Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5895
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aqiqay ka ghost hindu khasakte hai?

Answer: Aqiqay ka ghost hindu kha tu sakta hai magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394-5, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5896
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hai aik larki jis ka aqiqa na hua ho uski shadi ho jay to kya us ka aqiqa sasural walon pe lazim hai ya mekay walon pe

Answer: Aqaiqa kerna mustahab hay , aqiqa kerna kisi par lazim nahi hai or agar kisi ka aqiqa nah kia gaya ho tu tu wo khud baligh ho ker sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6049
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: walima ku kerty hain walimy k mutalik sari detail mjy bta dain plz

Answer: Valima(khane ki dawat) karna islam mai 5 maqamaat mai mustahab hai 1-hajj k baad 2-makan khareednay k baad 3- Shadi k baad 4- bacha k paida honay k baad 5- bacha k paida honay k 7 din baad. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #4,388 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6465
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bachy ka aqiqah kitni age tak kia ja sakta hai.??

Answer: Agar kisi majbori ya baghair majbori k aqaiqa kerne main takheer ho jaey tu bhi aqaiqa kerna mustahab rehta hay or agar bachay ka aqiqa nah kia gaya ho tu tu wo khud baligh ho ker sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7069
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ladke ke Akeeka ke liye ek bakra hona chahiye ya do.

Answer: Aik bakra kafi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7108
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hum bacche ka aqiqa paida honey ke baad pachway din bhi ais to manaker saktey hai? Ye jaaiz to mana jayengana?allha ke barga may kabul kiya jayenga naa?

Answer: Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein(7th )rooz aqaiqa kia jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7246
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: haqiqa k barey shriat k ahkam kya hain aur sahi trika kya h

Answer: Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein(7th )rooz aqaiqa kia jaay.Aqiqe ka jaanwer ont, gae,bhairh or bakri main se ho. Mustahab hay k aqiqay k jaanwer main qurbani k jaanwer ki tamaam sharait hoon. Aqiqe ka gosht chacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8125
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sllam kya aqeqa ka gosht imam HUSSAIN a. S ki nyaz jo mjalis e aza main taqseem hoti ha main pka kr taqseem jar saktay chain

Answer: Jaiz hay. Aqiqe ka gosht chacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #395 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what is saying of islam about aqeeqah of child?

Answer: Aqeqa is recommended (mustahab) according to islam.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8628
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ham qurbaani kay ghosh mai haqiqa ho sakta hai

Answer: Jee haan, jis ki janib se qubani ki jaay ,wo qurbani aqiqe k liay bhi kaafi ho jati hay or osko alag se aqiqa nahi kerna perhe ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!