Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 9811
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar peshab kaproon pa lgna ka shak ho aor us jaga ko dhoein to jo pani sa dhoya ha to wo beh ke doosray kaproon oa lag jae to wo kapre bhi napaak ho jae ga ya nae... plz plz plz reply

Answer: Shak ki soorat main wo libaas paak maana jaey ga isi liay wo pani or doosra libaas bhi paak hi maana jaey ga .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#115). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9960
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam Walekum... Agar bistar per nightfall Ajae aur use pani se 3 martaba pohch lia jaye to kya wo jagah paak hai. Waha pe namaz tilawat kar sakte hai.

Answer: Agar bistar per mani lagi ho or os ko qaleel pani se dhona ho tu pehlay pani se mani ko hata ker aik dafa os jagah per pani daal ker osay nichorha ya dabaya jaey tu phir bistar paak ho jaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #156). Update on dated 24-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia plastic say nijasat door ki jasti hai ?

Answer: Ji haan, jaiz hai lekin peshab ka makam pani k alawa kisi or cheez say paak nahi hota or wo najis cheez jo peshab k alawa najis hoi ho usay dhonay ka tareeka yeh hay k us ki nijasat ko hataya jaey phir aik baar us par pani dala jaey or phir usay nichorha jaey agar wo nichornay wali cheezo main say ho, warna pani bahana kaafi hay is tarah k wo pani ya to beh jaey, ya phir kisi tarah utha liya jaey, or jo peshab say najis hoi ho us ki nijasat hatany k baad 2 martaba dhoya jaey. (Ref:Touzeeh ul masail masala#119/145). [Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10140
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Mani Kapro par na lagy tou aesy mai kia hukam kpray pak ya na pak

Answer: Q k Kaprho per mani nahi lagi is liay wo paak hain. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah# 119). [Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10223
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Newborn bachchey ka pashab najasat hai Kiya ? Agar kapron pe lag Jaye to kiya un kapron main namaz ho sakti hai ?

Answer: Sheer khuwar bache ka pishaab najis hai or agar us sai koi libaas najis hojaaye or us par yun paani daala jaaye k tamam najis maqamaat tak pani pohanch jaaye tou libaas paak hojaaye ga usay nichorna zaroori nhi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 155). [Updated on 28-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10231
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr aik shaks ghusal karne k bad na pak kare pehan le tu kia wo na pak hu jai ga

Answer: Agar libaas is qadar tar ho k us ki tari jism par lag jaaye tou jism najis hojaaye ga lekin jis hissay par tari lagi hai faqat usay paak karna hai dobara ghusal karne ki zaroorat nahi hai. lekin agar libaas hi khushk hai or jism bhi khushk hai or dono taree ka tabadla nahi hota tou phir jism bhi paak rahey ga albaata un napaak kapron mai namaaz nahi hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10445
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera swal ye ha k kia mazee nikalny se kapry napak ho jaty hn ya nai

Answer: Mazi se kaprhay napaak nahi hote q k mazi paak hai agar os main peshab mila hoa nah ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seesatni edition#41, maslah#70). [Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10447
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye he k agar raat ko sotay hoye Mani nikli ho or subha k waqt pata chaly k raat ko Mani nikli thi tu Kiya trouser k sath bister bhi napak ho jae ga q k mani tu sokh chuki hogi subha tak

Answer: Agar mani bistar par bhi lagi thi tu wo bhi najis kehlaey ga agarcheh wo subah tak khushk ho jaey lekin najis rahay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#119). [Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10624
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, mera sawal yeh hai k mani nikalne k baad kapre bhi change karne hotay hain ya sirf ghusl karke un kapron main namaz parhsakte hain?

Answer: wsalam. Agar on kaprho main mani lagi ho tu un kaprho ko paak karna hoga ya tabdeel karna hoga us mai namaz nahi hosakti kyun k mani najis hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#84). [Updated on 19-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10642
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar munh ke andar sperm chali jaye toh usse napak ho jate hai kya agar ha toh battayye napaki kaise dur kare or uske andar chale jane se ko khatra toh nhi hai na

Answer: Nijasat k door hone se monh paak ho jaey ga, chahay monh ko pani se bhi nah dhoya ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #215). Update on dated 30-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!