Question: Asallam o alaikum kya gusul karne k bad bad wazo bhi karna laazmi hai ya wazoo hojata hai aya wo khali gusul ho ya gusul e janabat
Answer: W/Salam, Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zaroori he k namaz k lie wazoo na karay. Balke ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur masla no 634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakta he agarchah ethiat e mustahabb ye he k wazoo bhi karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr husband se call pr sexs krty huay thori si wetness hojaye mgr discharge na hua ho to kia ghusal e janabat wajib hojaye ga ?
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par namaz say pehlay ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey] [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr husband se call pr sexs krty huay thori si wetness hojaye mgr discharge na hua ho to kia ghusal e janabat wajib hojaye ga ?
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par namaz say pehlay ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr raat ko ahtelam ho lakin khwab yaad na ho tu Kya gusul karna hota hai Hadith ke roshni me
Answer: Jee han, mani nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat (lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat (lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho namaz or is jaisi degar ibadaat k liay ghusl wajib ho jaata hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #344). (Note: khuwab ka is se koi taluq nahin hai.) [Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar mani nikle or me gusal kar lu or gusal ke baad bhe thodi mani nikle toh vapas gusal krna padega
Answer: Mani kharij hone k baad insan k liay paishab karna mustahab hay or agar paishab nah kare or ghusl k baad os k makhraj e paishab se rutubat kharij ho jis k baare main wo nah jaanta ho keh mani hay ya koe or rutubat tu wo rutubat mani ka hukum rakhti hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348). [Updated on 19-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum, may nay jaan kar bhi quran ki jhooti khasam khali ey gunah kaise maaf ho saktha hi plz answer me
Answer: wsalam. Jee, faqat dukhool karne sai ghusl wajib ho jaata hai chahay mani kharij nah hoe ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348). [Updated on 19-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum kya apni wife ka sharamgah ma sirf Azu andar dalney sa gussal wajib hojyega agar Anzal na hua ho to
Answer: wsalam. Jee, faqat dukhool karne sai ghusl wajib ho jaata hai chahay mani kharij nah hoe ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348). [Updated on 19-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr ahtelam ho lakin khwab yaad na ho tu Kya gusul karna hota hai
Answer: khuwab ka yaad hona laazmi nahi hai ehtlaam hone par ghusal wajib hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 17-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr gusal e janabat wajib ho jaya or gusalk karny sy pehly hairfall ki wajah sy kuch bal ger jayen to kiya karen gy
Answer: Is sai ghusl par koi farq nahi parta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 360) [Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ehtelam k shak ho to Kia karein agr aik qatra dikhy lkn yaqeen ho k ehtelam ni hua hai mazi hai to Kia karein or Kia wo najis hai
Answer: Agar us rutoobat mai 3 alamaat paai jaati hai tou wo mani ka hukm rakhti hai 1:shehwat k saath niklay 2:badan sust hojaaye 3:uchal kar nikle agar in mai sai koi aik alaamat bhi nahi hai tou mani nahi hogi woh mazi ka huk rakhti hai or wo paak hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 345) [Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]