Question: Islamic law/order about aqiqa, which is normally takes place on the 7th day of the new born child.
Answer: Aqaiqa is mustahab act. Just slaughter anyone of these animals she-goat,he-goat,sheep,cow,bull,she-camel,he-camel. And then distribute the meat, its better to invite 10 or more momineen on meal of made by meat of aqiqa. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia aqiqa krana zruri he ager na kraen to us baby ko kia nuqsaan ho sukta . kia koi Hadeeth he?
Answer: 1-Aqiqa kerna wajib nahi musthab hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). 2- Riwayaat main hay k jab tak aqiqa nahi hota bacha afatoon main mubtila rehta hay.(Ref: Tauhfatul awaam, pg#277). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam. kia ghair syed k aqeqay ka gosht syed kha skta hai. jab k wo us k walidain mai nahi hai...mtalb mai syed hun tu kia mai ksi b syed ya ghair syed k aqeeqy ka gosht kha skti hun ya nahi....
Answer: Jee haan syed aqiqay ka gosht kha sakhta hay. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 1, 2011). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya Aqiqa wajib hai aur aqiqa ka ghosht kon kon kha sakta hai family main
Answer: Aqiqa wajib nahi balkeh mustahab hay, Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 395 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam, Aqiqa ke sharayet kiya hain. janwar ki umr ki koyi had hey ya koyi sa bi janwar zabah ker saktey hain?
Answer: Aqeeqa kerna mustahab hay.aqeeqay main zarori hay k bherh bakra ya bakri gaay ya bail ya aont ya aontni ho{i.e: she-goat,he-goat,sheep,cow,bull,she-camel,he-camel}. Janwar ki umer ki shart nahi hai or aib(fault) daar jaanwer bhi aqaiqay k liay kafi hay. Mustahab hay k jaanwer mota ho.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam aqeeqa jiska krna ho usk parents hi krskte hai ya koi aur kre to jaise hai? humne mere jethji ke bacho ka aqeeqa kiya because unki income me aqeeqa nthi hota tha to kya ye jayaz hai?
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 388, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam ma apnay dono bacho ka aqiqa karna chahta hoon ek beta 5 saal ka ha aur dusri beti 9 months kia par masla yah hai ka hum dono mia biwi yanee maa baap ka nahi hua ha to hamara hona zaruri hia aqeeqa pahlay ya bacho ka karayee...plz answer
Answer: Aqaiqa kerna mustahab hay , bacahy k aqaqay kerne main ye shart nahi k pehle maan baap ka aqaiqa hoa ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Maamlaat, Mafhoom e Maslah #1383 , Eidition 1431 hij, published by Daralmahaja albaiza). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: My daughter and her husband live in uk.Son born on7/6/2011.Want to do Aqika in Karachi.What will be the procedure & how the meat of the goat to be distributed.
Answer: just slaughter anyone of these animals she-goat,he-goat,sheep,cow,bull,she-camel,he-camel. And then distribute the meat, its better to invite 10 or more momineen on meal of made by meat of aqiqa. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya syed aqiqa ka gosht kha saktay hain
Answer: Jee haan syed aqiqay ka gosht kha sakhta hay. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 1, 2011). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AGAR BUCHA BAHAR PAIDA HO MULK SE BAHAR TOU KIA UN KEY NANA NANI AQIQA KAR SAKTEY HAI.
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).