib hay balkeh agar heejan e shehawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyaat e lazim ki bina par najis or janabat ka mojib hay or in maqamaat par jahan aurat shak kary keh rutoobat is had say ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat k kharij hony men shak karay to ghusl wajib nahi hay or wuzu or ghusul bhi batil nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #345). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14770
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shohar ki ijazat k beagir larki apne ma bap se nai mil sakti ?

Answer: Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aaye ya ghar mein rehna us k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar us k monahsib nah ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376). [Updated on 01-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14779
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia sex medicine ya sex cream ka kam krna jaiz hai ya nahi

Answer: Jaiz hai. (Ref: email rcvd from sistani) [Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab Assalam alaikum Apni biwi ke sath hambistari karna kisi khas din ya kisi khas time mana hota h? Please iske bare thoda details batane ki zahmat kare

Answer: 1: Sigay nikah k zariye mard aurat per aur aurat mard par hamesha ke liye halal ho jate hain yani (shadi or ruksati ho jaane ke baad) jab bhi chahen mian biwi wale taluqat qaim kar sakte hain siwaye chand dinon men ke jin men Shohar ke liye apni biwi k sath jima(intercourse) karna haram hai. 1. Haiz (wo khoon jo umoman har mahinay chand dino ke liye aurton ke reham(sharamgah) se kharij hota hai) ki halat mai jima karna. 2. Nifas (jab aurat ko bacha paida honay k baad 10 din tak khoon aata hai) ki halat mai jima karna. 3. Rozay ki halat mai jima karna. 4. Etikaaf ki halat mai jima karna. 5. Hajj ka ehraam bandhnay k baad jima karna. ye wo Auqat(Times) hain ke jab shohar ke liye apni biwi ke sath jima karna haram hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #2328. 448,504,1553, pg #479). 2: Jima k waqt jo kaam makrooh(na pasandeedah) hain un main say kuch ye hain 1. Soraj or Chaand gerhan ke waqt jima karna, 2. Zawaal e aaftab ke waqt jima karna siwaay jumeraat k din k, Q ke jumeraat ke din zawaal e aaftab ke waqt jima karna makrooh nahin hai, 3. Gurub e aaftaab k waqt jima karna 4. Chand ki aakhri 3 raaton main jima karna, 5. Fajar k baad soraj nikalnay say pehlay jima karna, 6. Islami mahinay ki pehli taarikh ki raat(chand raat) men jima karna siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main, Q ke Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main jima karna makrooh nahin hai, 7. Islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima karna, 8. Qiblay ki taraf rukh ya pusht kar ke jima karna, 9. Berehna(naked) halat main jima karna, 10. Ehtilaam k baad baghair wuzu k jima karna, 11. Jima k waqt biwi ki sharamgah ko dekhna. ye wo Auqat(Times) hain ke jab shohar ke liye apni biwi ke sath jima karna makrooh(na pasandeedah) hai yani in auqat me behtar hai jima na kiya jaye. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5). [Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14837
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shareyat k mutabeq agr Bivi baghar kisi waja k ghar chor kar chali jay r shohar k bulany par wapis na ay tu Shohar par Bivi k kharchy (nan o nafqa) k bary main kya hukam hy

Answer: Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh wo shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. Agar aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti kapray makaan ka shohar zimedaar nahin hai. Lekin agar aurat shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikal jaye to ehtiyat e wajib ki bina par Naan o nafaqa saakit nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377)+Minhajus Saleheen, part #3, maslah #351). [Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14856
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi shuda Aurat kitni dair hambistri kiye bgair reh skti hai Shohar bahir k mulk ho or ata bhi na ho 2 saal guzar chuky hain. Or khwahish bhi feel hoti hai7

Answer: Shohar par wajib hai k wo apni jawaan biwi se chaar(4) mahine se ziyadah muddat k liay hambistari. magar yeh ke hambistari os ke liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka baais ho ya os ki biwi khud chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gae ho. Aur is hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shauhar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai is liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jayez nahin keh ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar(4) maah se ziyadah tool diya jaay. Ref: Tauzeeh ul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15124
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamoalaikum meri shadi ke do mahine baad hi apne ghar pe jaa kar baith gayi or jhoote jhoote ilzam lagana shuru kar diya or ab kehti hai mujhe faisla chahiye apke sath nhi rehna . bataiye mujhe kya karna chahiye

Answer: (Note: Aap apni zauja ko in masaail se agah karen) k Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh wo shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahir niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. or Biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna jaiz nahin hai. Aurat kay liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) kay baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer karna jaiz hay. Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti, kapray, aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai. Aur kisi par ilzaam tarashi karna gunah e kabira hai. Albatta aap ko ikhtiyar hai ke chahen to talaq de ya na den. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01767/ [Updated on 15-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15202
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bv agr shukar sy batamezi kry or usk ghr walo pa na jaiz ilzamat lgay ..or apny male cousins k sth batein kry to is k liye kiya hukam hai

Answer: Yeh tamaam kaam ilzamat lagana, shohar sai bad ikhlaqi karna yeh haraam hai lehaza aap ki duty hai k aap maratib ka lihaaz rakhte howe amr bil maroof or nahi anil munkar karein.Ref:Tauzeeh ul masail aytaullah seestani edition 41 maslah no 2010). [Updated on 04-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15207
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr nikaah k waqt larki k father ne shart rakhwai ho k agr wo naraz ho k ajae kbhi to Ap usko uska monthly khrcha do gay. Agr esi surat ane pe larka nikah ki shart Puri nai krta mahana adagi nai krta khrchy ki to kya nikaah ko koi nuksan hai?

Answer: Bivi ka shohar ki ijazat k baghair os k ghar se nikalna haram hay. or aisi sorat main shohar per ehtiyaat e wajib ki bina per naan o nafqa wajib hay or jab tak wo ghar se bahar rahe gi gunahgaar hoti rahe gi. or shadi k waqt jo shart rakhi gae thi os ko poora karna shohar per wajib hay laikin agar wo os shart ko poora nah kare tu shohar is shart ko poora nah karne ki wajah se gunahgaar hoga, lakin nikah per koe farq nahi perhe ga.(Ref: Minhajus saliheen, ayatullaah sistani db, Part#3, maslah#350-351) [Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!