Question: Maytat ka aqiqa keya ja skta hai
Answer: jee marne k baad bhi aqeeqa kia jaa sakta hai.Ref:(https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). [Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri shadi ho rhi ha kiya hm behan bhai aqeeqa kr skty hain baraat k khaany ma aqeeqa ka gosht shamil kr skty hain
Answer: Jee haan, albatta Makrooh hai k walid or wo afraad jin ka kharcha walid uthate hai, aqeeqe ka gosht khaye or khaas tour par maa or us k bache k liye makrooh hai. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/) [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya muharram main aqeeqah karna jaiz hay ya kisi ka aqeeqah attend karna?
Answer: Aqiqa karna wase tu jaiz hay or mustahab hay ,اور محرم اور سفر میں اس طرح کے کام شرعاً حرام نہیں ہیں جب تک کہ ان طرح کے کاموں سے ایام عزاء کی ہتک حرمت نہ ہوتی ہو جیسا کہ روزعاشوراء خوشیاں منانا اور زیب و آرائیش کرنا،البتہ مناسب یہ ہے کہ انسان اہل بیتؑ کے ایام مصیبت میں ان کاموں کی انجام دہی سے اجتناب کرے کہ جو کام عام طور پر وہ اپنے احباب کی مصیبت میں بھی انجام نہیں دیتا مگر یہ کے عرفاً ضروری کام ہو (Ref : Ayatullah sistani, Minhaajus Saliheen Part # 3, Maslah #394,sistani org ,urdu ,topic :shaare hussainia ,sawaal no:11) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alaikum Mera sawal hai k aqiqah kab karna chahiye aur ladka k liye kitne karne chahiye
Answer: aulaad ka aqeeqa karna mustahab hai is ko kisi khaas waqt par anjaam dena zaroori nahi hai lekin mustahab hai k wiladat k saathwein din (7th day) aqeeqah kiiya jaaye. aqeeqah zaroori hai k oont (camel) ya gaaye (cow) ya dumbay ya bakray ka ho or mustahab hai k aqeeqah ka jaanwar mota or taaza ho. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/) [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar mera aqiqa nahi hua to kya main apne beti ka aqiqa kar sakta hoo
Answer: Jee bilkul kar sakte hain, aqeeqa mustahab hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein ne apnay bachay ka aqeeqa kia us mein jo dua e aqeeqa wo Ahle sunnat hazrat ki phar li ...kia ye aqeeqa jaiz hai ya wapis se karna hoga ??
Answer: Aqiqe me Dua perhna zarori nahe hay ,srif bacche ki traf se kise bhe aik jaanwar ko aqiqe ki niyat se zibha kardia jaae tu ye kaafi hay,or is trah se us ki traf se aqiqa hojaaega . (Ref:minhaajussuleheen ,aqa sistani,jild:3, masla no:1384 [Updated on 06-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 8 month ki ladki ka aqiqa kr skte hai
Answer: Jee han kar saktay hain, Aulaad ka aqeeqa karna mustahab hai is ko kisi khaas waqt par anjaam dena zaroori nahi hai lekin mustahab hai k wiladat k saathwein din (7th day) aqeeqah kiiya jaaye. aqeeqah zaroori hai k oont (camel) ya gaaye (cow) ya dumbay ya bakray ka ho or mustahab hai k aqeeqah ka jaanwar mota or taaza ho. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/) [Updated on 17-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum 1 cow me kitne ifrad ka aqiqah ho sekta hai ya kitne hisse hote hain
Answer: Aqiqay ke janwar ka qurbani ke jaanwer ki terah hissay nahi hote aur nah hi wo qurbani k osool k mutabiq taqseem hota hay, Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan aik bakra,ya baqre wagaira srif aik fard ke lie hoghe or ) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay. khaas taur per( jis ka haqeqa kia jaraha hay ud ki ) maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394-395, Eidition 1417 hij). [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia larka ka aqaqa ma aik bakra ker sakta han
Answer: jee kar sakte hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). [Updated on 13-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera beta huwa hai Saturday raat 8:30 pay to is hisab say aqiqa kab krna chayeh
Answer: Aulaad ka aqeeqa karna mustahab hai is ko kisi khaas waqt par anjaam dena zaroori nahi hai lekin mustahab hai k wiladat k saatwein din (7th day) aqeeqah kiiya jaaye. aqeeqah zaroori hai k uont (camel) ya gaaye (cow) ya dumbay ya bakray ka ho or mustahab hai k aqeeqah ka jaanwar mota or taaza ho. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/) [Updated on 17-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]