Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2677
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Want to perform aqeeqah of my daughter kindly give detail masail and shara hukm on it. 92-323-2760638

Answer: Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein(7th )rooz aqaiqa kia jaay.Aqiqe ka jaanwer ont, gae,bhairh or bakri main se ho. Mustahab hay k aqiqay k jaanwer main qurbani k jaanwer ki tamaam sharait hoon. Aqiqe ka gosht chacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2829
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalmoalikum, janab main ye janna chahta hoon kai qurbani key janwar Cow main Aqiqa ho sakta hai. Quran & Hadise ki roshni me islah ferma dejiya.

Answer: Jee haan, jis ki janib se qubani ki jaay ,wo qurbani aqiqe k liay bhi kaafi ho jati hay or osko alag se aqiqa nahi kerna perhe ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4142
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main aqiqa kistarah karange

Answer: Aqiqe ka jaanwer ont, gae,bhairh or bakri main se ho. Mustahab hay k aqiqay k jaanwer main qurbani k jaanwer ki tamaam sharait hoon. Aqiqe ka gosht chacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4548
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera Swal Yeh Hai K Mai haqeqa K Barey mai Janna Chahta hoo.kia Yay Eid ezha par bi ho sakta hai aur es barey mai Tafseel Se btay.

Answer: Jee haan, jis ki janib se qubani ki jaay ,wo qurbani aqiqe k liay bhi kaafi ho jati hay or osko alag se aqiqa nahi kerna perhe ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4588
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Humari Tallaq ho chuki hai 1 beta hai jo maa k pas hai kia main bete kighiar mojoodgi main uska AQIQA ker sakta hon please meri rehnumai farmaen. Shukriya....

Answer: Jee haan bachay ki ghair haazri mai aqiqa kia jasakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum! Muje Janna hay k kya ek beta apne walidain ka aqiqa kr skta hay? aur ek mard apni bivi ka? aur ek suser apni bahoo ka?

Answer: Jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5605
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya aqeqa ho sakta hay bachy ki sunnat k bgair

Answer: Jee haan,Khatna(Sunnat e Ibarahemi) kiay baghair aqeeqa ho sakta hay, laikin mustahab hay k khatna bhi sathwain(7th ) rooz ki jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5667
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salam alakum haqeqa ka ganwar katne hone chaye . Larke Ka leya 2 bakre ya ak bakra. ya 2 bakre. aur us ka goast ghar wale istmal kar sakte he ya nahe . aur agar istmal kar sakte he to katne maqdar me. aur is ke dua ho sake to bata de.

Answer: Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394-395, Eidition 1417 hij). Aqiqay kid au k liay aap is link per click karain (http://shianet.in/index.php?option=com_content&view=article&id=2327:1391-03-18-07-45-47&catid=61:mafatihul-jenan&Itemid=99). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5795
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi ghar k maal mai sai apna aqiqa kar sakti hai?

Answer: Agar shohar razi ho to biwi os k ghar k maal mai sai apna aqiqa kar sakti hai. (Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aqiqay ka ghost bachay k waldain kha saktain hain?

Answer: Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 395 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!