Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 335
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Alikoum, Plz yeh fermaein k JINSI KHYALAT k saath jo chand drops AZA-E-TANASUL se kharij hote hain woh pak hain ya GHUSAL-E-JANABAT wajib hai? Buhut shukria. May Allah bless you

Answer: woh rutubat paak hai aur ghusul janabat wajib nahi hai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 70, pg no. 25.

Id: 372
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A main yeh deryaf kerna chata hoon kay Juma kay din jo gosal kia jata han uss kay bad namaz kay liya wazoo lazmi nahi jasakay wajib gosal kay baad?

Answer: bismehi taala, jee gusale juma ke baad jamaz k liye wuzu karna zaroori nahin (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaal no. 651 & 653)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ghusul pani nahne se pehle kartein hai yaa nahnaa poora hone baad kartein hai

Answer: Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)(ghusal se pehle ya baad me nahana zaroori nahi he albatta agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye)

Id: 411
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaamun alaikum humbistari ke dauraan agar sirf mard ki mani niklay,to kya biwi per bhi ghusl wajib hoga?

Answer: w.s. agar hambistari ke dauraan uzue tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada aurat ki faraj me dakhil ho jaye to dono mujnib ho jate hain (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.355)

Id: 441
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plz tell me niyyat of gusul

Answer: bismehi taala, yeh zaroori nahi k gusal k waqat niyyat kare k wajib gusal kar raha he, balk faqat qurbatan allllah yaani Allah taala ki reza k irade se gusal kare to kafi he.(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.364)

Id: 504
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I had my right foot toe dressed, and I had intercource, How shall I be able to offer prayer, I mean what is the proceedure for Ghusal, and geting Pak?

Answer: Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367

Id: 541
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhe ghusal ka tarrekah batadein

Answer: bismehi taala, ghusal k qasd se pahele sar aur gardan aur phir jism ka baqi hissa dhoya jae aur ahteyate wajib ki bina par pahle bayan hissa aur phir dayan hissa dhoya jae. (istfitaat aur jawabat part 1 Aytullah Khamenai (d.b.)

Id: 543
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghusal jinabat karne k baad wazoo karana chahiye ya nahi,plz mujhe is ka bata dein,thanks

Answer: bismehi taala, ghusale janabat k baad wuzoo zaroori nahi (ref: istiftaat aur jawabat part 1 Aytulla Khamenei (d.b.) page no.62)

Id: 549
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhy Ghusal ka Tariks Btadain

Answer: bismehi taala, Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367

Id: 591
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hai k ghusal kin halaat main farz hai...yani k esi kon c cheze hain jin ki bina per ghusal wajib hai?

Answer: bismehi taala, wajib gusal sat hain: 1. gusle janabat 2. gusle haiz 3. gusle nifas 4. gusle istihaza 5. gusle mase mayyat 6. gusle mayyat 7. wo gusl jo mannat ya qasm wagera ki wajeh se wajib ho jaye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) page no.58)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!