Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 15069
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar haiz ki napaki direct na lage gili ho ya dry means agar pehle haiz ki napaki ko chhua gili ya dry fir uske baad kisi or cheeze ko chhua fir wo cheeze kisi or cheeze ko lagi or fir wo cheeze gili hogai to kya wo cheeze napaak h?

Answer: 1: Agar koi paak cheez kisi najis se lag jaaye aur dono ya in mein se ek is qadar tar ho keh ek ki taree dusre tak puhunch jaaye to paak cheez najis ho jaayegi laikin agar nijasat men waste ziyada hon to nijasat sirayat nahin karti hai. Maslan agar dayaan haath peshaab se najis ho jaye phir yeh haath khusk hone ke baad aik naee rutoobat ke sath baayein haath ko mas ho jaye to mas hona baayen hath ki nijasat ka baais hoga. Aur agar baayan haath khushk ho jane ke baad kisi dosri cheez jese tar libaas ko naee rurtoobat ke sath mas ho jaye to libaas bhi najis ho jaaye ga laikin agar ab woh lebaas kisi dusri cheez ke sath naee taree ke sath mas ho jaye to woh cheez najis nahin hogi. is bina par teesra wasta najis hai lekin (kisi chauthi cheez ko) najis nahin kare ga Aur agar taree itni kam ho keh dusri cheez tak naa puhunch to paak cheez najis nahin hogi agarche ain najis tak hi kiyon na puhunchi ho. 2: Agar koi paak cheez kisi najis cheez ko lag jaaye aur Insan shak kare ke dono ya dono men se koi aik tar thi ya nahin, taree is qadar thi ke dosre tak sirayat karti ya nahin to wo paak cheez najis shumar nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #119,120). [Updated on 08-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15077
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Farz kare ki toilet seat se jooto mein najasat lag jaaye uske baad us joote se ghr ki zameen pr chale phr zameen sookh jaane ke bohut baad uspe pani pdke jism ya kapdo pr lag jaaye to kya najis ho jayenge?

Answer: 1: Agar koi paak cheez kisi najis se lag jaaye aur dono ya in mein se ek is qadar tar ho keh ek ki taree dusre tak puhunch jaaye to paak cheez najis ho jaayegi laikin agar nijasat men waste ziyada hon to nijasat sirayat nahin karti hai. Maslan agar dayaan haath peshaab se najis ho jaye phir yeh haath khusk hone ke baad aik naee rutoobat ke sath baayein haath ko mas ho jaye to mas hona baayen hath ki nijasat ka baais hoga. Aur agar baayan haath khushk ho jane ke baad kisi dosri cheez jese tar libaas ko naee rurtoobat ke sath mas ho jaye to libaas bhi najis ho jaaye ga laikin agar ab woh lebaas kisi dusri cheez ke sath naee taree ke sath mas ho jaye to woh cheez najis nahin hogi. is bina par teesra wasta najis hai lekin (kisi chauthi cheez ko) najis nahin kare ga Aur agar taree itni kam ho keh dusri cheez tak naa puhunch to paak cheez najis nahin hogi agarche ain najis tak hi kiyon na puhunchi ho. 2: Agar koi paak cheez kisi najis cheez ko lag jaaye aur Insan shak kare ke dono ya dono men se koi ek tar thi ya nahin, taree is qadar thi ke dosre tak sirayat karti ya nahin to wo paak cheez najis shumar nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #119,120). [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15080
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere peshab ke qatre pant par lag jate hain us ja agar hath lag jaye to woh hath napak hoaga ya nahi.

Answer: Hath ya pant ka wo hissa jahan qatre lage hain, dono ya in me se koi aik is qadar tar ho ke aik ki tari dosre tak puhnch jaye to hath ya pant najis ho jaye ga lekin agar agar in dono men koi aik ya dono is qadar tar na hon ke aik ki tari dosre tak punhch ye ya dono tar hi na hon balke khushk hon to in do suraton men hath najis nahin hoga.or peshaab se najis shuda haath ya badan ko qaleel paani se 2 martaba dhona zarori hay (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #119,62). [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15081
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat mera yeh sawaal h ke jab main peshab karne ke baad tissue paper se khushk kar leta hu or phir uske 1 ya 2 hrs baad paani se istenja kr leta hu toh yeh sahi h

Answer: peshaab ka makraj ( nikalne ki jagha ) pani ke ilawa kise3 cheez se paak nahe hota or ise aik mataba pani se dhona kafi hay . Hath ya pant ka wo hissa jahan qatre lage hain, dono ya in me se koi aik is qadar tar ho ke aik ki tari dosre tak puhnch jaye to hath ya pant najis ho jaye ga lekin agar agar in dono men koi aik ya dono is qadar tar na hon ke aik ki tari dosre tak punhch ye ya dono tar hi na hon balke khushk hon to in do suraton men hath najis nahin hoga.or peshaab se najis shuda haath ya badan ko qaleel paani se 2 martaba dhona zarori hay (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #119,62). [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15088
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aise ghar ki zameen jo kisi hindu k rehne ki waja se najis ho to kese pak kia jae?

