Question: Salaam g mje ye pochna tha k rat ko mubashrat ki aor subha periods ho gae.phr isi halat ma 4 din guzar jaen to Kia Shari hukam ha?
Answer: Aap chahen to foran janabat ka ghusal kar len warna ap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain. 1.jis shaks par chandi ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar keh aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai keh agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon k liay bhi kafi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Edition 42, masla no 387). [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusl ma kitny martaba left r right side pa pani dalna chahye
Answer: Ghusl main ehtiyat e lazim ki bina par ghusl ki niyat kar ke pehle pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hai or behter ye hai k badan ko pehle daeen (right) taraf or bad men baeen (let) tarf se dhoye.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 360) (Note: Agar aap ko aik martba bhi yaqeen aajai to kafi hai. Q ke is koi miqdar nahin batai gaie.) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum. Meri tang ak accident ma fracture ho gai hai lakin muje apni wife say milny ka buht dil karta hai...es sourat ma mai ghusal kasy kar sakta hon...jab kay meri tang fracture hai
Answer: To is surat me apko ghusal e jabira karna hoga. Jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyammum karna zarori hai. (Ref: ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#41,mafhoom e maslah#338). [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusl e janabat main agr ghusl karte samay baal, dono haath aur legs dhoke hi hum badan ke baaki hisse dhue toh ghusl hoga na ? Matlab Gardan ka hissa Baalon yaa haathoon ke saath na dhoke legs dhone ke baad saare badan ke sath dhue toh ghusl hoga na ?
Answer: Ghusl main ehtiyat e lazim ki bina par ghusl ki niyat kar ke pehle pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hai or behter ye hai k badan ko pehle daeen (right) taraf or bad men baeen (let) se dhoye.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 360) [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusl e janabat main agr ghusl karte samay baal, dono haath aur legs dhoke hi hum badan ke baaki hisse dhue toh ghusl hoga na ? Matlab Gardan ka hissa Baalon yaa haathoon ke saath na dhoke legs dhone ke baad saare badan ke sath dhue toh ghusl hoga na ?
Answer: Ghusl main ehtiyat e lazim ki bina par ghusl ki niyat kar ke pehle pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hai or behter ye hai k badan ko pehle daeen (right) taraf or bad men baeen (let) tarf se dhoye.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 360 to 370 [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera ye sawal hy k agr murd intercourse kiay bgya orat k sth sex krta hy murd ka Mani nikal jata hy orat ki tango me lg jata hy lekin orat ka Mani na niklay to or pr gusal wjib hy Kya?
Answer: g nahi ap per gusul wajib nahi....(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr kush qatary mini k kapro pr lag jay to osy saf kr k namz ho sakti ha (kush galt kea bena asa ho to )
Answer: 1,mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahin namaz or is jaisi degar ibadaat k liay ghusl wajib ho jaata hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #344). 2,Agar mani kaprhe ko lagi ho tu wo na paak ho jaey ga namaz say pehlay pak karna paray ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 2019 Mafhoom e Maslah #119). [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr hum rat m 3 bar thore thire time k bad sex krty hain tw kia her br k bd ghusal.wajib h?
Answer: Har bar kay bad gusul wajib nahi hay bas namaz ya digar ibadat jin kay lea wazu ya gusul zarori hya gusul karna wajib hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #210) [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Napaki k baad gusal karne k baad agar 5 min bad kch sharmagah se nikle to ky kare
Answer: 1) Mani kharij hone k baad insan k liay peshab karna mustahab hay or agar peshab nah kare or ghusl k baad os k makhraj e peshab se rutubat kharij ho jis k baray main wo nah jaanta ho keh mani hay ya koe or rutubat tu wo rutubat mani ka hokum rakhti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #347). 2) Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1. Uchal kar niklay. 2. shehwat k saath niklay 3. badan sust hojaye. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho to wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho to wo mani nahi balke mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota. or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156). 3) Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose Mazi kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise Wazi kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise Wadi kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. aur uske sath namaz bhi parhi ja sakti hai.(Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, masala#70) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mufti sb mera bazoo frecture ha or mje ehtlam hua ha to kya ma ghusal ki jagah tayamum kr skta hu
Answer: Agar badan ka koe hissa toota hoa ho tu zarori hay keh ghusl kare or ehtiyatan jabira k oper bhi masah kare or jabira par masah karna mumkin nah ya jo jagah tooti hoe ho tu tayammum karna zarori hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 338). [Updated on 01-May-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]