Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12448
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ko insaan ghusal ka halat ma margaya to wo jannati ha ya dozalhi oska kia hukam.ha plzz tell me

Answer: Agar koi shaks janabat ki halat mai mar jaey tou usay ghusl e janabat dena zaroori nahi hai ghusl e mayyat kaafi hai. Note: Jannat or jahanum ka taluq janabat ki haalat sai nahi hai. is ka taaluq naik o bad amaal se hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 555) [Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12450
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AGR gusal k Time achy sy pakk ho gy hn or 3 sy 2 minutes bad katry aay to kia gusal ho gaya hy ya ni ??

Answer: agar wo mani k qatry hai tou dobara ghusal karna hoga. is k saath aik or maslay ki taraf aap ki tawajah dilana chahty hai k mani kharij hone k baad insaan k liye pishaab karna mustahab hai or agar pishaab na karey or ghusal k baad pishaab k makhraj sai rutoobat khaarij ho jis k baarey mai ilm na ho k mani hai ya koi or rutoobat tou wo rutoobat mani ka hukm rakhti hai yaaney ghusal karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 347). [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12462
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar galti se najis kapda pehen le jis kapde me badi wali najasat hui ho or wo pehen le toh kya gusl janabat wajib ho jata h

Answer: Nahi aise kapray pehenne sai ghusal janabat wajib nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: toilet krte Hue qabz ke waqt zor legate hue mujhe 2 ya 3 boond mani kharij ho jti hai .to is Masle mein mein namaz padh skta hu kya

Answer: Agar aap ko maloom hai k mani hai tou pehle ghusal karna zaroori hai us k baad namaz ada karein.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12467
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, mera sawal yeh hai k aghar khawand ya biwi ka apas main malap kiay bina mani ya mazi nikalay oor dosray ko lag jai to kia dosray par b ghusal karna zaruri hai ?

Answer: doosray par tou aisi soorat mai ghusal wajib nahi hai. or agar aap ki mani kharij hoi hai tou aap par ghusal wajib hojaaye ga lekin agar mazi hai tou phir aap par ghusal wajib nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12472
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: upperlips banane k bad ghusl lena wajib hai??zaroori hai

Answer: Jee nahi wajib nahi.(Ref:Tauzeeh ul masasil ayatullah seestani edition 41 page no 62). [Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12474
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ehtelam ho jaey lekin jism ganda na ho to kya namaz ho jati hai

Answer: Ehtilaam k baad ghusl e janabat karna wajib hai us k baad hi namaz ada kar sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12506
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya gusl karte waqt sharmgah ko hath lag jaane se wuzu toot jata ya fr baaqi rehta hai..??

Answer: sharamgah ko haath lagaane sai wuzu ya ghusal baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12529
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Kindly haiz k ghusal ka mukammal tariqa btadain?// Ye MENTION ZAROOR krain k ghusal k bad last ma jo pani dalty hain wo kitna mug dalna ha ,ek ek mug ya do do mug?

Answer: Tamaam wajib aur mustahab ghusl ka tariqa aik hi hai, niyat k baad pehlay pura sar(head) aur gardan(neck) dhona zarori hai aur baad mai baqi pura badan dhona zarori hai. Aur is baat ka yaqeen hasil kernay k liay k donu hisso (yani sar o gardan aur badan)ko mukammal tour par dho lia hai,zarori hai k jiis hissay ko dhoey us k sath dusray hissay ki kuch miqdar dho lain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #360,362). [Updated on 06-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12592
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Leekoriya se wazu toot jata hai...kya istanja krna bhi zaroori hai?

Answer: jee nahi is sai wuzu baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestrani edition 41 maslah no 322). [Updated on 25-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!