Question: Salam! SIR KIA AQIQA KA GOSHT KACHA(BAGIAR PAKAY) BANTANA CHAYE YA PAKA KY?
Answer: Aqiqay ka gosht kacha yap aka kar dono tarah daina jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/ ). Update on dated 09-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aqiqe Ke Janwar Ki Kiya Sharayat Hen??
Answer: Aqaeeqay k janwar main wajib qurbani k janwar wali sharaet lazim nahi hain, mustahab hay keh aqaiqay ka janwar mota ho. (Re: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). Update on dated 15-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aqiqah pe nana nani ko kya kapry zewar dena parta hai ye zarori hai kya?
Answer: Aqiqa karna mustahab hay is kay ilawa nana nani ko kaprhy ya zaver dana zarori nahi hay. (Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0970/ ). [Updated on 06-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Akeekah ka host kon kon nahi kha sakta
Answer: Makrooh hai k walid or wo afraad jin ka kharcha walid uthate hai, aqeeqe ka gosht khaye or khaas tour par maa or us k bache k liye makrooh hai. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)Update on dated 03-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aik bachi jis ki 7 months me death hojaey tu uska aqeeqa karna zruri hai usky marny k baad?
Answer: Aqiqa karna mustahab hay na ky wajib hay. (Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0970/ ). [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aik bachi jo 7 din ki ho aur uski death hojaey uska aqeeqa zruri hai us k marny k baad?
Answer: Aqiqa karna mustahab hay na keh wajib. (Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0970/ ). [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqiqa par wacha Kar saktey hai hadees batayen
Answer: Aqaiqe main bakra(Goat) ya gaey(Cow/Bull) ya aunt(Camel) kia jaa sakta hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/) [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia bachy ka aqeeqa ho skta hai agar bap ya maa ka aqeeqa na hoa ho tow?
Answer: Aqaiqa kerna mustahab hay , bacahy k aqaqay karne main ye shart nahi k pehle maan baap ka aqaiqa hoa ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Maamlaat, Mafhoom e Maslah #1383 , Eidition 1431 hij, published by Daralmahaja albaiza). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hadees ke andar aqiqah kitnay din k andar laina chahiye?
Answer: Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein(7th )rooz aqaiqa kia jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). [Updated on 02-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqikah k gost ka kya krna chahye kya pura gost taqseem kr dena chahye ya istemal kr sakte hai
Answer: Gosht ka khaana tou sub k liye jaaiz hai lekin makrooh hai k walid or wo afraad jin ka kharcha walid uthate hai, aqeeqe ka gosht khaye or khaas tour par maa or us k bache k liye makrooh hai. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]