Question: salam un alikum i would like to ask kia koi shsks or us ki biwi aik dusray ki sharamgah ko suck kar saktay hain.plz send the answer.kia ya halal ha?
Answer: w.s., aap k sawal k jawab k liye Aytullah Khamenei ka refrence availabe nahi he, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.
Question: tamaam ghusuloon ki duaian
Answer: bismehi taala, ghusl k liye kisi khas dua ka padhna zaroori nahin he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.)page no.62)
Question: gusul karne ki niyat plz tell me right now bcoz mere pass time bohat kam hai plzzzz
Answer: bismehi taala, yeh zaroori nahi k gusal k waqat niyyat kare k wajib gusal kar raha he, balk faqat qurbatan allllah yaani Allah taala ki reza k irade se gusal kare to kafi he.(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.364)
Question: agr roza ki halt ma soty hoy insan napak ho gya to fraz gusal kis trha kry
Answer: bismehi taala, Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)(agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye)
Question: sir jee 7 gusul farz hai apne bataya tu iska tareeqa bhi bata de ?
Answer: bismehi taala, Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367
Question: sir jee agar ghusl janabt mujh per farz ho gaya hai aur jumma bhii hai tu iski kiya niyyat hogi plz batana lazmi thanks
Answer: bismehi taala, ghusale janabat aur ghusle jumma dono ki niyyat kar ke ek hi ghusal kiya ja sakta he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.395)
Question: sir jee agar mujhe per ghusl janabt farz nahi hai aur jumma hai tu uski niyyat kiya hogi aur wo ghusl kaise karna hai plz jaldi bata dena bcoz kal jumma hai isliye thanks
Answer: bismehi taala, ghusle juma karta hoo qurbatan elal-llah, yeh niyyat karna kafi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.651)
Question: agar mujhay sir rozay main nend ma ahtlam hojat to us ka main kesay ghusal karoo
Answer: bismehi taala,(agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye aur us k baad) Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)
Question: sir agar roozay k dauraan gusal farz hojaay to gusal krtay waqt kuli aur naak mai paani daal sktay ha issay roaza tootay ga to nai plzzzzz sir jaldi answer day dain
Answer: bismehi taala, gusal me kuli karna aur nak me pani dal-na zaroori nahin (ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)
Question: Mera swaal yeh hai k nahaney ke doran wuzu ho jata hai ya alahda karna parega.agar nahaney ke doran sharmgah ko haath lag jai to wuzu baqi rahe ga .Nahaney ke doran wuzu ka kia tariqa hai?
Answer: Tamaam wajib or mustahab ghusl k baad, namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay (siwaay ghusl e istihazah e mutwasitah k).or ghusl e janabat k baad namaz k liay wuzu kerna haram hay.Agar nahanay say aap ka matlab sirif aam nahana hay tu is say pehlay ya baad main namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori hoga.(ref: Ayat ullah Seestani (D.B),Tazee hul masail,Maslah # 389). or sharmgah ko haath laganay say wuzu batil nahi hota.wuzu sirif 7 Chezo say batil hota hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tazee hul masail,Maslah # 322).