Question: Agr naha kar paon napak paidaan par rakhden or kapre pehnay to Kia kapre or jism bhi napak ho jaega? Phir paon ko dhonay k liye bathroom me jayen or wahan thora pani ho usme paon chale jayen to wo pani napak hoga ???
Answer: Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur donoo ya un me se aik is qadar tar ho k aik ki tari dosray tak pounch jay to pak cheez najis ho jay gi (albatta agar tari (ghilapan ) itni kam ho k dosere cheez ko na lage to paak cheez najis nahin ho gi). laikin agar waaste mutaadid ho jay to najis nahi ho gi . maslan agar daaya haat pishaab se najis ho aur ya haat ek new ratoobat k saath baaye haat ko lake to baaya haat najis ho jaay ga ap agar baaya haat khush hone k baad maslan tar lebaas se lge to wo lebaas bhi najis ho jaay gaa laikin agar ap wo lebaas kise doseri tar chees ko lak jaay to wo chees najis nahe hoge haa agar tari itni kam ho k dosery chees ko na lage to pak chees najis nahe ho ge . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119 ) [Updated on 19-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalmu alaikum pant me neend ki halaat me mani lagjane par kapdo ku paak kaise kare aur ek sawal jab humbistari ke bad ghusl ke pani me garam hai nai check karne ke liye hath dobone se ky pani napak hojayenge.
Answer: 1: Paint men se sab se pehle nijasat ko door kiya jaye is ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye or is ke baad use nishora jaye take wo bacha kucha pani nikal jaye jab pani is se juda ho jaye ga to pant pak ho jaye gi. 2: Jee nahin, is se paani najis nahin hoga Q ke Halat e janabat men insaan ka saara ka saara jism najis nahin hota sirf wo jagah najis hoti hai jahan mani lagi ho lehaza agar hath par koi nijasat nahin lagi huei to pani check karne ke liye hath laga sakte hain or is se paani najis nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,119,156). [Updated on 16-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mera sawal yeh hai ke masturbation ke baad mujhse mani carpet par gir gyi toh kya ab woh pora carpet napak hai ya sirf woh jagah? Aur os ko paak kese kiya jaye?
Answer: 1: Istimna(hand practice/masturbation) karna gunah e kabira hay. aur is ke liye tauba karna lazim hai. aur zaroori hai ke apne aap ko is gunah se bachaen. aur aap ke liye shadi karna wajib hai Q ke jo shaks shadi na hone ki waja se fel e haram(masturbation) me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar lay. 2: Jee nahin faqat wohi maqaam najis hoga jahan par mani lagi hai, aur baqi pak hi rahe ga. Agar koi cheez peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur usse juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai albattah libas aur is se milti julti cheezon jese qaleen or dari waghaira ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #30, + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #2407,119,156). [Updated on 03-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawaal ye hai ki agar pesaab bistar pe ho jaaye thodi si aur wo subah tak sukh jaaye to kya bistar aur chadar napaak rhegi ???
Answer: khushk hojaane sai nijaasat zaael nahi hoti lehaza wo bistar or chadar najis rahein gay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 44 maslah no 119). [Updated on 03-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum Kya nafas ki halat mein jis kamre ke frsh pe hm namaz padhte hain wahan ja skty hain? toh kya paak hone ke baad wahan frsh pe namaz padh skty hain?aor kya nafas ki halat mein hmre kisi cheez ko chhune se wo napak ho jaygi?
Answer: 1: Jee han, Ja sakte hain. 2: Jee han, Parh sakte hain. 3: Jee nahin, wo najis nahin hogi.(albatta nifaas ka khoon najis hay jis jagha ya libaas per gere ga us ko najis kardega ) (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #503,504) [Updated on 17-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Chipkali agr body per touch hojae tu gusal lena chahiye ya nahi
Answer: Jee nahin, Aisa koi ghusl nahin hai jo chapkali ke mas(tuoch) hone se wajib hota ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #344, page #62). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mani kharij hony kai bad jo kapry pehny hon wo or bister na paak hojata hai? Agar han to pak kesy hoga?
Answer: 1: Agar us libas aur bistar par mani lagi ho to dono men jahan mani lagi hogi faqat wohi hissa najis (napak) hoga aur baqi jahan mani nahin lagi wo hisse pak hon ge. 2: Libaas or bistar ke jis hisse men mani lagi hai faqat usi hisse ko hi pak karna hoga or wo is tarah se ke zaroori hai ke pehle us nijasat ko door kia jaaye phir aik martaba qaleel paani us par dala jaye or phir usay nichor liya jaaye taakay us ka dhowan nikal jaaye is tarah yeh libaas or bistar paak ho jaayen gen. Aur agar libaas or bistar ko kur(384 liter) paani sai paak kia jaa raha hai to phr nichorne ki bhi zaroorat nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,119,156). [Updated on 02-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr paeshab commot par gir jaye tu kya uss par sirf pani dalna sa wo pak hojaye ga?
Answer: Agar kisi aisi cheez ko jo peshaab se najis ho gayi ho, qaleel paani se dhona maqsood ho to us par aik dafa paani yoon baha den ke us se peshaab juda ho jaye to is soorat men ke peshaab us cheez men baaqi na rahe to woh cheez paak ho jaaye gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154). [Updated on 23-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar underwear me peshab Ka katra LG Jaye aur paizama saaf ho to gusul krke us paizame me namaz padh sakte h ki nhi please bata dijiye
Answer: Agar lebaaas pak ho yani peshaab us tak na poucha ho to us men namaz parh sakte hain, Albatta aap ke liye ye waazih kiya jaye ke peshaab ke baad ghusl nahin kiya jata balke maqam pesahaab (peshaab nikalne ki jagha) ko pak karne ke bad wuzu kiya jaye ga.or maqam pesahaab (peshaab nikalne ki jagha) ko aik dafa dhona kafi hay albatta agar lebaas or badan peshaab se najis hojaae tu qaleel pani se 2 martaba dhona zarori hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 maslah #315,344,356,62,154). [Updated on 19-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera sawal yh h k agr kapry washroom k farsh pr gir jay tw un m namz prh skty hai wo najis tw ni hoty??
Answer: agar kise paak cheez ke bare me shak ho ke najis hogahe hay ya nahe tu wo paak hay or agar kise najis cheez ke bare me shak ho ke paak hoghe hai nahe tu wo paak hai or agar koi in cheezo ke najis ya paak hone ke mutaliq pata bhi chala sakta ho tu tehqeeq zarori nahe hay. Agar farsh najis ho aur farsh ya libaas men se koi aik ya donon tar (gheele) hon aur aik ki tari doosre tak punhch jaye to libaas najis ho jaye ga aur ise pak kar ke isi libaas men bhi namaz parhi ja sakti ya libaas tabdeel kar ke bhi namaz parhi ja sakti hai. lekin agar farsh najis na ho ya najis ho lekin tar na ho balke khushk ho ya tar ho lekin agheelpan itna kam ho ke aik ki taree doosre tak na punhche to in teenon soorton men libaas najis nahin hoga. aur usi libaas men namaz parhi ja sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #117,119,120). [Updated on 11-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]