Question: Zere naf ke bal bathroom me nikal sakte hai ke toilet me
Answer: (Note: Is main jagh ki koi qaid nahin hai. (Ref: Mafhoom e website http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aurat eyebrows k elawa pooray chehray sy baal utaar sakti hai. And reference please.
Answer: Jee han, kat sakti hai. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: soo rahay ho to azo e tnasul khada hota hay to jab soo kr utho to 1 katra kabhi kabhi niklta hay. Zyada nahi niklta hay is surat may gusal wajib hay or kya namaz parhi ja sakti hay Or kapday ganday hotay hay k nai.
Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156)1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay 1. mani k kharij honay se 2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main). 2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356) 3) Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1. Uchal kar niklay. 2. shehwat k saath niklay 3. badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam alaikum! mera sawal ye hai k haiz ki condition main jab dho kr pad pehnnay lgtay hain to her wkt dar lga rhta hai khoon ka ktra pehly hi nikal kr idher udher lg gya hai pani k sath. or wo pani jahan bhi lgay ga najis krdy ga
Answer: Shaks ki sorat main paak jagah ko najis nahi samjha jaey ga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 44, maslah#120). [Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya najis kapre ya koi najis chz khud ba khud Pak ho jati h kuch arsa guzerne k bad
Answer: Aisa nahi hay koe bhi najis cheez khud ba khud baghair paak kia paak nahi hoti. Mutahiraat (Jo najasat ko pak karte hein) 12 hein. 1. pani 2. zamin 3. suraj 4. istehalah 5. inqelaab 6. inteqaal 7. islam 8. tabtiat 9. ain najasat ka zaail ho jana 10. nijasat khoor hewaan ka istibra 11. musalman ka ghaaib hona 12. zabiha k badan se khoon ka nikal jana in masail ki tafseel k liay aap is link par click karain: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3629/ (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #142). (Note: Jee nahin, Balke upar bayan ke 12 mutahirat men se kisi aik ke use pak kiya jaye ga ). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salamo alekum hazrat, Agar Koi khada hokar peshab Kare aur fir pani le to Kya wo pak rahega ya fir napak ho jayega.
Answer: 1: Khare hokar paishab karna aur sakhat zameen par ya janwaron ke bilon men ya pani men khas taur par thehre(beh na raha ho) hoye pani men pashab karna makrooh hai. 2: Paishab ke makhraj(maqam) ko paani ke alawa kisi cheez se paak nahin kiya jasakta or usko 1 martaba dhoona kafi hay laikin afzal hay k 3 martaba dhoya jaey. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #62,77). (Note: Agar paishab karte waqt chente kaprhe ya badan per aain hoon tu on ko bhi paak karna hoga or paishab ke maqam ko pak karte waqt us ki chheenten aap ke badan ya libas men se kisi jagh par na lagi hon to aap ka badan aur libas pak rahe ga). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera sawal yah k k office jaty huy kuty ki dum sy mere kapry kharab ho gya hn us pe nali ka pani Laga Hua tha,,, es halat ma ma namaz kesy Ada kru jb k office sy ghr kafi door h
Answer: libaas tabdeel karna zaroori nahi hai agar faqat us hissay ko jo najis hoa hai paak kar liaa jaye tab bhi kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayataullah seestani edition 41 maslah no 787). [Updated on 10-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir me jab bhi peshab karne ke bdd bahar nikalta hu to ek do peshab ki drop nikal jati h jabki me istibra bhi karta hu kya isse mujhe namaz padhne me koi dikkat hogi ya mere kapde napak ho jayega ya ye koi beemari h plz suggest me sir
Answer: istibraa karne k baad agar koi rutoobat kharij ho or us k baare mai shak ho k ye peshaab hai ya nahii tou wo rutoobat paak maani jaaye gi or libaas bhi paak rahay ga or us mai namaz adaa ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70). Note: agar yaqeen ho keh qatraat paishab k hi hain tu phir libas najis ho jaey ga. or namaz se pehle badan or libas paak karna zarori hoga. [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar naadanista tor pr napak Lani se wazu hojaey, or pani forehead se turbah PR b lg jae to us turbah ka kya Karna chahye? AGR usi turbah Ko palat k dusri side pr sajdah kren to theek hoga?
Answer: Aap ka ye wuzu sahi shumar nahin hoga Q ke wuzu ke sahi hone ki sharait men aik shart ye hai wuzu ka pani pak hona zaroori hai. aur agar ye najis pani sajdagah par lag jaye to sajdagah najis ho jaye gi aur ise pak karna zaroori hoga. Han agar sajdagah ki dosri janib (joke pak ho) sajda kiya jaye to sajda karna sahi hai. (Ref: Tauzaaeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Pg #51). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Wazo ki jaga sink mai chote bache ka jo sal bar ya us se upar washroom karwana ya saf karna theek hai ya ni please bata dejye
Answer: 1: Wuzu ho jaey ga, wuzu k liay sink ka paak hona zaroori nahin hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #264,297,322). 2: Agar badan ya libas k alawa koe cheez peshab se najis ho jaey tu os per qaleel ya kur pani 1 dafa bahana zurari he. 3: Agar koi cheez peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur usse juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai albattah libas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,156). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]