Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 13906
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar suar ya kutte ke badan pe laga hua kheechad jhatak ke uski cheent apke haath ya kapde pe lag jaye toh ghusl wajib hai ki wuzu se namaz hojaegi?

Answer: Je nahin, Aisi soorat mai ghusl wajib nahin hota balke sirf haath ya kapre najis hon gay. aur aisi soorat mai sirf us hath ya kapre ko pani say pak kiya jaye ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #119,344). [Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13909
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager pehsaab ke saath gandagi aa jaaye toh isse taarat tutti hai ya nhi

Answer: Peshab se hi taharat(wuzu,gusl) batil ho jati hai. kyun keh peshab bhi wazu aur gusl ko batil karne wali cheezon men se aik hai. (Ref: Aayatullah Seestani, Tauzeeh ul Masail, Masla #322 ). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13926
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ehtelma hona ki zurat maye sary kapry napak hota ha

Answer: jee nahi sirf jis maqaam par mani lagi hai wohi najis hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13963
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا تین بار پانی کے چھینٹے لگانے سے کپڑے پاک ہو جاتے ہیں

Answer: Jee nahin, Najis libas par sirf pani chirhakne se libas pak nahin hota balkeh us par pani dala jaey ga aur wo pani beh jaye, aur libas ya is tarh ki chizon ko nechora bhi jaiga takeh us ka ghusala(dhowan) nikal jaye, is ke baad paak hongay. (Ref: Ayatullah Khomeini, Tauzeehul masail, maslah #160,162) [Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13968
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aagar mani kisi cheez par lag jaye t wo cheez napak hota hai

Answer: Jee han, mani kisi cheez par lag jaye t wo cheez napak hojati hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156) [Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14047
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hai kay agar khoon kay Kch katray lagae hue kapra dosray kapro kay sath Galti se automatic machine mai dhul jae tou kiya kapray pak hongae ya dobara sab kapro ko dhona hoga?

Answer: Agar aik baar pani ko kharij kar k naya pani dakhil kia jaey or wo pani bhi kharij kar diya jaey or machine kaprhe k pani ko nichorh lay tu tu kaprha paak ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, jild#1, maslah #472). [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14057
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamualaikum agr sharab apke bartan me gir jaye or apne bartan acche se dho liya hai to kya vo bartan use kar skte hai??

Answer: Jo bartan sharab se najis ho gaya ho use (kur ya jari ya is jaise pani) say 3 baar dhona zaroori hai. aur ehtiyat e mustahab(behtar) ye hai keh use 7 baar dhoya jaye. (Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #119,147). (Note: Uper bataye gaye tariqe ke mutabiq agar bartan ko dhoya jaye to bartan pak ho jaye ga. aur pak hone ke bad use istimaal kar sakte hain ). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14097
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum, agar peshab ke cheenten kapre pr pr jaaye yaani sirf paint pr to sirf paint badalkar Namaz padh sakte hain

Answer: W/Salam, Kapre men jis maqam par cheetain lagi hain Us maqaam ko paak kar ke usi kapre men namaz parhi jaa sakti hai ya kapre tabdeel bhi kiye ja sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(de.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #119,154,787). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14214
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mard ky liye maqad ky baal katna zrori hy,

Answer: Dubur(anus) ke baal katna Jaiz hai. (Ref: website, Ayatullah Sistani(d.b), http www sistani org local php modules nav nid 5 cid 1077 ques 1 2 3). (Note: Jee nahin, Zaroori nahin hai. Riwayat men zair e naaf baalon or baghal k baalon ke kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baalon ki takeed e mustahab nahin aae..). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14215
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya maqad (pakhana wali jagah) sy baal saaf krna mard/aurat ky liye zaroori hy?

Answer: 1: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k mard zair e naaf baalon ko 40 din se ziyada katne ko terk nah karay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baalon ki tu buhat sari riwayaat main in baalon ke kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay biwi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). 2: Dubur(anus) ke baal katna Jaiz hain. (Ref: website, Ayatullah Sistani(d.b), http www sistani org local php modules nav nid 5 cid 1077 ques 1 2 3) (Note: Jee nahin, Zaroori nahin hai. Riwayat men zair e naaf baalon or baghal k baalon ke kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baalon ki takeed e mustahab nahin aae..). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!