Question: Assalam o alaikum..kia ek janwar m 2 bchun ka aqeeqa hoskta h?? Ya donu k liye alag alag bakra lena hoga?
Answer: Zaroori hai ke har bache ke liye alag alag janwar hona chahiye, yani aisa nahin ho sakta ke aik janwar me sab ka aqeeqa ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA aqeeqa kernay k liye bachay ka naam pahlay rakhna zarori hai? bagir naam rakhay aqeeqa ho jata ha.,?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Zaroori to nahin hai balke naam rakhe bager bhi aqeeqa ho jaye ga lekin chunke aqeeqa jab kiya jata hai to aqeeqe ke janwar ko zibah karte aik dua parhi jati aur us dua me lafz fulan(فلاں) ata hai aur us waqt ye kaha jata hai ke fulan ki jagh bache ka naam liya jaye to is liye phir naam rakhna parhta hai warna agar aqeeqa karte waqt ye dua na parhi jaye to naam rakhne ki bhi zaroorat nahin parhti. Aur dusri baat ye ke riyawat me aaya hai ke Imam Jaffar Saqid(a.s) farmate hain: 'hamare han koi bacha paida nahin hota magar ye ke hum us ka naam Muhammad rakhen, pas jab saat din guzar jayen to hum chahen to us ka tabdeel kar den chahen to tabdeel na karen'. lihaza is riwayat par bhi amal karte hue naam rakhe jate hain, warna to aqeeqe se pehle naam rakhna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #381. + Wasail-us-shia, part #21, pg #392). [Updated on 13-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: *Kya Aqeeqah kay bakray ka goshth sadqa hota hai?
Answer: Aik tarah se aqeeqe ke gosht ko mustahab sadqa kaha jaa sakta hai Q ke mustahab sadqa bhi museebat talne ke liye nikala jata hai aur aqeeqa bhi museebat talne ke liye kiya jata hai, lekin wajib sadqa nahin keh sakte. jis tarah mustahab sadqa agar maliyat ke aitebaar se ziyda ho to syed aur gair e syed dono ko diya jaa sakta hai, isi tarah aqeeqe ka gosht bhi syed aur gair e syed dono ko de sakte hain. Albatta kuch farq bhi hai wo is tarah se ke; 1. Mustahab sadqe me koi bhi cheez di jaa sakti hai (chahe raqam, libaas ya janwar ho) lekin aqeeqa sirf janwar (ount, gaye, bhair, bakri) zibah karne se hi sahi shumar hoga. aur aqeeqe me janwar ke alawa koi aur cheez di jaye (chahe us janwar ki qeemat hi Q na ho) to wo aqeeqa nahin kehlaye ga. 2. Mustahab sadqe me (chahe raqam ho ya libaas ho ya janwar ho) chand afrad shamil ho sakte hain lekin aqeeqe me aik janwar me aik fard hona zaroori hai yani aqeeqe me janwar aik hi fard ke liye zibah kar sakte hain, chand afraad ke liye zibah nahin kar sakte. 3. Mustahab sadqe me agar janwar zibah kiya jaye us ka gosht har momin mard aur aurat khaa sakte hain (yani bache ke ghar ke wo afraad bhi khaa sakte hain, jin afraad ka nafaqa(kharcha) us bache ke baap par wajib hai) lekin aqeeqe ka gosht bache ke ghar ke wo afraad jin ka nafaqa(kharcha) us ke baap par wajib hai wo bhi aqeeqe ka gosht khaa to sakte hain lekin makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374,375,377. + Minhaj us Saliheen, part #2, maslah #1604). [Updated on 20-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Mera bhai ka aqeeqa nh hua. Or us ki death ho gai ha 16 saal ki Umar ma... Kia ab us ka aqqeqa ho skta ha.
Answer: Jee han, us ki wafat ke bad us ke liye aqeeqa kiya jaa sakta hai. (Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, maslah #371). [Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum I need to ask if the mother unknowingly eats the meat of her child’s (daughter’s) akeekah and realize it later that it was forbidden, what should She do? I look forward to hearing from you soon.
Answer: Aqeeqe ka gosht bache/bachi ke ghar ke wo afraad jin ka nafaqa (kharcha) us ke baap par wajib hai wo bhi aqeeqe ka gosht khaa sakte hain lekin makrooh hai, Albatta Haraam kisi surat me nahin hai. aur maan par koi zimme daari nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #380). [Updated on 27-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqiqa kis ghost sy Kiya jata hai ?
Answer: Ount, ountni, gaye, bail, bains, bainsa, bhair, bairi, bakra, bakri. in me se kisi aik janwar ko aqeeqay ke taur par zibah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #375). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hum ek cow lekar uska ek hissa aqiqa ke liye baqiya sadqe me de sakte hain bakraid ke alawa me
Answer: Aqiqay ke janwar me hisse nahin kar sakte. balke poora ka poora janwar (chahe chota ho ya bara) aqiqay ki niyat se zibah karna zaroori hai, warna aqiqa shumaar nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum Kya Haqeeqa k liye barhy janwar (bail) k 7 hissay kar skty hain? Kya 7 hissay daal kr 7 logon ka haqeeqa ho skta ha?
Answer: Aqeeqay ka janwar chahe bara hi q na ho us me hisse nahin hote balke laazim hai ke har fard ke liye alag alag janwar ho, yani aisa nahin ho sakta ke aik janwar me sab ka aqeeqa ho jaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374). [Updated on 16-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Beti or batejy ka haqiqa 1 sath ho sakta hai ya alag alag karna zaruri hai
Answer: Aqiqay ke janwar me hisse nahin kar sakte. balke poora ka poora janwar (chahe chota ho ya bara) aqiqay ki niyat se zibah karna zaroori hai, warna aqiqa shumaar nahin hoga. lehaza aqiqay ke taur har bache ke liye alag alag janwar zibah karna hoga to hi aqiqa sahi shumar hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374). [Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bache ka haqiqah uske dada kar sakte hein ? Baap majood ho phr bhi?
Answer: