Question: Assalam Alaikum Mera sawal ye hai ki aik ladki jiska Aqeeqa uske waaldain ne nahin kiya , shaadi ke 35 saal baad uska shauhar karta hai, ab aqeeqe ka gosht kaun log nahin kha sakte ? wassalam
Answer: Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 395 , Eidition 1417 hij). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam un Alykum Kya koi apny AQIQA ka Gosht kha sakta hi ?
Answer: Jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/ ). Update on dated 12-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aqiqa ma srf bakra ki qurbani dy skty ha k agr aik sy zyada bacho ka aqiqa ha to gay (cow) ki 7 qurbaniyo k hisaab sy usy bhi qurban kiya ja skta ha ??
Answer: Aqiqa karna mustahab hay, har aik bachy k liay alag janwer hona chahiay. (Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0970/ ). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ma apna aqiqa khud kr rahi hoon... Mere maa baap foat ho chuke hein... Us k b 3 hisse hon ge or qurbani k asool se hi taqseem hoga? Kya mere husband kha sakte gosht? Or kya jo siri paye hote istemal kiye ja skte???
Answer: Aqaiqay k qurbani k jaanwer ki terah 3 hissay nahi hoteor nah hi wo qurbani k osool k mutabiq taqseem hota hay,aap k shohar is main se kha sate hain, or siri paey bhi istemaal kiay jasakte hain. Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394-395, Eidition 1417 hij). Aqiqay kid au k liay aap is link per click karain (http://shianet.in/index.php?option=com_content&view=article&id=2327:1391-03-18-07-45-47&catid=61:mafatihul-jenan&Itemid=99). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal ke moharram ke dino me aqiqa karna sahi hoga
Answer: jazi hay.(Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1383). Update on dated 03-10-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal kya moharram me aqiqa kar sakte hai
Answer: jazi hay.(Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1383). Update on dated 03-10-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam Larka k leya 2 bakra or larke k leye 1 bakra q he?
Answer: Lerka ho lerki do ki janib se aik jaanwar hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1,Edition#2009,Mafhoom e Maslah #394) Update on dated 30-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalaam walaikum Haqeka ka ghost maa or baap kha sakte hai ya nahi
Answer: Makrooh hai k walid or wo afraad jin ka kharcha walid uthate hai, aqeeqe ka gosht khaye or khaas tour par maa or us k bache k liye makrooh hai. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)Update on dated 28-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum, aqiqa Ka cost koyii bhi bare krsakta hai kya,parents ke alawa?
Answer: Koe bhi ker sakta hay. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, masla#394). Update on dated 05-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya haqiqa ka gosht phoophi kha sakti h jab ki unka kharcha mere walid par nahi h
Answer: Walid aur sirif un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per bache ki maan k liay makhroh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 395 , Eidition 1417 hij) [Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]