Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 13658
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ahtilaam ho jye or kaproo pa mani na lgy to kapry ko dhona lazmi ha ya ni jsy shirt phni ho to us pa na lgy to kya shirt ko dhona B lazmi ho ga ya ni

Answer: Jee nahi shirt paak hi rahay gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 10-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum sir bathroom use krty wqtt agr pani k qtry shrmgaah ya flash ko chuu krr jisam ya kpron pr pr jye to us sy napaki hoti h kia Agr hjati h to pak ksy kry kindly btaa dy

Answer: Jism ya kapre najis ho jaige. lekin faqat usi hissay ko dhoya jayega jahan peshab ki cheentain lagi hongi. Agar jism ya kapro par peshab k qatray lag jaen to jism ya kapre najis honge. 1 dafa qaleel pani ko os par bahana zaroori hai ta k wo pak ho jaen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b) ,Tauzeeh ul masail, maslah #81,154) [Updated on 14-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13810
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum sir mujhe a bataiye k agar ungli par bas thoda sa moot agar touch bhi hojaye to Kya insan napak hojayega

Answer: Jee nahin, sirf wo ungli najis hogi, is ke elawa baqi poora badan pak hi rahe ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 41, maslah #119). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13848
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alaikum. mera sawal ye hai k, kya nafs ko kapro k opr se hath lag jaye ya lga lia jaye ya kharish kr li jaye, in 3 surto me hatho ka dhona wajib hy farz hy ya hath dhona zruri nhi? Agr dhona zruri hy to kitni bar 1 dafa ya 3 dafa? JAZAKALLAH

Answer: wsalam. Dhona zaroori nahi hai kyun k is tarah sai haath najis nahi hota. agar uzu e tanasul najis nah ho tu os per baghair kaprhe k hath laganay se bhi hath nijis nahi hongay or hath dhoona zarori nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13861
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agr rat o ehtlam ho or subha main chader or topi istemal karon to kia woh b napak hon ge ya sirf kapry he

Answer: wsalam mujnib shaks k istimaal karne sai koi cheez najis nahi hoti siwaaye ye k nijaasat us cheez par lag jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13866
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia kuttay ko hath laganay se hath najis ho jai ga jab k kutta bilkul dry ho or choonay walay ka hath bhi?

Answer: Aisi soorat mai haath najis nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13875
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam u alaikum mein 15 saal ka ladka hun aur mein pichle saal se musht zani kar raha hun ise kaise dur kren2)agar koi musht zani karne ke baad woh mada blanket par lag jaye aur raat ko hum wahi lekar so jaye to kya hum napak ho jayenge

Answer: 1) Mushtzani haraam o guhnaah e kabeera hai. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen Part#1, Edition 1430, Maslah #30). 2) Is ka ilaj ye hai aap ke liye shadi karna wajib hai, Q ke Jo koi shadi nah karne ki waja se haram kaam me mubtila hoten hon tu un per wajib hay k shadi kar lay.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael jaame, Edition #1435, Maslah #2296), and (Tauzeeh ul masael Urdu, Edition# 39, Maslah #2407). 3) Agar aap or blanket dono khushk hoon tu os ko orhne sai aap napaak nahi honge. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael jaame, Edition #1435, Maslah #119). 4) Jis insaan se ghunah hoya ho wo Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.wo koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b).(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13887
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya agar rat ko Mani shalwar per lag jaye or hum use saaf kar ke so jaye to shalwar se napaki khatam ho jaye ge??

Answer: Faqat nijasat hatanay se libas pak nahin hota. balke Jis jagah nijasat lagi ho us nijasat ke hatanay k baad us par qaleel paani dala jaey or phir usay nichorhna zarori hay. (Ref: Aayatulllah Seestani(d.b), Tauzeehul masael, Edition #41, Mafhoom e Maslah # 154) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13895
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam alaikum i have heard from allama in majalis that there is fiqh rule that every thing is pure unless you saw the najasa with your own eyes.then that thing become impure.is it right?

Answer: wsalam. Ruling 115. There are three ways to establish the impurity of an object: 1. one is certain, or is confident by rational means, that the object is impure. If one only supposes (i.e. has a ẓann) that an object is impure, it is not necessary for him to avoid it [i.e. it is not ruled as being impure]. Therefore, there is no problem in eating in cafés and in guesthouses where the people who eat there are unconcerned about religious matters and who do not observe laws relating to what is pure and what is impure, as long as one is not confident that the food brought to him is impure; 2. someone who is in possession of an object says it is impure and that person is not believed to be someone whose word cannot be accepted in this case; for example, one’s spouse, servant, or maid says that a utensil or something else that they have in their possession is impure; 3. two just men say that an object is impure, on condition that they give the reason for its impurity; for example, they say that that the object has come into contact with blood or urine. If one just man, or some other person who is reliable, says something is impure but one does not gain confidence in what he says, the obligatory precaution is that one must avoid that thing [i.e. it is ruled as being impure]. (Ref:https://www.sistani.org/english/book/48/2135/) [Updated on 11-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13899
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr masturbution ki waja se bistar napaak hojae to pak kese karen

Answer: 1: Istimna(Masturbation) gunah e kabira hai or is ki wajah se tauba karna laazim hai or baaz riwayaat mai isay zina sai bhi bara gunah shumaar kia gaya hai Q k ye fitri amal nahin hai or istimnaa k baad insaan jab tak ghusl e janabat anjaam nahin daita tab tak paak nahin hota or namaaz k liye ye gusal e janabat karna laazim hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Part #1, Edition #2009, Mafhoom e Maslah #30),(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani(d.b), edition 41st, maslah #344) 2: Jis hissay ko najasat lagi ho sirf wohi hissa najis hoga. Aur baqi hissa paak shumaar hota hay. Aur agar koi cheez peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur usse juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai albatta libas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslaa # 122,156) [Updated on 13-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!