Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12107
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya gair marham kay gism ko dakh kar gual farz ho jata ha?

Answer: Jee nahin, balke mani (semen) k kharij (nikalnay say) honay say, chahay mani (semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat (lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat (lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho namaz or is jaisi degar ibadaat k liay ghusl wajib ho jaata hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #344). [Updated on 16-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12123
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1)can you please tell me full process of gusal e haiz in simple wording? 2)Is it necessary to remove hairs from under legs after periods or during gusl e haiz

Answer: 1)Ghusl ki niyat k sath pehle pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hai or behtar ye hai k badan ko pehle daaen taraf or bad men baen taraf se dhoye.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 41 , maslah # 360 (Note: Ghusl e haiz, Ghusl e janabat ki tarh hi anjam diya jata hai aur tamam ghuslon ke krne ka ek hi tarika hai.) 2)Riwayat k mutabiq puray badan k baal saf krna (hatta k sharamgah k bhi mustahabb hai. 3)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tak noora karey. ye kaam mustahab hay wajib nahi. (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) (Note: balon ke katne ya na katne ka gusl koi taluq nahin hai, bal kate bager bhi gusl kiya sakta hai.) [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12125
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If a girl discharges by rubbing her vagina, is it haram? The transparent liquid that came out is it najis? And does she need to do Ghusal?

Answer: 1) Istimna or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #2296). 2) Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)۔ [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aurat khud hath sy khud ko farigh kary tw ghussal faraz hy kya?

Answer: 1-Istimna or khud lazzati, haram hay chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho, or merd or aurat k dermiyaan koe faraq nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #2296) . 2-Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)۔ [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12180
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar sex krte wakt apki Mani Ni Nikki to Kya AP paak rehte Hain?

Answer: Dukhool k baad chahay mani kharij ho ya na ho ghusl e janabat wajib hojaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348) [Updated on 20-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12228
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ehtalam ki halat me nmaj ada kar sakte h kya

Answer: Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur namaz ya is jaisi doosri ibadat k lie ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 356, 357) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12239
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kuch gandi chiz dekh k thori sa pani nikal jaey or lagay k ye discharge wala pain nahi balke lickoria hai Matlb bht kum ho jo kapron pay bhi nahi laga ho tou us k liye Kiya gusal Karna jaiz hai??

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), email rcvd) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12240
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Peshab k katroun mn agr mani ajaye tou kia ghusal wajib hou jata?

Answer: Note : agar yaqeen ho jaay ke mani hay tu gusal wajib ho jata hay Aap istibraa kar ke check kar sakte hay . Istibraa ek mustahab amal hai jo mard peshaab karne k bad is garz se anjaam deta hain ta keh itminaan ho jaay keh ab peshaab nali mein baaqi nahin raha. Is ki kaee tarkeebain hain jin mein se ek yeh keh peshaab se farigh ho jane ke bad agar Maqad najis ho gaya ho to ise paak kare aur phir teen dafa baen(left) haath ki darmiyani angli k sath Maqad se le kar uzoo-e-tanasul ki jarh tak soonte aur is ke bad angoothay ko uzoo-e-tanasul k opar aur angoothe k sath wali angli ko is ke niche rakhe aur teen dafa sopari tak soonte aur phir teen dafah sopari ko jhatkay Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. Mazeed yeh keh jab kisi shakhs ne peshaab ke bad Istibraa kiya ho aur is k bad rutoobat kharij ho jis k baare mein shak ho keh wo peshaab hai ya mazkoora baala teen rutoobaton mein se koi ek to wo bhi paak hai.(or os se wuzo batil nahi hota na gusal wajib hota hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 69,70) [Updated on 06-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12251
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusal e haiz ka sahi tareeqa btaen please aur ye b k jism ko sabun aur bal ko shampoo krna zruri h ya sirf pani ko b 3 bar jism par bahane se ghusal hojaega please jldi btaden niyat kr k

Answer: 1)Jism ko sabun aur balon ko shampoo karna zaroori nahin hai sirf wo jagh jahan khon e haiz laga hai us jagh ko pak karen aur pak karne ke bad Ghusl ki niyat k sath pehle pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hai or behtar ye hai k badan ko pehle daaen taraf or bad men baen taraf se dhoya jaye.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 41 , maslah # 360(Note: Ghusl e haiz, Ghusl e janabat ki tarh hi anjam diya jata hai aur tamam ghuslon ke karne ka ek hi tareeqa hai.) [Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya janabat ki haalat me nikah kar sakte hai?Ya fir ghusl lena hoga?

Answer: Gusl se pak hona nikah ke sharait me se nahin hai lihaza nikah kar sakte hain.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335) [Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!