Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16803
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia sohr bivi ko apna smna short kpry phna skta?

Answer: Jee han, pehna sakta hai Q ke nikah ke baad shohar, biwi aik dusre ke liye halaal ho jaate hain or aik doosre ki sharamgaah daikh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, jild #3, mashah #11). [Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16840
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-o-Alaikum. Kya Islam me husband aur wife dono ek sath Shower ly skty hn? Mny kahin suna ha k yeh sunnat ha? Please es par Wazahat krdyn.

Answer: Miyan aur biwi aik sath naha sakte hain, albatta ye jaiz hai lekin sunnat nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, mafhoom e maslah #2400). [Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16850
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bivi s sex ka doran dosri orat ka khyal ata h is s buchna ka lie kia krna cahye jab Keh control bh bht krta hon

Answer: 1: Haram ke bare me sochna maslan kisi na-mehram aurat se sirf khayaal hi khayaal me us ke sath sex karte hue sochna, agar mani nikalnay ka sabab nah bane to ehtyaat e mustahib (yani behtar) hai ke is kaam ko tark kar diya jaye (yani ye kaam Haram nahin hai magar behtar hai ke is kaam ko tark kiya jaaye). 2: Rasoolallah(s.a.w.w) se manqool hadees me hai: jab kisi aur aurat ke dekhne se shewat ya khuahish paida ho to apni aurat (biwi ) se jima (hambistri) na karna Q ke bacha jo paida hoga mukhannas (yani na-amard) ya dewaana hoga. 3: Hazrat Ameer ul mumineen(a.s) ne farmaya: jis waqt koi shaks kisi gair aurat ko daikh lay aur use pasand aaye to usi waqt jake apne biwi se humbistri kare (lekin humbistri karte waqt tasawwur or khayaal dusri aurat ka na ho) Q ke jo khuch us me hai wohi is (biwi) me bhi hai, aur har haal me shaitaan ko apne nafs par ghaalib na hone day. (Ref: Mujtahid se poochay gaye sawaalaat, part #2, sawal #199, pg #82. + Tehzeeb ul islam, urdu tarjuma, Allama Muhaamd Baaqir majlesi, pg #132,135). [Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17029
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meray shohar ny kaha ziyarat pe janay k lie Pakistan ni ja skty but mujy Pakistn jana h saal bahr hgya meri Ami Abu tarapty h mujy Kia karna chye please answer

Answer: Jis aurat ka daaimi nikaah ho jaaye us ke liye apne shohar se ijaazat liye baghair ghar se baaher nikalna Haraam hai chahe us ka nikalna shohar ke haq ke manafi nab hi ho. magar yeh keh koi aham zaroorat pesh aaye ya ghar mein rehna us ke liye nuqsaan ka sabab ho ya ghar us ke munaasib nah ho. Aur shohar bhi apni biwi ko ghar se bahar jane se rokne ka haq rakhta hai lekin Shohar ke liye munaasib (behter) hai ke apni biwi ko ijazat de ke wo apne qareebi rishtedaron se mulaqaat kare or us ke khaandaan walon me se jo mareez hain un ki ayaadat kare or apne khaandaan walon ke marhomeen ke janazon me shirkat kare or is tarah ke kaam anjaam de balke shohar ke upar yeh wajib hai ke itni miqdaar me ijazat de ke (khaandaan waalon ke sath) naiki ka barqaraar rakhna jis ka taqaza karta hai or shohar ko ye haq hasil nahin ke biwi ko (ghar) se nikalne se mana kare jab biwi ka nikalna aise kaam ke liye ho jo biwi par wajib ho (jaise ke biwi ka wajib hajj ke liye nikalna), albatta shohor ko ye haq nahin puhanchta ke wo biwi ko apne walidain se bat cheet karne ya rabta rakhne se roke. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376. + Minhajus Saliheen, part #3, maslah #337,338). [Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17701
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah k bagair ager lerki k backside pr pennis Dala jaye ya intercourse Kiya jaye to Kiya koi nuksan Hoga or is ka kufara Kiya Hoga

Answer: NULL

Id: 18098
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Anal sex is allowed ed during pragnancy

Answer: NULL

Id: 19733
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Kya suhag ratt chout say khoon niklna jaruri hai jekar na nikle to

Answer:

Id: 19746
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: aoa. sii, mera sawal ye hai k ager meri biwi ko mensis hon tou kiya pechay se dakhool kar sakta hoon.. ya agr dakhol farj me kiya jay mager galti se dubar me ho jae tou kya jaiz hai... plz answer

Answer:

Id: 19756
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam o Alaikum sir, meri 22 age he meri shadi ko 1 month ho gia pr duraney mubashrit k 1 minut mn discharge ho jata hn mera ala tanasul b hard ni he ,mere andar confidence b ni he heartbeat bohat tez ho jati he baraye mehrbani btayen main kia krn

Answer:

Id: 19758
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: kay ladys ke mansig me piche karne se bacha laag sakta hai kay

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!