Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16016
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1: shadi ki pehli raat se bacha paida hone tak biwi mein farig hote rehna chahiye 2: YA shadi k pehley 9 months meh kitni dafa biwi meh farig ho sakety hein? Mera kehney ka matlab yeh h k without condum kitni dafa farig ho saktey biwi k andr?

Answer: Jin halaton me biwi se jima(intercourse) karna Haram hai jaise ke Haiz, Nifaas, Ehraam ya Rozay wagera.... ki halat me biwi se jima karna Haram hai lekin in halaton ke awala shohar aur biwi ki marzi hai ke jab chahen jima kar sakte hain ya maslan biwi agar hamila ho jaye to doctor ki hidayat ke jima kar sakte hain. Han doctor jin surton me mana kare to waha ehtiyat karni chahiye. Is ke awala chand fiqhi masail se aap ko aghaah kiya jata hai: 1: Aurat ke liye zaroori hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer (late) karna jaiz hai. 2: Shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar na kare ga to wo gunahgar hoga) magar ye ke hambistari biwi ke liye nuqsandeh ya bohut ziyada takleef ka sabab ho ya us ki biwi khud chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar mahine se ziyada muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gayei ho. Aur is hukum mein ehtayat-e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koi farq nahin hai is liye ehtayat-e-waajib ki bina par ye jaiz nahin ke ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar maah se ziyada tool diya jaye. 3: Mard ke liye jaiz hai ke family planning ke liye wo condom ya is tarah ke cover istemaal kare laikin ehtiyaat e wajib ye hai ke istemaal karne se pehle apni biwi say ijazat lay lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,504,2376,2382. + Jadeed fiqhi masail, Ayaullah Sistani(d.b), maslah #465, pg #254). [Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16024
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik khatoon k sohar....kafi saal se la pata hai.... 5 saal ho gaye hai.....kaya wo ab kisi or k saat nikkah kar sakti hai...

Answer: Jis aurat ka shohar lapata ho jaye agar wo dosra shohar karna chahe to zaroori hai ke mujtahid e aadil se ruju kare taake wo (halat ka jaiza lekar) is ke masle ko hal kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #2504). [Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16028
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Hamla aurat k sth wuzu bhul jana aur shahadat ki raat jima karna. In dono kaam ka aik sth hona kia nuqsan de h, maslan gunah ya bache per kuch asraat.??? Kindly guide. Shukria

Answer: Jee nahin, q ke hamila aurat se jima karne se pehle wuzu karna mustahab hai aur mustahab agar chhoot jaye to is se bache par muzir asraat nahin aate. isi tarah shab e shahadat or roz e shahadat ya maslan ayyam e azaa me biwi se jima karna, nah to haram hai or nah hi makrooh hai lihaza is surat me bhi bache par koi muzir asraat nahin aayenge. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah sistani(d.b), Part #3, edition #1443, Maslah #5. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02434/ ). [Updated on 06-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16204
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar biwi aur shohar ek dusre s dur ho is waja s sex na kr payen tw biwi apni sex k xrurt kis trh puri kre Kya wo khud discharge krskti hai khudko??

Answer: Biwi apne shohar ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil nahin kar sakti Q ke shohar aur biwi ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil karna chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. ye Haram or Gunah e kabira hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544). [Updated on 18-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16258
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr shohar ka mani, biwi k hath ya pair pr lag jaye, or unky beech intercourse na hwa ho, bs biwi ko mani laga ho, to kya wo apny hath pair dhokr paak hogi ya biwi pr ghusal krna wajib hojayega?

Answer: Biwi par ghusl wajib nahin hoga faqat apne hath, pair dho kar paak karegi. (Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344,119,156). [Updated on 08-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16259
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A0gr shohar biwi ko andar na daly bs bhaeyr touch kry to kia ghusal wajib ha

Answer: Faqat lams (touching) karne se biwi mujnib nahin hogi ke us ko ghusl karna pare. Q ke insaan us waqt mujnib hota hai jab shohar biwi se jimma (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij(Exit) ho ya na ho shohar, biwi dono junub ho jatay hain. (yani mard or aurat dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai) lekin agar aisa nahin hua yani uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil nahin hua (na farj me aur nah hi dubur me) to aurat mujnib nahin hogi, aur mard ki bhi agar mani kharij huei hai to mard mujnib hoga lekin agar mani kharij nahin huei to mard bhi mujnib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344,348). [Updated on 08-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16260
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A0gr shohar biwi ko andar na daly bs bhaeyr touch kry to kia ghusal wajib ha

Answer: Faqat lams (touching) karne se biwi mujnib nahin hogi ke us ko ghusl karna pare. Q ke insaan us waqt mujnib hota hai jab shohar biwi se jimma (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij(Exit) ho ya na ho shohar, biwi dono junub ho jatay hain. (yani mard or aurat dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai) lekin agar aisa nahin hua yani uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil nahin hua (na farj me aur nah hi dubur me) to aurat mujnib nahin hogi, aur mard ki bhi agar mani kharij huei hai to mard mujnib hoga lekin agar mani kharij nahin huei to mard bhi mujnib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344,348). [Updated on 08-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16532
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohr ki wo kon c khobi he k jis ki wja se aurat ko khukam hota k wo shohr ko sajda kre!

Answer: osool e kaafi ki riwayat k mutabiq khawateen ko ye hukum nahi diya gaya keh wo apne shoharo ko sajdah karain, balkeh riwayat main ye hay keh nabi saww ne farmaya keh agarghair khuda ko sajdah jaiz hota tu tu main aurto ko hukum daita keh wo apne shohro ko sajdah kia karain. yahan tazeemi sajde ki baat ho rahi hay.(Ref: Ahsanul fawaed, pg#615). [Updated on 08-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Uss aurat keliye kya hukm hai jiska khawind paraplegic ho wo aurat apni sexual desire kaise puri kare Qurano sunat ki roshini mn

Answer: Biwi apne shohar ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil nahin kar sakti Q ke shohar aur biwi ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil karna chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. ye Haram or Gunah e kabira hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544). [Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16704
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum. Biwi par SAS susar ki khidmat kia farz hai..? Or Shadi k Badi biwi par Apnay parents k huqooq khatam hojatay Hain kia ..??

Answer: 1: Biwi par na to saas, susar ki khidmat wajib (farz) hai or nah hi apne shohar ki khidmat wajib hai. Ye baitay ki zimme daari hai keh apne waldain khiyaal khud rakhe ya un ke khayaal rakhne ke liye koi bandobast kare. Albatta biwi ke liye mustahab hai ke (sawaab ki khatir) wo shohar ki jinsi zaroorat ko pura karne ke alawa bhi shohar ki ghareloo khidmat karti rahe, misaal ke taur par ghar ka khana pakaaye, kapre seeye, ghar ki safaai kare aur kapre waghaira dho kar day. 2: Shadi ke bad aurat par apnay waldain (parents) ke huqooq khatam nahin hote. Beti ke hawale se waldain (parents) ke huqooq hain ke beti ke liye zaroori farz banta hai ke waldain se behes wa mubahise ke dourain adab aur tehzeeb ka khayaal rakhe aur in ki taraf ghoor kar dhekhne se bhe ghurez kare. apni awaz ko waldain ki awaz se ziyada buland na kare kahan ye ke bure alfaz istemal kare jo batareeqa e aulaa jaiz nahin. Isi tarah aulad (beta, beti) par waldain ke sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(db), part #3, maslah #340+ Jadeed Fiqhi masail, maslah #509. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/ , waldain ke huqooq, ques #1). [Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!