Answer: 1: Agar koi cheez peshaab ke alawa kisi nijasat se najis ho jaaye to agar nijasat door karne ke baad aik dafa qaleel paani us par daala jaaye aur us se juda ho jaaye to woh cheez paak ho jaati hai. 2: Woh zameen jis men paani jazb ho jaata ho maslan aisi zameen jis ki satah ret ya bajri par mushtamil ho agar najis ho jaaye to qaleel paani se paak ho jaati hai. 3: Aisi zameen jis ka farsh pathar aur einton ka ho aur aisi sakht zameen ke jis men paani jazb na hota ho agar najis ho jaaye to qaleel paani se paak ho sakti hai laikin zaroori hai ke us par itna paani daala jaaye ke behne lage aur agar wo paani upar se daala jaaye kisi garhe wagera se baahir na nikal sake aur aik jagah jamaa ho jaaye to us jagah ko paak karne ka tariqa yeh hai ke jamaa shuda paani ko kapre ya bartan ki madad se baahir nekaal diyaa jaaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #156,173,174). [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15170
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Washroom peeshab ya Bada peeshab k Baad hath paak karne k Liye kalma parhna Lazmii hai ?hath paak karne ka Kya tareeka hai?wazoo ya ghusl janabat ki niyat mei talafuz ghalat hone SE ya is ka shake hone SE wazo jaiz rehta hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Maqam e peshab ya pakhana ko pak karne se hath bhi pak ho jata hai, alag se hath ko pak karna zaroori nahin hai aur koi kalma bhi nahin parhna hota, aur hath pak karne ka tareeqa bhi yahi hai. 2: Niyat zabaan sai ada karna zaroori nahin hoti faqat iraada hona chaye keh janabat ka ghusl ya wuzu kar raha hon yehi kaafi hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #212,1530). [Updated on 11-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15212
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya napak or pak kapron ko aik sath washing machine main dho sakty hain?

Answer: Jee dho sakte hain laikin dhoone k baad in ko machine se nikaal kar alag se paak karna hoga. or machine k andorooni hisse ko bhi paak karna hoga.(Ref: Tauzihul masael ayatullah sistani, maslah#119). [Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15250
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr sofa pr urine ho jai aur woh dry ho jai toh 3 months usko guzar jai agr uskai bad us sofa pr prayer mat rkh dai toh kya prayer mat napak ho jai ga kya??

Answer: agar wo musalla (prayer met) or sofa dono khushk hain tou wo musalla najis nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15271
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam walekum hazrat .. ek kutte ne mere saamne zameen par peshab kiya to mai waha se hat gaya thode door khada ho gya. Fir mera ek dost wahi se aa gya aur hum dono car me baithe ab nai kya kru bohot waswase aa rhe hai ke sb kuch naapak hai..

Answer: 1: Agar kisi paak cheez ke baare me shak ho ke najis ho gae hai ya nahin to wo pak hai. Aur tehqeeq karna bhi zaroori nahin hai. Han agar kisi pak cheez ke najis hone ke bare men yaqeen ho ke ye najis ho gayei hai is tarah se ke maslan Agar koi paak cheez kisi najis cheez se touch ho jaey aur donon ya in men se koi aik is qadar tar (wetness) ho ke aik ki tari (wetness) doosray tak phonch jaey to paak cheez najis ho jaye gi. 2: Jo shakhs buhat ziyada shak karta ho Us ko chahiay keh wo apne shak aur waswase ki parwah nah kare.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #117,119.+ https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4222/ ). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15331
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa, kya napaak kapre pehan lene se wazu ya ghusal toot jata hai? Napak aisay jis mein mani nikli ho lakin dry ho gayi ho?

Answer: napaak kapre pehan lena mubtilaat e wuzu ya ghusl me se nahe hay (yani wuzu ya ghusl ko torne wali cheezon) mai sai nahin hai lehaaza is sai wuzu ya ghusl baatil nahi hota.( albatta namaz perh ke lie in najis kappro ko pak karna zarori hai )Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur dono ya in may say aik is qadar tar(wet) ho k aik ki tari doosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jati hay. Aur kapra, ya aisi doosri cheezain tar(wet) ho to in k jis hissay ko najasat lagay gi wo najis ho jay ga or baqi hissa pak rahay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #322, 119-122) [Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!