Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13643
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aqiqa karna zaruri hai

Answer: Nahi, balkeh aqiqa karna mustahab hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). [Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13712
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: HAQIQA KARNE K LIYE BAKRA YA BAKRY KI AGE KAYA HONI CHAHYE OR KAYA ISS MEIN BHI QURBANI WALY ASOOL ISTIMAL HON GY ?

Answer: Aqeeqa kerna mustahab hay. Aqiqay ke janwar ka qurbani ke jaanwer ki terah hissay nahi hote aur nah hi wo qurbani k usool k mutabiq taqseem hota hay, Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay. khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal ye hai ke 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. aqeeqay ke janwar main zarori hay k bherh, bakri ya bakra, gaay ya bail, aont ya aontni ho. Aur Aqiqe ke Janwar ki umer ki koi shart nahi hai or aibdaar jaanwer bhi aqaiqay k liay kafi hay. Lekin mustahab hay k jaanwer mota ho. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #3, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #394,395). [Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13967
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aqeeqa ka gosht ki dawat karna jayaz hai ya nahe

Answer: Jaiz hai. Aqiqe ka gosht kacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #395). [Updated on 25-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14025
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamalykum Kay aqiqa paidaish ki tarek pe karna monasib hi

Answer: Aulaad ka aqeeqa karna mustahab hai is ko kisi khaas waqt par anjaam dena zaroori nahin hai. albtta mustahab hai k wiladat(pedaish) k saatwein din(7th day) aqeeqa kiiya jaaye. aur aqeeqe ke janwar men zaroori hai k uont(camel) ya gaaye(cow) ya dumba ya bakra ho or mustahab hai k aqeeqah ka jaanwar mota or taaza ho. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/) [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14248
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya Aqiqa ka liya bansa use kr skta.

Answer: Jee han, Istemal kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #3, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #394). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14342
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum! Aqeeqa ka gosht aam tareeqa se bnaya jata hai ya haddian (bones) nahin torni chahiyen? Agar bones bhi gosht ke sath hon to koi haraj to nahin?

Answer: Sazawar ( behtar ) hai keh aqiqay ka gosht baghair haddi tootay huay kaata jaye, aur mustahab hai ke aqiqa ka gosht ka 1/4 hissa daya ko diya jaye jis mein janwar ki raan aur pair shaamil hoon. aur chahain to aqiqa ka gosht paka kar ya kachcha taqseem karen, aur yeh bhi jaiz hai keh pakaya jaye aur momnin ko dawat di jaye, aur behtar hai keh 10 afraad ya is se ziyada is mein se khaein aur bachay k liye dua karen aur makrooh hai ke baap kahay or jo is ki kifalat mein hoon is mein se khaein, balkah ehtiyaat mustahib hai keh maa is mein se nah khaey, aik aqiqa faqat aik ( insaan ) ka shumaar hoga . [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14347
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: قربانی کے جانور کے ساتھ عقیقہ ھو سکتا ہے

Answer: jis ki janib se eid ki qurabani ki jay os ka aqaiqa bhi hojata hay. Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14719
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا سید، سنی کےعقیقہ کا گوشت کھا سکتا یے۔

Answer: Jee han, syed aqiqay ka gosht kha sakhta hay. (Ref email rec from Ayatullah Sistani(d.b), dated : August 1, 2011). [Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15696
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum mujhe meri beti ka aqiqa krna hai wo 4 saal ki hai par mere shohar mere sath nahi hai to kya aese halat me nana aqiqa kr sakte hai bachi ka

Answer: Jee han, Nana bhi apni nawasi ka aqeeqa kar sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #373). [Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16158
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Syed Kisi bachy ki haqeeqa ka gosht kha lain Jo Syed na hn TU guide kar dain gunah hai agr hai TU kia krna chahiye?

Answer: Syed aqiqay ka gosht kha sakhta hay is me koi haraj nahin hai. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 1, 2011). [Updated on 04-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!