Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 16330
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam I want to ask are napak dresses will b pak in top loaded automatic washing machine?

Answer: Agar aik baar pani ko kharij kar ke naya pani dakhil kiya jaye aur wo pani bhi kharij kar diya jaye aur machine kaprhe ke pani ko nichor lay to kapra paak ho jaye ga, aur is ke sath sath machine ka androni hissa bhi paak ho jaye ga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #472). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16335
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi kapra washing powder se dhone ke baad aur ache se pani bahane baad us me se najasat ki badboo na jarahi ho to kia wo paak hoga ya nahi

Answer: Jab tak ain-najasat (najasat ka maaddah) kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahin hogi lekin agar najasat ki boo (smell) ya rang (colour) us me baqi reh jaye to koi haraj nahin. lihaza agar khoon libaas par se hata diya jaye aur libaas dho kar paak kar liya jaye aur khoon ka rang (colour) reh jaye to libaas pak hoga. aur doorsi cheez ko bhi najis nahin karega. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #164) [Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16415
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Are cloths will be pak in automatic washing machine?

Answer: Agar aik baar pani ko kharij kar ke naya pani dakhil kiya jaye aur wo pani bhi kharij kar diya jaye aur machine kaprhe ke pani ko nichor lay to kapra paak ho jaye ga, aur is ke sath sath machine ka androni hissa bhi paak ho jaye ga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #472). [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16446
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam automatic washing machine Kur pani sy connect Hy JB pani Bhar jata Hy tu Kur pani ana bnd hu jata Hy phr kpry us my dhulty hyn phr wo pani nikl jata Hy or dubara Kur pani any lgta Hy tu Kya ye Kur pani k hukam my ay ga ya nhi

Answer: Jab tak muttasil (connect) rahe ga kur paani ke hukum me hoga lekin agar agar ittisaal (connection) khatam ho jaye ga to machine wala paani qaleel paani ke hukum me hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #34). [Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16492
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Dry clean se najis kapde pak ho jate hn?

Answer: Agar kisi ne aik shakhs ka libaas dhone ki zimmedari li ho aur kahe ke main ne ise dho diya hai aur us shakhs ko is ke ye kehne se tasalli ho jaye to wo libaas pak hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #222). [Updated on 13-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16493
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we wear same clothes as we weared before taking gusul

Answer: Wo jagah jahan nijasat lagi ho use pak karne ke baad wohi kapre dobara pehn sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #156) [Updated on 13-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1) wo rutubat jo biwi se cher khani ke dauran nikle kiya wo paak ha? 2) agar paak ha aur wo dress pe lag jaye to kiya us dress me namaaz ho sakti ha?

Answer: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed ratubatain kharij hoti hain: 1) Wo ratoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu ghusl ko bhi batil nahin karti. 2) Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3) Wo ratoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. Agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad ratubat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 ratoobato me se koi aik to wo paak hai. (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai aur libas ko pak karne ki bhi zaroorat nahin hai, lihaza usi libaas me namaz sahi ho jaye gi). (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345). [Updated on 13-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16515
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kaproun Mae bivi kae dakhool Karne ki koshish se Kya napaki hojati hae?

Answer: Agar un kapron pe mani lagi hai to kapron pe jahan mani lagi hai wo hissa najis (napak) ho jata hai aur use paak karna hoga. Note . Agar mard ki Mani kharij hoe hay tu namaz ke lie gusal bhe karna zarori hay . (Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #119,156). [Updated on 19-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16534
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalmualykum. toilet me flush ho chuke paani ke chithe lagne se kya hota h?jaise toilet saaf karte waqt kuch chithe lag jaate h toh kya kare ?

Answer: 1: Agar yaqeen ho ke cheentain, nijasat se lag kar aap ke jism ya kapron par lagi hain to jism ya kapron ke us hisse ko pak karna hoga jahan cheetain lagi hain. 2: Agar libaas ya badan jo peshaab se najis ho gaya ho qaleel paani se dhona maqsood ho to us par do dafa paani yoon bahaya jaye ke peshaab us cheez par baaqi na rahe to woh cheez paak ho jaaye gi. lekin jahan tak libaas qaleen dari ya in se milti julti cheezon ka taalluq hai, unhein har dafa paani daalne ke baad nichorna zaroori hai taake ghusala un mein se nikal jaaye. (Ghulasa ya dhowan us paani ko kehte hain jo kisi dhoyei jaane wali cheez se dhulne ke duaraan ya dhul jaane ke baad khud ba khud ya nichodne se nikalta hai). 3: Jo cheez peshab ke alawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur us se juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai, albatta libas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan (gusala) nikal jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,154,156). [Updated on 29-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16535
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalmualykum. toilet me flush ho chuke paani ke chithe lagne se kya hota h?jaise toilet saaf karte waqt kuch chithe lag jaate h toh kya kare ?

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 29-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!