Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15210
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aurat ke Piche Karne se Koi masla to Nahin

Answer: Biwi ke peechay ke maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi ke raazi nah honay ki soorat main haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay, laikin shadeed makrooh hay. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah #70). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15262
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager shohar k maa baap biwi ko ghr wapis na anny dein. Aur shohar kahe k kahen bahir Milo hum bistri k liye. Tau aesy mein biwi k liye Kya hukam hy plz authentic answer dejega...

Answer: 1: Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aaye ya ghar mein rehna us k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar us k monahsib nah ho. Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say na rokay. 2: Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye. 3: Biwi ki rihaish(housing), giza(fooding), libaas(clothing) aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. 5: Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou biwi k roti, kapray aur makaan ka shohar zimedaar nahi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377). 3: Hadees manqool hai jis main me aik aurat ne kaha keh ya rasool allah shohar ka haq zauja per kya hai yani bivi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho phir us aurat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, aurat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka shohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya rasool allah chahe us aurat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya haan chahe kitna hi zulum kiya ho (Ref: Tahzib ul islaam, baab #4, topic hoqooq e zaujain, pg #140,141). [Updated on 16-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15291
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mujhay ya pouchna hai .... sex kartay howa meri biwi apni vagina ko khud apni ungli sai rub karna shuru kar deti hai....kya ya karna theek hai or kya mai usay ya kartay daikh sakta hun ????

Answer: Jee nahin, ye kam jaiz nahin hai Q ke ye Istimna or khud lazzati hai aur Istimna or khud lazzati haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai. lehaza aap apni biwi ko is kam se mana karen. or aap ye kaam khud kar sakte hain or is ko is sorat main isstimna nahi kaha jaey ga. Han Abatta Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay or bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. lekin aurat ka apni ungli apni sharamgah men daal kar mani nikalna jaiz nahin hai.(Ref: jaded fiqhi masayl, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #4006, pg #236, email rcvd from a sistani(d.b). (Advice:- Koe bhi shakhs apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati raan waghaira ko haath se masalna sehlana cheerh chaarh or hansi mazaaq karay is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay in ki nazar main fauran jima kerne par merd ki mani jaldi se kharij ho jane ki soorat main merd ki khahish tu pori ho jati hay laikin aurat ki khahish pori nahin ho pati jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay shayad isi liay deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas bosah baazi (kissing) cherh chaarh hansi mazaaq piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima k liye poori terah aamadah ho jaay or jab is se jima kia jaaye tu wo bhi merd ki terah se poori terah jinsi tasalli hasil ker sakay shayad isi liay Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad fermaya k jo shakhs apni aurat se jima karay wo murgh cock ki terah os k paas nah jaay balkeh pehlay masaas orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tabee karay is k baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq a s se kisi ne deryaaft kia k agar koe shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay (playing) tu kaisa hay aap (a.s) ne fermaya khuch muzaiqa nahin (no problem) laikin ajzaay badan (parts of body) k alawa or koe cheez is maqam main dakhil nah karay, {ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima k liay pori terah aamada kerne yani garam kerne k liay merd aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu (part) se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or merd dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay. (Ref: Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146). 3: Jima se pehlay masaas orgasm k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone discharge k bilkul qareeb ho yani wo baitabana harakaat karay merd se chumtay liptay apne hatho ya taango se merd ko kas ker dabaay tab merd bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) ker k farigh ho jaay agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul penis ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah ho jaaye phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag ho jaay.(Ref islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #151). [Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15294
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alaikum Nikaah k baad husban wife kia har tarh ki baten kr sakty hen Kise kisam ki koe rok tok ya hadden hen to please guide kren

Answer: Jee han, har tarah ki baten kar sakte hen is mai koi harj nahin hai Q k nikah k baad husband wife aik doosre k liye halaal ho jaate hain.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328, pg #357). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15296
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe sex karne mann karta hai kya biwi mujhe rok sakti hai

Answer: Jee nahin, Biwi ka apne shohar ko hambistri se rokna jaiz nahin hai. Aurat kay liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr kay baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer karna jaiz hay. Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti, kapray, aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hmara nikaah hwa h 2 mnth pehly or rukhsati ko 6 mnth dair hai hum etna qreeb agaey raha ni gaya or humny milna start kr dea orr sab kuch hogaya hmary darmian orr hamen dar h pregnancy ka Is k bary men islam kia kehta hai please guide kr den

Answer: Aqd e nikah ke zariye aurat, mard per aur mard, aurat per halaal ho jate hain (yani mian biwi wale talukat qaim kar sakte hai). Aur nikah k baad rukhsati hona zaroori nahin hai. aur miyan biwi wale talukat qaim karne ki soorat men hamal ka ho jana jaiz hai. ye dono nikah k baad hasband o wife hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before Maslah #2328). [Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi ko derh Saal guzar Chuka hy bhht Kam haqq e zojiat ada kartay hen .

Answer: Shohar par wajib hai k wo apni jawaan biwi se chaar(4) mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tarak na kare. magar yeh ke hambistari os ke liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka baais ho ya os ki biwi khud chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gae ho. Aur is hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai is liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jaiz nahin keh ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ke ya baghair aurat ki razamandi ke chaar(4) maah se ziyadah tool diya jaaye.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382). [Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15406
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar biwi apni galati ki maafi mange aur uska shohar maaf karna chahta hai to kya maaf karna chahiye

Answer: Agar us ki galati qabil e maafi hai to maaf kar dena chahiye Q ke islami aitebar se shohar aur bivi ke huqooq men se hai ke shohar Bivi ki lagzishon ko darguzar karay.(Ref: Islam aur Jinsiyat, pg #170). [Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mery husband ko sex k foran shru sy mujh main koi kashish mehsoos nhi hoti or Koshish k bawajood kr nhi party...Kya unka sex sy pehly koi internet pr sexy pictures dekh k phr mery pas aana jaiz ho ga? Or is Amal sy paida hony Wala bacha jaiz ho ga?

Answer: Haram hay .(https://www.sistani.org/urdu/qa/search/785927/). [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15493
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا بیوی شوہر کی اجازت کے بغیر ناک بنوا سکتی ہے ؟

Answer: Bazat e khud is kaam ke liye shohar ki ijazat lena zaroori nahin hai, lekin agar ye kaam aisa ho ke jis ke liey ghar se baahir jane parhe to ghar se bahir jane ke liye shohar ki ijazat lena zaroori hai. Q ke jis aurat ka daaimi nikah hua ho us ke liey ghar se baahir jaana shohar ke ijazat ke bager jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376). [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!